Mazarat Pe Chadar Chadana Kaisa ? Kabr Pe Chadar Chadana Kaisa ?

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Is Masail Me Bhi Kaum E Wahabiya badi shiddat pasand nazar aati hai inke baaj Maulvi Kabr Pe Chadar Chadane k Mutallik kehte hai Ye ALLAH KI IBADAT Me sharik karna Mushrikeen ka tarika hai.
Baaj Maulvi Kahte Hai inke k ye biddat hai haraam hai Naa Sahabi Ne Kiya Hai Naa Quran Hadees me iska Zikr hai.
Goya Khud Me Confuse hote hai k Asal Me Chadar Chadane pe Hukm Kya hota hai ? Kuch to Mazarat pe chadar chadane ko Hinduo ka tarika batake kehte hai wo Murti Butho Pe Chunri Chadate hai aap Kabr pe Chadar lihaja Bazahir Similarities k bina pe shirk hai. Astagrfirullah
Bas Kaum E Wahabiya Biddat Haram Shirk ye teen alfaaz me har masail ko daal dete hai yehi hota hai aapne bhi dekha suna hoga.
Hamare Kuch sunni jo aqaid to durust hote hai par sahi masail k sahi ilme deen na hone ki wajah se sahi aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilafe shariat amal karte hain, Jis se bad mazhabo ko ye kehne ka mauqa milta hai ke Sunni Shirk biddat karte hain aur bina padhe jaane Apni Takfeer ka Nishana bas Tassub Me Imam E Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi Alaih Rehman pe karte hai halanki is masail me bhi ye jahil wahabi har masail ko padte nahi bas suni sunayi baat pe tassubi Takfeer karte hai.
Is Post ko Mukammal Padhe Bahot Se Aitraaz k Jawab aur Galat Fehmi ka Jawab Islaah Hojaygi In Sha Allah Taala.
Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Maukoof
Mazarat E Auliya Pe chadar Chadana Naa To Farziat me Se hai naa ye Wajibat hai k Jab bhi Aap Kisi Sahib E Mazar K pass jaaye to chadar chadaye aisa jaruri nahi hai yaad rakhe wahabi dhoka dete hai k tum farz samajhte ho hamare kisi Akabir Mufti Fukaha ne ye naa likha hai naa kaha hai.
Kiski kabr Pe Chadar Chadayi Jaaye ?
Musalman baa jahiran 02 kism k hai ek awaam dusre Buzurgane Deen jinhe aam jaban me Auliya Kahte Hai.
Mazarat E Auliya Pe Chadar Chadana Ulema Saaleh ki Kabr Pe Chadar Chadana Ahle Sunnat k Nazdik JAIZ Aur Mahmood hai aur Awaam Muslemin ki Kabr pe Chadar Chadana Nazaiz iska koi faida nahi hai.
Chadar Chadane Ki Asl Kya Hai ?
Khaana E Kaaba Pe Gilaaf Kyu ? Jab Hazrat Ibrahim AlaihSalam ne Hazrat Ismail Alaihsalam ne Khana E Kaaba Ki Taamir Ki Us Wakt se Leke Badhshah E Yamen Tab’a Awwal Hamirī, Jo badhshah e Yaman tha Jo Hazrat Isaa Alaihisalam ki Wiladat se approximately 400 yaa 500 saal pehle yaani aaj 2015 se 2500 saal k pehle Taba Awwal Hamiri Ne jab Khana e Kaaba Ko girane ka faisla kiya aur phir jo alag tarah se bimaar huwa us wakt isne apne irade ko us daur k Ulema par jaahir kiya aur phir un ulema k batane k baad irade ko tarq kiya aur theek hogaya.
Chunki KHANA E KAABA Baitullah hai Aur Awaam k ghar se imtiyaz rakhne k liye isne KHANA E KAABA PAR GILAAF CHADAYA taaki Aam ghar aur BAITULLAH me fark wajeh hojaye iski azmat aur buzurgi awaam ki nazr me aaye is maksad se usne bhi KHANA E KAABA PAR GILAAF CHADAYA jab gilaaf chadaya tha us wakt wo badshah Aag ka Pujari buth parast Mushrik tha phir baad me jaisa k kutoob e seerat me hai k isne Huzoor Nabi E Rehmat Alaihisalam par gaibana imaan laaya.
Is badhshah k amal ko Nabi E Karim Sal Allahu AlaihWassalam ne pasand hi nahi kiya balki fateh Makkah k baad bhi isko kayam rakha aur wo aaj tak Mauzooda Nazdi hukumat bhi kayam rakhe huwe hai.
Isliye Mazarat E AULIYA me bhi Gilaaaf chadaya jaata hai taaki Sahibe kabr ki Azmaat Waqaar ka izhar hojaye aur pata chale ye koi aam kabr nahi balki Auliya ki Kabr Hai.
Allah Ki Nishaniyo Ka Tazeemi Hukm
ذٰلِكَ وَمَن يُعَظِّم شَعائِرَ اللَّهِ فَإِنَّها مِن تَقوَى القُلوبِ
“Aur Jo Allah Ki Nishaniyo Ki Tazeem Kare To Ye Dilo Ki Parhejgaari Se Hai”
(Surah 22 Al Hajj Ayat 32)
ذٰلِكَ وَمَن يُعَظِّم حُرُماتِ اللَّهِ فَهُوَ خَيرٌ لَهُ عِندَ رَبِّهِ
“Aur Jo Allah Ki Hurmato Ki Taazim Kare To Wo Uske Liye Rab k Yaha Bhala
Hai”
(Surah 22 Al Hajj Ayat 30)
In do aayat e Karima se pata chala k jo ALLAH k Deen Nishaniya hai unki tazeem baza laana hum pe laazim hai.
Chadar Chadane Ki Wajah Kya Hai ?
Chunki Mazarat E Auliya Shaʿāʾira llāh Hai aur uski Taazeem jaruri hai
Isliye Mazarat E Auliya pe chadar chadayi jaati hai taaki ek Musalman ki Kabr Aur Auliya Ki Kabr Me Fark wajeh hojaye k Jinki Kabr pe Chadar Chadi hai wo Auliya Ulema me se hai.
Muhammad Amin Ibn Abideen Ash Shami Rahmatullah Alaih
(Al Mutwaffa 1252 Hizri )
Famous Name : Imam Ibn Aabideen Ash Shami Rahmatullah Alaih Apne Fatawa me likhte Hai
“Buzurgan E Deen aur Auliya Wa Saalaheen k Mazarate Tayyabat Par Gilaaf Dalna Jaiz Hai Jabki Ye Maksood Ho Ki Sahibe Mazar ki Waka’at (yaani Izzat Wa Azmat) Awaam ki nazar me paida Ho Inka Adab kare, Inki Barkaat Hasil Kare”
Reference :
(Radd Al Muhtar Ala Al Dur Al Mukhtar Vol :01, Pg : 499)
Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dahelvi Alaihrehma k dada ustad Aarif Billah Allama Abdul Gani bin Ismail bin Abdul Gani Nabilisi Hanfi rahmatullah alaih (Al Mutwaffah 1143 Hizri) irshad farmate hai
“Jo Biddat Hasna Shariyat k Makasid k Muwakif Ho Wo Sunnat hai, Pas Uema E Kiram, Auliya E Jawil Ahteram Aur Sulaha E Izaam ki Kuboor Par Kubba Banana Aur Kabr Posh Yaani GILAAF ‘Chadar’ Daalna Amr Jaiz hai. Jabki Maksood is se Awaam Ki nazro Me Sahibe Kabr Ki Tazeem Wa Taukeer Paida Karna Ho, Taaki Wo Sahibe Kabr Ki Tahkeer Wa Tauheen Naa Kare Aur Isi Tarah Auliya Wa Sulaha Ki Kuboor K Pass Chiraag Roshan Karna Baab Taazeem Wa Takreem Se Hai Isme Maksad Nek Hai, Is Se Logo ko Rokna Munasib Nahi”
Reference :
(Kashfunoor An Ashabil Kaboor Pg : 21, Print : Maktaba E Qadriya Lahore, Urdu translation)
Imam Hafiz ibn Abdul Barr (Al Mutwaffa 487 Hizri)
Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ka Zikr karte Huwe Likhte Hai
“Wo Qastuntunya Me Unki Kabr Shaher K Deewar Par hai Log Uski Tazeem Karte Hai Aur Jab Barish Nahi Hoti Thi To Upar Se Kapda (chadar) Uthake Kabr Khol Dete The Aur Jab Bhi Unki Kabr Pe Jaake Dua Maangte The Dua Kabool Hojati Thi”
(Al Isti'ab Fi Ma'rifat Al Ashab)
Mazar Pe Kitni Chadar Ho ? Aur Jab Chadar Pahle Se Ho To Kya Kare ?
Imam E Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi Rahimullah Farmate Hai
“Aur Jab Chadar Mauzud ho Aur Woh Abhi Purani Yaa Kharab Naa Huwi ki Badalne Ki Haajat Hoto Chadar Chadana Fuzool Hai Balki Jo Daam (rakam) Isme Kharch Kare Wali ALLAH k Rooh E Mubarak Ko Isaal E Sawab k liye Mohtaaz Ko Dein, Haa Jahan Maamool Ho Ki Chadai Huwi Chadar Jab Hazrat Se Zayid Ho khuddam Masakin Hazatmand Le Lete Hai Aur Is Niyat Se Daale To Koi Baat Nahi Ki Yeh Bhi Sadqa Ho Gaya”
(Ahkaam E Shariat Vol : 01, Pg : 72)
Chadar k Mutallik Kuch Galat Rasmaat Aur Uski Islaah
Baaj Log Mannat Maangte Hai Dua Kabool Hojaye To Hum Fala Fala Keemat ki Chadar Chadaynge Kya Ye Mannat Jaiz Hai ?
“Aur Agar Aisi Jagah Jahan Pahle Se Chadar mauzood ho Aur Woh Bosida Aur Kharab Naa Huwi To Chadar Chadane Ki Mannat Maani Ho To Us Mannat Ko Pura Karna Jaruri Nahi Aur Aisi Mannat Maan Na Bhi Nahi Chahye”
(Ba Hawala kitab Galat Fehmi aur Uski Islaah Pg : 67, Maulana Tat’heer Ahmad Barelvi)
Ahle Sunnat Wa Jamaat k awaam ko chahye ki jis amal ki jo sahi haisiyat hai usko wohi hadh tak maane behtar hai jab jaaye Mazarat E Auliya pe Jaha Pahle Se Chadar Mauzood Ho to humne Akabireen k fatwe se bataya k Chadar ki asl kya hai to karna ye chahye Chadar Naa Kharide balki Us chadar k itni rakam nikal k Sadqa Khairat Kar ke Buzurgaan E Din ki Arwaah ko Sawab Nazr karde yaa phir jaruratat Madaris, Masjid, yaa koi dusri jaiz jagah pe kharch kare.
ALLAH Taala Huzoor Rehmat E Aalam Sal Allahu Alaihi Wassalam K Sadqe se hume Sahi Ilm E Din Hasil kar Amal ki taufeek de
Posted by MuHammadi Sunni Hanafi at 05:29 No comments:
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Share to Pinterest
Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم
Virtues of Ahlul Bait E Rasool Allah Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم
Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم
Quran Aur Ahle Bait
Ayat E Mubahila
“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61)
Ye Aayat E Karima Nazraan k Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وسلم se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab k Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski raay k begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte.
Ye Log Asr k wakt Apne Wafd k saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne aaye the.
Allah K Rasool صلى الله عليه وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه وسلم Allah k bheje Rasool صلى الله عليه وسلم Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye
Hadees 01:
“Amir bin Saad Bin Abi Waqqas Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :
“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61)”
To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya :
Ya Allah!
Yeh Mere Ahle Bait Hain.”
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220 “English No : 2404”)
(Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 ‘English No : 2999’)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 ‘English No : 3724’)
(Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 107, Hadees : 8399)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 163, Hadees : 4719)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 07, Pg :63, Hadees : 13169,13170)
Imam Haythami ne As Sawaiqe Muharika Pg : 524 par Sahib E Kasshaf k Hawale Se likhte Hai Usse Badkar Chadar Waalo Ki Fazilat Par Koi Kawi Dalil Nahi Woh Hazrat Ali, Hazrat Sayyida Fatima Aur Hasnain Karimain Radi Allaho Anho Azmain Hai.
Kyuki Jab Ye Aayat E Paak Naazil Huwi to Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Unhe Bulaya Imam Hussain Ko Godh Me Uthaya Aur Iman Hasan Ka Haath Pakda, Hazrat Ali Aur Sayyada Kaynaat Fatima Tuz Zahra aapke piche thi Pas Maloom Hogaya is Aayat se Murad Hazrat Fatima Ki Aulaad Aur Unki Jurriyat Hai Aur Ye baat Muslim Sharif Ki Sahi hadees se saabit hai jo upar bayan ki gayi.
Ahle Bait E Mustafa Ki Pakizgi Ka Bayan
“Aur ALLAH to yehi Chahta Hai Aye Nabi K Ghar Waalo K Tumse Har Napaki Ko Khoob Dur Farmade Aur Tumhe Paak karke Khoob Sutra Farma De”
(Surah Ahzaab Ayat 33)
Hadees 02:
“Hazrat Ayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Subah Key Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Key Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Key Humraah Chaadar Mey Daakhil Ho Gaye Phir Sayyada Fatima RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayi Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Bhi Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya.
Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Unhey Bhi Chaadar Mey Ley Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh Aayatey Mubaraka Parhi :
˝Ahle Bait!
Tum Sey Bari Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”
References :
(Sahi Muslim, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Ahl E Bait E Nabi Sal Allahu Alaihiwassalam, Hadees : 2424)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 159, Hadees : 4707, 4709)
(Imam Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 02 Pg : 149, Hadees : 2680)
AHLE BAIT K MUTALLIK NABI E KARIM صلى الله عليه وسلم KI WASIYAT
Hadees 03:
Arabic Matan :
ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏
فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ
Translation :
Hazrat Zaid bin Arqam Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai
“Ek Roz Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina k darmiyan us paani k Makam me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Taala ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Mai ek bashar hoon ankarib mere Rab Ka Qasid aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAIT HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTALLIK ALLAH SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTTALIK ALLAH SE DARATA HOON ”
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225 “English No : 2408”)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 04, Pg : 366, Hadees :19265)
(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg : 145, Hadees : 123)
(Imam Ibn Khuzaymah Sahi ibn Khuzaymah Vol : 04, Pg : 62, Hadees : 2357)
(Imam Lalka’i Itiqad Ahlus Sunnah Vol : 01, Pg : 79, Hadees : 88)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg :148, Hadees : 2679)
(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 03, Pg : 487)
(Mishkal Al Masabih Vol : 01, Pg : 68)
(Zujatul Masabeeh Vol : 05, Pg : 317,318,319)
QURAN ME AHLE BAIT SE MUHABBAT KA HUKM
قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ
“Yah Hai Woh Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye Tuum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karabat Ki Muhabbat”
(42 Surah Shaura Ayat 23)
Quran E Karim Ne bhi Ahle Bait Ki Muhabbat hum pe Farz kardi hai ab koi behuda shaks Ek taraf ye Kahe k wo Ahle hadees Hai aur phir Quran Aur Beshumar Hadees ko Muhabbat E Yazeed me Inkaar karta jaaye to ye bas Munafikat hai.
MUHABBAT E AHLE BAIT KA HUKM BA JABAN E MUSTAFA صلى الله عليه وسلم
Hadees 04:
Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Apni Aulado Ko Teen Baatein Sikhao
i) Apne Nabi Ki Ulfat Wa Muhabbat
ii) Ahle Bait E Athar ki Ulfat Wa Muhabbat
iii)Quran E Karim Ki Qiraat
References :
(Al Jaame Ul Kabeer Vol : 01, Hadees : 924)
(Jaame Ul Ahadees Vol : 01, Hadees : 961)
(Imam Hussamul Hindi Kanjul Ummat Vol : 12, Pg : 560, Hadees :45409)
(Al Fath Ul Kabeer Vol : 01, Pg : 59)
(As Sawaiqe Muharika Pg : 577)
Hadees 05:
“Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”
References :
(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad, Vol :01, Pg : 168, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)
Hadees 06:
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي
Tum Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789, Arabic No : 4158)
(Mishkaat Ul Masabeeh, Vol : 2, Pg : 573)
( Zujajatul Masabeeh, Vol : 5, Pg : 314/315)
Quran Aur Ahle Bait Ko Thamne Waala Gumraah Na Hoga
“Aur Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aapas Me Sab Milkar Aur Aapas Me Fatt (Bhikar) Na Jaana”
(Surah Al Imraan Ayat 103)
Is Ayat k Tahet Imam Zafar Sadiq Radi Allaho Anho Farmate Hai
“Hum Ahle Bait Hi Hublullah Hai”
(As Sawaiqe Muharika Pg : 101)
Hadees 07:
“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chiz Chodta Hoon Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal”
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees : 4634)
(Imam As Sawaiqe Muharika Pg :145-146)
Hazzatul wida me Yaum E Arfa k Din Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Hazaro Sahaba E Kiram K Saamne Apni Oontni (She Camel) Kaswa par Tashreef Hoke Khutba Padh Rahe The.
Hadees 08:
“Hazrat Jaabir bin Abdullah se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT”
References :
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786 ‘Arabic No : 4155’)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)
Hadees 09:
إِنِّي تَارِكٌ فِيكُمْ مَا إِنْ تَمَسَّكْتُمْ بِهِ لَنْ تَضِلُّوا بَعْدِي أَحَدُهُمَا أَعْظَمُ مِنَ الآخَرِ كِتَابُ اللَّهِ حَبْلٌ مَمْدُودٌ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الأَرْضِ وَعِتْرَتِي أَهْلُ بَيْتِي وَلَنْ يَتَفَرَّقَا حَتَّى يَرِدَا عَلَىَّ الْحَوْضَ فَانْظُرُوا كَيْفَ تَخْلُفُونِي فِيهِمَا ‏"‏
‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akramصلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Mein Tum Mey Aisee Do² Cheezey Chhorey Ja Raha Hoo’n Ke Agar Tum Ney Unhey Mazbooti Sey Thaamey Rakha To Merey Baad Hargiz Gumraah Na Howgey Un Mey Sey Aik Doosri Sey Bari Hey Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Sey Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh Donon Hargiz Zuda Na Ho’n Gee, Yahan Tak Ke Donon Merey Paas (Ikat’they) Hawzey Kawsar Par Aayegi.
Pas Dekho Ke Tum Merey Baad Un Sey Kya Sulook Kartey Ho?”
References :
(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788, ‘Arabic No : 4157’)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 133, Hadees : 30081)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 03, Pg : 14, Hadees : 11119)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 118, Hadees : 4546)
(Imam Nasai As Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 45, Hadees :8148)
(Imam Tabrani Al Mujam Al Awsat Vol : 03, Pg : 374, Hadees : 3439)
(Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir Vol : 01, Pg : 276, Hadees : 323)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg : 65, Hadees : 2768)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg : 644, Hadees :1553)
Hadees 10:
“Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)
Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Sahi Ul Isnaad.
Yaha Humne Quran E Karim Ki aayat E Mubaraka Se Aur 10 hadees E Sahi Se Saabit Kiya k Muhabbat E Ahle Bait hum par Farz Hai Aur Huzoor Nabi E Karim ne Apni Ummat ko ahle Bait E k baare me Wasiyat ki hai.
Lekin aaj kuch Nasibi Urf Wahabi Jo apni zindagi bas bugz e Ahle Bait E Mustafa Ki tarz pe lage hai lihaja Difa E Yazidiat pe hi khud ki zindgi laga rakhi hai. ALLAH aise Logo ko akal de.
Ab Dusri baat aaj kuch log wo bhi dekhe jaate hai jinke saamne Hubbe E Ahle Bait Ka Zikr Karo to unka nakhsa hazma bigad jaata hai Sunnio Pe Shia hone ka ilzaam lagate hai, Shia to kuch bhi dawa kare lekin Muhabbat e Ahle Bait to hamara haq hai ab shia ye jhoota dawa kare to hum ye Muhabbat Apna Rishta E Talluk unse chod de ? Hargiz Nahi
Dekho to sahi Muhabbat E Ahle Bait ka Hukm to Quran ki nass se saabit hai aur sunni qutoob e Hadees me rivayat hai aur hamara tamam Imamo pe Hubbe Ahle Bait ki wajah se Shia hone ka ilzaam laga.
Ahle Sunnat Ka Mazhab ye Hai k Hum Ahle Bait Se Muhabbat karte hai Sahaba Ki Jamaat Se Bhi Muhabbat karte hai Muhabbat E Ahle Bait Ka takaza ye nhi k Ahle Bait Ki kaa naam le aur Sahaba ko gaaliya de ye Mazhab Ibn Saba Urf Yahudi Shiyo ka hai. Allah Taala Inse Bhi Bachaye. Aamin
Posted by MuHammadi Sunni Hanafi at 05:28 No comments:
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Share to Pinterest
Fazail E Sahaba
Fazail E Sahaba Radi Allahu Anhuma Azmayeen
Sahabi Kahte Kisko Hai ?
Sahabi Woh Khushnasib Momin Hai Jinhone Imaan Wa Hosh Ki Halaat Me Ek Nazar Huzoor Nabi E Rahmat صلى الله عليه وسلم ko Dekha Ya Unhe Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbaat Naseeb Huwi Ho Phir Imaan Par Khatmaa Bhi Naseeb Huwa Ho.
Masla 01 : Hazrat Sayyidna Abdullah Ibn Maktoom Radi Allaho Anho Aap Nabina The Chunki Aapne Jahiri Aankh Se Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وسلم Ka Deedar Naa Kiya Par Huzoor Nabi E Rehmat Ki Sohbat Mili To Ye Bhi Sahabi Huwe.
Masla 02: Sahabi Hone K Liye Imaan Par Khatma Shart Hai Jo Log Pehle Imaan waale the baad Me Murtad Huwe Aur Musailma Kazzab Par Imaan Le Aaye Wo Sahabi Nahi Hai.
Masla 03 : Kisi Buzugr Ne Khwab Me Bajahir Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم K Wisaal k baad Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko dekha Aur Imaan Pe Khatma Bhi huwa wo bhi sahabi naa kahlaynge.
Masla 04 : Sahabi Sirf wo hoga jo Aaka Alaihisalam ki jaahir zindgi me deedar kare yaa sohbat mile aur imaan pe khatma ho.
Sahabi Hone ki do ahem shart hai
1) Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Deedar E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ho.
2)Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Sohbat E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Mile.
Sahaba E Kiram Rizwanallahi Taala Azmayeen Ka Darja
Har Nabi Alaihmusalam K Saathi Huwe jinhe Hawari Kaha Jata Hai Jis Tarah Huzoor Rehmat E Aalam Hazrat Muhammad صلى الله عليه وسلم Tamam Nabiyo Me Sabse Afzal Makam Rakhte Aur Sabke Sardaar Huwe, Aap ki Ummat Tamam Nabiyo Ki Ummat Me Sabki Sardaar huwi Us Tarah Aap Ki Ummat K Wali Auliya Ulema Bhi Sab Tamam Ummato k Auliya Ulma k Sardar Huwe Hai, Sahaba E Kiram Ka Makam Bhi Us tarah k Dunya Ki Tamam Ambiya Alaihumsalam k Hawarin se Badke Makam Aur Martaba Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم k Sahaba Huwe koi Gaus Kutoob Abdaal Kitna Hi Amal kare Kisi bhi Makam ko Pahoche Hatta k Aakhir Din tak Aane Waale Insaan Bhi Jama Hojaye to bhi Makam E Sahaba k Ird Gird nahi pahuch Sakte Hai Aur Ho Bhi Kyu Naa Unhe Sohbat Bhi To Tazdaar E Kaynaat Hazrat Muhammad Mustafa صلى الله عليه وسلم ki Mili Hai.
Aur Phir Tamam Sahaba Ka Bhi Darja Ek Jaisa Nahi Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Ispe Izma Hai k Ambiya Alaihisulam k baad sabse Bada Darja Sahaba E Kiram Ka Hai aur unme Sabse Awwal Ameerul Momineen Yaar Gaar E Mustafa Sayyidna Siddiq E Akbar Abu Bakq Siddiq Radi Allaho Anho phir Farooque E Aazam, Usman Zunnuraian Aur Phir Maula E Kaynat Tazdar E Hallata Maula Ali Mushkil Kusha Radi Allaho Anho Ka Makam Hai.
Phir Wo Ashra E Mubbashara 10 Khush Nasib Sahabi jinhe Dunya me Jannati Hone Ki Basharat Di Gyi, Baitur Rizwan Karne Waale Tamam Sahaba, Muhajireen jinhone Makkah E Muazama Se Madina E Munawaara Hizrat Ki ,Ashab E Badr, waale is trah fazilat aur Darje.
Quraan Aur Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmayeen
Quran E Mukaddas Me Jamat E Sahaba k Manakib Aur Fazail Me Beshumar aayat Mauzood Hai Ye Wo Mubarak Jamaat hai k jinko samjhe bina Quran Nahi Samjha Jaa sakta Hai Quran ki aayat Farman E Ilahi Aur Irshadat E Nabvi Ko Dunya Me Failane waale Jamat wo ye sahaba hai ki jamaat hai. Yaha Hum Kuch Aayat E Karima Fazail E Sahaba par pesh kar rhe hai.
Imaan Laana Hai par Kaise ?
Ayat 01 :
وَإِذا قيلَ لَهُم آمِنوا كَما آمَنَ النّاسُ قالوا أَنُؤمِنُ كَما آمَنَ السُّفَهاءُ
“Aur Jab Unse Kaha Jaaye Imaan Lao Jaise Aur Log Imaan Laaye To Kahe Kya Hum Ahmako Ki Tarah Imaan Le Aaye”
(Surah Baqrah Ayat : 13)
Is Aayat e Mubaraka Me Saaf Alfaz Me mauzood hai k ALLAH Irshad Farmata hai k Imaan leke aao ab Sawal hai kiski tarah laaye ?
Khud farmata hai Us tarah laao jis Tarah ye log Imaan Laaye ab Imaan Laane waale wo log kon the ? To wo Sirf Aur Sirf Wo Jamaat E Sahaba hai Jinke Imaan ko, aqaid ko hume Follow karna hai unke tarah imaan laana hai goya Hume Imaan laane pe bhi taqleed e Sahaba karni hai.
Sahaba K Imaan Par ALLAH Tabarakwatala ki MOHAR HAI.
Ayat 02 :
أُولٰئِكَ كَتَبَ في قُلوبِهِمُ الإيمانَ وَأَيَّدَهُم بِروحٍ مِنهُ ۖ وَيُدخِلُهُم جَنّاتٍ تَجري مِن تَحتِهَا الأَنهارُ خالِدينَ فيها ۚ
“Ye Hai Woh Log Jinke Dilon Me ALLAH Ne Imaan Naqsh Kar Diya Aur Apni Taraf Ki Rooh Se Inki Madad Farmayi Aur Inhein Baagon Mein Le Jayega Jinke Neeche Nehrein Beh Rahi Hai, Hamesha Rahenge Unmein”
(Surah Mujadilah Ayat 22)
Ayat E Karima Me Sahaba K Dilo Me Imaan K Naqsh hone ki baat kahi gayi ab Yaha Naqsh ka Kya Maana Hai Ek Misal Se samjhe Jab Deewar me kisi cheez ko tarash kar uspe Naqsh karde to wo mithaya nahi jaa sakta Is tarah Naqsh karda Imaan Sahaba Ka huwa aur ye naksh ALLAH tabarakwatala ne kiya Hai ab jinke Imaan ko ALLAH ne Naqsh kar diya jo Quran kahta hai aur ek khabis Ibn Saba yahudi Shia Grp ye kahe k Tamam Sahaba Nauzbillah Islam se phir gaye to ye kitni badi tauheen aur munafikat kufriya baat hai.
Sahaba Se ALLAH Razi Aur ALLAH Se Sahaba Razi Huwe
Ayat 03 :
رَضِيَ اللَّهُ عَنهُم وَرَضوا عَنهُ ۚ أُولٰئِكَ حِزبُ اللَّهِ ۚ أَلا إِنَّ حِزبَ اللَّهِ هُمُ المُفلِحونَ
“ALLAH Unse Razi Aur Aur Wo ALLAH Se Razi Uske Rahmat Aur Karam Se Yeh ALLAH ki Jamaaat Hai Sunta Hai ALLAH Hee Ki Jamaat Kamyab Hai ”
(Surah Mujadilah Ayat 22)
Jamat E Sahaba Se ALLAH raazi Huwa Aur Wo Log ALLAH se raazi huwe kamyab huwe Aur Is jamaat Ko HIZBULLAH kaha Gaya yaani ALLAH Ki jamaat Ab Koi Shia rafzi kahe k ye Hizbullah Naa the to yakinan wo aur Uska aqeeda Quran Se To milta nahi yaani wo tafarka baaj Fitna Parast Khatmal Hai Maloon Hai Jinka Islam Aur Quran se koi lena dena nahi hai.
ALLAH Se Dua Hai Hume Muhibbe ASHABUN NABI AUR AHLE BAIT KA MUHIB BANAYE.
Farmaan E Mustafa صلى الله عليه وسلم Sahaba K Fazail
Koi Kitna Hi Amal Karle Sahaba k Martabe Ko Nahi Paa Sakta
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho se rivayat hai k Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Irshad Farmaya
"Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza E Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
References :
(Sahi Muslim, Vol 04, Pg : 134, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba Radiallahu Anho Azmain, Baab No 54 Sahaba ko Bura Na kaho, Hadees : 3470)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Book No 42 Kitab Al Sunnah Rasool Allah صلى الله عليه وسلم , Hadees : 4658)
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه وسلم, Hadees : 3861)
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab Al Mukaddam,Hadees : 161)
Note : Ye hadees Imam Abu Dawood aur Imam Tirmizi ne Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anho se rivayat ki.
Magar Afsos Sad Afsos Deobandi jamat ne akeeda gada Ummati Amal Me Nabi Se bad Sakta Hai. Astagifirullah.
Sahaba Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Ka Azr E Azeem
Hadees 02:
“Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmaya Kartey They Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Aik Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hey.
References :
(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 57, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162)
(Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg : 405, Hadees : 32415)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol : 02 Pg : 484, Hadees : 1006)
Jo Sahaba Ko Takleef Pahuchaye Usne Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Takleef Pahuchayi
Hadees 03:
“Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
˝Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakreyga.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696, Book No 49 Kitab Manakib, Baab : Ana Rasool Allah صلى الله عليه وسلم, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees -20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)
Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan likha hai.
Sahaba k Mutallik Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Wasiyat Aur Nasihat
Hadees 04:
“Hazrat Jaabir Bin Samurah Radi Allaho Anho Sey Riwayat Hey Unhoney Bayan Kiya Key Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ney Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :
Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain.
Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain.
Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Radi Allaho Anho Sey Marwi Aik Riwayat Mey Farmaya :
Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”
References :
(Sunan Ibn Majah Vol : 03,Pg : 353, Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01, 98, Hadees : 144)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 187,188, Hadees : 388, 390)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)
Sahaba Pe Tabbara Karne Waalo Par Lanaat
Hadees 05 :
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi) Par Allah Ta’ala Ki Laanat Ho.”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 : Pg : 697, Kitabul Manakib, Hadees : 3866)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366)
(Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01, Pg : 263, Hadees : 1022)
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Farmaan Sahaba E Kiraam Rizwanullahi Azmayeen Sitaro Ki Manind Hai Jiski Pairwi Karoge Hidayat Paa Jaoge
Hadees 06:
Hazrat Umar ibn khattab Radi Allaho Anho se rivayat Hai Unhone Rasool ALLAH صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna Nabi صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Maine Apne Rab Se Apne Sahaba Kay iktelaf k Muttalik Sawal Kiya Jo Mere Baad Hoga.
ALLAH Ne Meri Taraf Wahi Farmayi AYE Muhammad صلى الله عليه وسلم Tumhare Sahaba Mere Nazdik aise hai jaise aasman k sitaro ki manind hai inme baaj baaj pe afzal hai lekin sabke sab Nooroni Hai.
Aye Mehboob Agar Inme Baad me Ektelaf hojaye to jo inme se jiski pairvi
kare wo hidayat paa jayga. Phir Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmya Aye Logo jaan lo mere Sahaba Aasman me Chamakte Sitaro ki manind hai inme se jiski pairvi karoge hidayat Paa Jaoge.
References :
(Mishkat Al Masabih Vol : 03, Baab : Manakib e Sahaba,Hadess 5762)
(Imam Bayhaqi Vol : 01, Pg :162, Hadees : 152)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 04, Pg : 160, Hadees : 6497)
(Imam Zahbi Al Mizanul Aitedaal Vol : 02, Pg : 142)
(Khatib Bagdadi Al Kifaya Vol : 01, Pg : 48)
(Imam Abu Qadama Maqdisi Hambli Ne AL Mugni Vol : 03)
(Imam Ibn Katheer Tuhfatut Talib Vol : 01, Pg : 45)
No photo description available.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form