Baitul Muqaddas

 

Baitul Muqaddas Ba Barakat Sar zameen hain Baitul muqaddas ko ALLAH ﷻ ne bohot izzat wa sharf ata kiya hai , Qur’an wa sunnat ki Must’adad nusoos me iski fazilat bayan farmayi gayi hai aur ise kayi ‘abmiya e kiraam alayhi nabiyyena wa alayissalatu wassalam se nisbat hasil hai. Qur’an e Kareem me Allah ﷻ ne Must’adad maqaamaat par masjid e aqsa aur uske ird gird ilaake ko ba Barakat farmaya hai. Moajiza e me’araaj e rasool ﷺ ka zikr karte hue baari ta’ala ne farmaya:

Surah Bani Israa’eel Ayat No.1

سُبۡحٰنَ الَّذِیۡۤ اَسۡرٰی بِعَبۡدِہٖ لَیۡلًا مِّنَ الۡمَسۡجِدِ الۡحَرَامِ اِلَی الۡمَسۡجِدِ الۡاَقۡصَا الَّذِیۡ بٰرَکۡنَا حَوۡلَہٗ لِنُرِیَہٗ مِنۡ اٰیٰتِنَا ؕ اِنَّہٗ ہُوَ السَّمِیۡعُ الۡبَصِیۡرُ ﴿۱﴾

Kanzul Iman Translation

Paaki Hai Use Jo Raato’n Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam Se Masjid e Aqsa Tak Jiske Girda Gird Humne Barkat Rakhi Ke Hum Use Apni Azeem Nishaaniyaa’n Dikhaaye’n Beshak Woh Sunta Dekhta Hai.

Barkate ka sabab: mashhoor mufassir e Qur’an kazi ‘abdullah bin ‘umar رضي الله عنه baytul muqaddas ko ba Barakat farmane ki wajah zikr karte hue likha:

((Ayat)) yani baytul muqaddas me Allah ta’ala ne Deen wa duniya ki barkate rakhi hai .* Deeni barkat* ye hai ki us sarzameen me ‘abmiya alayhi nabiyyena wa alayissalatu wassalam par wahi nazil hoti Rahi aur ye sayyedina moosa alayhi nabiyyena wa alayissalatu wassalam ke baad tamaam ‘ambiya e kiraam ki jaye ibadat Rahi . Dunyawi barkat ye hai ki waha kareeb jawaar me nehro aur kheyto ki kasrat hai , jiske sabab ye sarzameen behtareen aysh o Rahat ka muqaam hai .

Baitul Muqaddas pehle se barkat wala tha magar iski barkate tab urooj par pohonch gayi jab safar e me’araaj ke pehle marhale me sarkaar E Do Aalam ﷺ ne yaha qadam rakhe …… Yahi wo haseen manzar zahir hua tha jab tamaam ‘ambiya e kiraam alayhi nabiyyena wa alayissalatu wassalam piche saf basta hazir the aur khatimul ‘ambiya ﷺ imaamat farma rahe the .

Masjid e Aqsa aqsa me namaz ki fazilat

Sayyedina rafai bin umer رضی اللہ عنہ Rasulallah ﷺ se ravi hai ki jab sayyedina Sulaiman ala nabiyyena wa alayissalatu wassalam ne masjid e aqsa ki taamir mukammal Kari is Khushi me janwar zabah kiye to Allah ﷻ ne farmaya:

“Me apne Ghar ki taamir par khush hu aur Aap Jo chahe mangee ata karunga. Unhone Allah ﷻ se 3 duayen ki

(1)Yani aye mere Allah Meri pehli dua ye hai k mera faisla hamesha tere faisle ke mutabik ho(mera faisla teri Marzi k khilaf na ho)

(2) meri dusri dua ye hai k mujhe aisi badshahi ata farma jo mere baad kisi k layk na ho.

(3)Teesri iltija ye hai k Jo shakhs bhi is masjid (aqsa) me hazir ho aur sirf yaha namaz pdhne k liye hi aaye(uska koi dunyawi maqsad na ho) to uske tamaam gunaho ko muaf farma dena. Aap ﷺ farmaya: ” unki pehli dono duaen qubool ho chuki, teesri k bare me meri ummid aur dua hai k wo bhi qubool ho.

(Al muajmul kabeer Hadees no 4477)

Masjid E Aqsa me Huzoor ﷺ ne Ambiya ki Imamat Kari or Ambiya Ikram huzoor ﷺ ki Imamat me Namaz Ada kiye

Waqiya Mairaaj Ki Tafseeli Riwayaat O Sahih Muslim Hadees Me Mojood Hai,
Imamat Ke Bare Me Irshad Hai :

Namaz Ka Waqt Huwa To Mene Anbiya Ki Imamat Ki

( Sahih Muslim, Kitaab Ul Iman, Baab Fi Zikar Ul Masih Ibne Maryam W Masih Ul Dajjal/Hadees Number : 278 )

Nabi E Kareem ﷺ ne Baitul Muqaddas me hone Wale mamlat ke bare me Hume pehle hi bta diya tha or Yahoodiyo se Jihad karne ke liye pehle hi khabar dediye the.

Rasool Allah ﷺ ne Farmaya:

Hamesha ek Jamaat meri ummat se baitul Muqaddas ke darwaze me khade ho kar ladenge un par barbadi Mussalat karne Wale unko kabhi bhi ruswa nahi kar sakenga or wo kabhi bhi himmat nahi harenge or wo haq par hote hue Galib rahenge Qayamat Aane tak

Musnad Abi Ya’la al Hadees no 6386

Jabir Bin Samra رضی ﷲتعالی عنہ Se Riwayat Hai Rasul ALLAHﷺ Ne Farmaya: Ye Deen Barabar Qayim Rahenga Aor Iske Upar Ladti Rahengi Ek Jamaat (Kafiro Se Mukhalifon Se) Musalmano Ki Qyamat Hone Tak.

(Sahi Muslim / Hadees:-1922)

Is hadees E Paak se ye sabit hota hai ki Ek Jamaat Kafiro or Mushrikeen o se ladti rahegi QAYAMAT Qayam hone tak .

Hazrat Soban رضی ﷲتعالی عنہ Se Riwayat Hai Rasul ALLAHﷺ Ne Farmaya Hamesha Meri Ummat Ka Ek Giroh Haq Pe Qayim Rahenga Koi Unka Nuksan Na Pahuncha Sakenga Yahan Tak Ki ALLAH Tala Ka Hukm Aayenga (Yani Qayamat) Aor Woh Usi Hal Me Honge.

(Sahi Muslim Sharif / Hadees:-1920)

Hazrat Aof Bin Malik رضی ﷲتعالی عنہ Byan Karte Hai Ke Me Gazwai Tabook Ke Mauke Per Nabi Karimﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hua Nabi Akramﷺ Us Waqt Chamde Ke Ek Kheme Me Tashrif Farma The Nabi Karimﷺ Ne Farmaya:Ke Qayamat Ki 6 Nishaniya Shumar Kar Lo “Meri Maut” Fir “Baitul Muqaddas” Ki Fateh” Fir Ek Waba Jo Tumne Shiddat Se Failengi Jaise Bakriyon Me Tawn Fail Jata Hai Fir Mal Ki Kasrat Is Darje Me Hongi Ki Ek Shakhs 100 Dinar Bhi Agar Kisi Ko Denga To Uspar Bhi Woh Naraz Hoga Fir Fitna Itna Tabah Kun Aam Honga, Ki Arab Ka Koi Ghar Baki Na Rahega Jo Uski Lapet Me Na A Gaya Hoga Fir Sula Jo Tumhare Aor Bani Ul Asfar Rom Ke Nasara Ke Darmiyan Hongi Lekin Woh Daga Karenge Aor Ek Azim Lashkar Ke Sath Tum Per Chadhai Karenge Isme 80 Jhande Honge Aor Har Jhande Ke Matahet 12000 Fauj Hongi Yani 960,000 Fauj Se Wo Tum Per Hamlawar Honge.

(Sahi Bukhari /Kitab Ul Jaziyatul Mawadiya / Hadees- 3176)

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se Riwayat Hain Nabi ﷺﷺ ne Irshad Farmaya:

Qayamat Qayam nahi hogi yha Tak ke Musalman Yahoodi ke khilaf jung ladenge or unhe Qatl Karenge hat ‘ta ke Yahoodi Darakht ya patthar ke piche Chupega to Patthar ya Darakht kahega Aye Musalman Aye ALLAH ke bande ye Raha Yahoodi mere peeche Aage badho or isko Qatl karo siwaye Garkad ke ped(tree) ke kyonki wo ek Yahood ka ped (tree) hai.

Bukhari Hadees 2925

Hum Masjid Mein The Ke Rasool ALLAHﷺ Hamare Paas Tashreef Laaye Aor Farmaya Ke Yahudiyon Ke Paas Chalo. Hum huzoor ﷺ Ke Sath Rawana Hue Aor Jab Hum Bait Ul-madaris Ke Paas Puhanche To huzoor ﷺ Ne Unhen Aawaz Di Ae Qaum E Yahood! Islam Lao Tum Mehfooz Ho Jaonge. Yahudion Ne Kaha : Abu Alqasim! Aap Ne Pouncha Diya. Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Mera Bhi Yahi Maqsad Hai Phir Aap Ne Dobarah Yahi Farmaya Aur Yahudion Ne Kaha Ke Abu Al Qasim Aap Ne Pouncha Diya huzoor ﷺ Ne Teesri Martaba Yahi Farmaya. Aor Phir Farmaya Tumhe Maloom Hona Chahiye Ke Zameen ALLAH Aor Uske Rasool Ki Hai Aor Me Tumhe Jilaa-Watan Karta Hoo. Tum Me Se Jis Ke Paas Maal Ho Use Chahiye Ke Jilaa-Watan Hone Se Pahele Use Bechde Warna Jaan Lo Ke Zameen ALLAH Aor Us Ke Rasool Ki Hai .

(Sahi Bukhari Sharif / Hadees-6944)

Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya :

Yahoodiyo ko Mulk se Nikal do Hijaz ki Sarzameen or Jazeera Numa Najran ke log

Musannaf Ibn E Abi sayba

Jab un ke haath paon Khyber walon ne toar daaley to Hazrat Umar رضي الله عنه khutba dene ke liye khade hue Aap ne farmaya ke Rasul Allah ﷺ ne jab Khyber ke yahudion se un ki jayedad ka maamla kiya tha to Aap ﷺ ne farmaya tha ke jab tak Allah taala tumhe qaim rakhay hum bhi qaim rakhen ge aur abdullah ibn Umar wahan –apne amwal ke silsilay mein gaye to raat mein un ke sath maar pit ka maamla kiya gaya jis se un ke paon toot gaye. Khyber mein un ke siwa aur koi hamara dushman nahi’ wohi hamare dushman hain aur inhi par hamein shuba hai is liye mein inhen jila-watan kar dena hi munasib jaanta hon. jab Hazrat E Umar رضي الله عنه ne is ka pukhta iradah kar liya to bano abi Haqiq ( aik yahodi khandan ) ka 1 shakhs tha’ aaya aur kaha ya امیرالمؤمنین kya aap hamein jila -watan kar den ge halaanki Muhammad ﷺ ne Hume yahan baqi rakha tha aur hum se jaedad ka aik maamla bhi kiya tha aur is ki hamein Khyber mein rehne dene ki shart bhi aap ne lagai thi. Umar رضي الله عنه ne is par farmaya kya tum yeh samajte ho ke mein Rasulullah ﷺ ka farmaan bhool gaya hon. jab Huzoor ﷺ ne kaha tha ke tumhara kya haal ho ga jab tum Khyber se nikalay jao ge aur tumahray oont tumhe raton raat liye phiren ge. is par Abu Al Qasim ne kaha yeh a( Huzoor Sallallahu Alaihiwa Sallam) ka aik mazaaq tha. Hazrat Umar رضي الله عنه ne farmaya : khuda ke dushman! tum ne jhooti baat kahi. chunanche Umar رضي الله عنه ne inhen shehar badar kar diya aur un ke phalon ki kuch naqad qeemat kuch maal aur oont aur dosray samaan yani کجاوے aur rassiyon ki soorat mein ada kar di. is ki riwayat Hammad bin Salaama ne Abaidullah se naqal ki hai jaisa ke mujhe yaqeen hai nafea se aur unhon ne Ibn Umar razi Allah anhuma se aur unhon ne Umar razi Allah anho se aur unhon ne nabi kareem ﷺ se mukhtasir tor par .

Sahih bukhari # 2730
kitaab sharait ke masail ka bayan

Hazrat Abu Huraira رضی ﷲتعالی عنہ Byan Farmate Hai Rasul ALLAH ﷺ Ne Farmaya;- Khurasan Se ek Kale Jhande wala Lashkar Nikalenge Un Jhando Ko Koi Cheej Fer Nahi Sakengi Yahan Tak Ke (Palestini Ke Shaher) Aeliya Me Ye Nasab Kiye Jaenge_

(Tirmizi Sharif / Hadees-2269)

Reference: difaeahlesunnat

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form