Wasila lena Jaiz hai, Dalail Quran o Hadith se.

 Wasila lena Jaiz hai, Dalail Quran o Hadith se.

 ALLAHﷻ Ki Qudrat Hai Ke Woh Bina Waseele Ke Bhi Ata Kar Sakta Hai Lekin ALLAHﷻ Qanoon Hai Ke Waseele Ke Zariye Se Hi Ata Karta Hai.

Sureh Maa’idah Ayat No.35

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰہَ وَ ابۡتَغُوۡۤا اِلَیۡہِ الۡوَسِیۡلَۃَ وَ جَاہِدُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِہٖ لَعَلَّکُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ ﴿۳۵﴾اے ایمان والو اللہ سے ڈرو اور اس کی طرف وسیلہ ڈھونڈو اور اس کی راہ میں جہاد کرو اس امید پر کہ فلاح پاؤ ۔

Kanzul Iman Translation

Aye Imaan Waalo Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhoo’ndo Aur Uski Raah Me’n Jihaad Karo Iss Ummeed Par Ke Falaah Paao.

Sureh Baqarah Ayat No.89

وَ لَمَّا جَآءَہُمۡ کِتٰبٌ مِّنۡ عِنۡدِ اللّٰہِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَہُمۡ ۙ وَ کَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ یَسۡتَفۡتِحُوۡنَ عَلَی الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ۚ ۖ فَلَمَّا جَآءَہُمۡ مَّا عَرَفُوۡا کَفَرُوۡا بِہٖ ۫ فَلَعۡنَۃُ اللّٰہِ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۸۹﴾اور جب ان کے پاس اللہ کی وہ کتاب (قرآن)آئی جو ان کے ساتھ والی کتاب (توریت) کی تصدیق فرماتی ہے اور اس سے پہلے وہ اسی نبی کے وسیلہ سے کافروں پر فتح مانگتے تھے تو جب تشریف لایا ان کے پاس وہ جانا پہچانا اس سے منکر ہو بیٹھے تو اللہ کی لعنت منکروں پر ۔

Kanzul Iman Translation

Aur Jab Unke Paas Allah Ki Woh Kitaab (Qur’aan) Aayi Jo Unke Saath Waali Kitaab (Tauret) Ki Tasdeeq Farmaati Hai Aur Isse Pehle Woh Isi Nabi Ke Waseele Se Kaafiro’n Par Fateh Maa’ngte The To Jab Tashreef Laaya Unke Paas Woh Jaana Pehchaana Usse Munkir Ho Baithe To Allah Ki La’nat Munkiro’n Par.

Huzoor ﷺ Ki Wafat Baad Wasila Ka Saboot Hadees se

:- Ek Shaks Kai Bar Hazrat Usman Bin Affan Radialla Ta’ala Anhu Ke Paas Apni Hajat Rawai Ke Liye Aata, Lekin Hazrat Usman Radialla Ta’ala Anhu Ne Uspar Tawajjoh Nahi Diya,Tab Wo Hazrat Usman Bin Hunaif Radialla Ta’ala Anhu Ke Paas Gaya Aur Maamle Ki Shikayat Ki_To Hazrat Usman Bin Hunaif Radialla Ta’ala Anhu Ne Farmaya:Jaao, Achhi Tarah Wuzu Karo, Aur Fir Masjid Me Aakar 2 Rakat Namaz Ada Karo, Aur Fir Is Tarah Kaho,”aye Allah! Mai Tujhse Sawal Karta Hu, Aur Teri Taraf Rukh Karta Hu, Aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-rehmat Ke Waseele Se Tujhse Dua Karta Hu, Aye Muhammad ﷺ Maine Apni Hajat Ke Liye Apke Waseele Se Allah Ki Taraf Rukh Kiya, Aye Allah! Ye Waseela Qubul Farma”_Aur Fir Apni Haajat Pesh Karo, Aur Fir Mai Tumhare Sath Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ke Paas Chalta Hu.To Us Shaks Ne Waisa Hi Kiya, Jaisa Ki Use Karne Ke Liye Kaha Gaya Tha,Fir Iske Baad Wo Hazrat Usman Radialla Ta’ala Anhu Ki Bargah Me Hazir Hua, Darwaze Wale Ne Is Shaks Ka Hath Pakda Aur Hazrat Usman Radialla Ta’ala Anhu Ke Paas Le Jaakar Bitha Diya,Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne Pucha, ‘tumhe Kya Chahiye?’To Us Shaks Ne Apni Hajat Pesh Kiya, Jo Kuch Use Zarurat Thi, Tab Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne Use Ata Farma Diya.Is Hadees Ko Imam Munziri Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Salat-ul-hajat Me Naqal Farmaya Hai, Aur Kaha Ki Imam Tabrani Ne Is Hadees Ki Sanad Ko Sahih Kaha Hai.

Reference { At-targheeb Wa Tarheeb, Page No. 129 In The Chapter Of Salaatal Haajat }Reference { Isnaad: Tabarani Related This In Al-mu‘jam-ul-kabir {9:31#8311}And Al-mu‘jam-us-saghir (1:183-4). There Were Other Scholars And Traditionists Woh Narrated This Hadith Such AsAl-bayhaqi, Dala’il-un-nubuwwah (6:167-8);Mundhiri, At-targhib Wat-tarhib (1:474-6);Subki , Shifa’-us-siqam Fi Ziyarat Khayr-il-anam (P.125 }Reference { Haythami, Majma‘-uz-zawa’id (2:279);And Suyuti In Al-khasa’is-ul-kubra (2:201-2).Mundhiri Graded It Sahih (Sound)Isi Hadees Ko Imam Bayhaqi Ne Apni Dalailun Nabuwwa Me Naqal Kiya.Reference { Dala’il Un Nubuwwah Volume 006, Page No 167-8, Front Cover, Dala’il Un Nubuwwah, Published By Dar Al-kutub Al-ilmiyah, Beirut, Lebanon

Imam Tabrani ne Ma’jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-307, Hadees : 508 ka Is Hadees Ko Likne Ke Baad Imam Tabrani Ne Khud Hi Likha Hai Ye Hadees Sahi Hain.

Imam Imam al-Mundhiri ne At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah Is Hadees Ke Sahi Hone Me Gawahi Dete Hain

Hazrat Musaab Bin Saad Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki (Ek Martaba) Hazrate Saad Bin Abi Waqqas Radiallahu Anhu Ke Dil Me Khayaal Aaya Ki Inhein Un Logon Par Fazeelat Hai Jo Maalee Lihaaz Se Kamzor Hain To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :Yaad Rakho Tumhare Kamzor Aur Za’if Logon Ke Waseele Se Hee Tumhein Nusrat (Madad) Ata Kee Jaati Hai Aur Un Ke Waseele Se Hee Tumhein Rizq Diya Jaata Hai.

”Reference :Arabic ref sahi bukhari pg 1061 hadees 2739(Sahi Bukhari Vol : 04, Pg :99, Kitabuz Jihad, Baab : باب مَنِ اسْتَعَانَ بِالضُّعَفَاءِ وَالصَّالِحِينَ فِي الْحَرْبِ Jisne Madad Haasil Ki Zaeefo Aur Neko Se , Hadees :2897)

HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ Ke Wisaal Ke Baad Ek Arabi Roza-e-Aqdas Par Hazir Hua Aur Roza Shareef Ki Khaak-e-Paak Apne Sar Par Daali Aur Arz Karne Laga ” YA RASOOLALLAH” ﷺ Mene Quran Kareem Ki EkAayat Suni He,””’Walav Annahum Ij-Zalamu Anfusakum”Me Apne Gunaaho ki Bakhshis ke lie Aap ki Baargaah me Hajir ho gaya hu Aur Aap ko Apne Rabb ki Baargaah me Safi Banata hu, Fir Usneye Ashar Padhe,• “Ya Kheyra Man Dufenat BilKaae Aa’zmohuKhtaa Min Tiybehinnal Kaao Wal AkmoNafsiyul Fedaao Lekabrin Anta Sakenohu FihilEfafo Wa Fihil Judo Wal Karmo”(Tarjuma : Ay Un Sab Se Afzal Tarin Hasti Jinki JasdKhaki Ko Us Sar Zamin Me Dafan Kiya Gaya He,Jinki Khusboo Se Meidaan Aur Teile(Pahad)MahekUthe, Meri Jaan Us Qabr Par Qurbaan Ho Jis MeAap Jalwa Farma He, Usi Me Paarsaai(Paaki) HeAurUsi Me Judo Sakha He)Ye Sher Kehne Ke Baad NABI E PAAK ﷺ Ke QabrSe Awaaz Aayi Ja ALLAH TA’ALA Ne Tuje BakhsDiya Hain.

(Shob-Ul-Iman Imam Abi BakrAhmad Bin Al Husain Al Baheqi)

(1) Imaam Ibn Kathir, Tafsir-ul-Qur’an al-azimVolume 004, Page No. 140, Under the Verse 4:64](2) Imaam Behaqi Rahmatullah Alay, ShoebulImaan, Jild-3, Safa-495, 496, Hadees-4178](3)imaam Qurtabi Rahmatullah Alay, Tafseer Al jami al ehkaam al quran ,jild 6 safa 439 surah nissa ,aayat 64(4)/[Ibn Qudamah in al-Mughni- (Book : Kitab AlHai Chapter : Wa Yustahabbu Ziyarat abr AnNABI SAW Volume : 5 Page: 465](4)ibn ‘Asakir in Tahdhib tarikh Dimashqal-kabir popularly known as Tarikh/Tahdhib ibn’Asakir as quoted by Imam as-Subki inShifa’-us-siqam fi ziyaat khayr-il-anam (pp.46-7)6) Tafsir al-Bahr al-Muheet by Imam AbuHayyan al-Andalusi (3/282, Dar al Fikr edition) orBook : Tafseer bahr Al Muheet Volume : 3 Page :269 Under : Sorat An Nisa Ayat number 64](7)[Imaam Nafasi Tafseere Madarikh, jild 1,Underayaat surah Nisa 64](8)imam al-Mutaqi al-Hindi in Kanz ul Amaal (1/714 #10422) or Book : Tafseer bahr Al MuheetVolume: 3 Page : 269 Under : Sorat An Nisa Ayatnumber 64 (9) Imaam jalaluddin suyuti Rahmatullah alay Tafseere durre Mansoor ,surah Nissa Aayat 64 (10) Imaan Jalaluddin Suyuti RahmatullahAlay, Tafseere Jalalayn safa 60, surah NisaAyaat 64]11 [imaam Nawawi Rahmatullah Alay, KitaabAl Azkaar, Safa-179](12)Imaam Nawawi Rahmatullah Alay ne AlMajmua, Jild-8, Safa-202, 203]13)[Imam Ibne Hajar Haythami RahmatullahAlay, Al Jawharul Munnazam, Safa-51]1 4[imam Samhuddi “Wafa Al Wafa” jild 4,]

Bahot Se Mufasireen Ne Is Wakay Ko Likha Kisi Ek Ne Bhi Ye Guman Nahi Kiya Ke Ye Shirk HaiBiddat Hai Ye Kaisa Shirk Hai Jab Tak Banda Hayat Ho Tab To Tauheed Ho Aur Wisal Baad Shirk Hojaye?Shirk Hamesha Shirk Hi Rahega Wo Ek Pal Bhi Tauheed Nahi Banega.Is Hades Se Waseele Ke Alawa Aur Bhi Aqeede Zahir Hote He,Filaal Arabi Ne HUZOOR ﷺ KO RABB TA’ALA Ki Baargaah Me Shafi Banakar Apne Aap Ko Bakhswa Diya..

Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi ﷺ Ne Farmaya,Jab Adam ale salam Se Ek Khata Sarzad Ho Gayi Aur Fir Unhone Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Se Is Tarah Dua Ki,”aye Allah, سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Mai Muahammed ﷺ KeWaseele Se Tujhse Dua Mangta Hu, Mujhe Maaf Kar De,To Allah Taala Ne Pucha, ‘tumne Muhammed ﷺ Ko Kaise Jana?’ To Hazrat Adam ale salam NeFarmaya: Jab Tune Mujhe Banaya Tha TabMaine Apna Sar Upar Ki Taraf Uthaya To DekhaKi Arsh Likha Tha,”la llaha Illallah Muhammadur Rasoolullah’Tab Mai Samajh Gaya Ki Inka Maqam Bahot Aalaha Hai,Warna Tumne Ye Naam Apne Naam Ke Sath Nahi Likha Hota,Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Ne Farmaya:”‘maine Tumhe Bakhsh Diya, Aur Wo Tumhari Hi Aulado Me Se Mere Akhri Rasool Honge, Aur Maine Unhi Ke Sadqe Tumhe Paida Farmaya Hai.”Dusri Riwayat Me Hai KiJab Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Ne Asman-o-zameen Ko Paida Farmaya To Arsh Ke Khambo Per, Jannat Ke Darwazo Per,Darakhto Ki Pattiyo Par Likha Tha Ki Muhammed ﷺ Aakhri Rasool Hain,Ye Dono Riwayaten Saheeh Hain,

References:[Tabarani Mu’jam Al-ausat Vol; 06, Pg No.313-314, Hades : 6502][Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya, Vol. 2, Page150 [ Ta’rikh ibl kathir , chapter on ( story of Adam ) [ shifa us siqam Fi ziyarat khayr -il-anam page no. 120-121 ] [imam Bulqini Ne Apne Fatwe Me Is Hadees KoSahee Karar Diya. Hafiz In Taymiyya, KeBalawa Bhi Is Riwayat Ko Dusre MuhaddesinHafiz Imam Suyuti, Al-bayhaqi Aur Tabrani, NeBhi Saheeh Sanad Ke Sath Naqal Farmaya Hai.

Hazrat Abduallah Bin Abbas رضي الله عنه ne
farmaya:

“Kahybar Ke Yahoodi Ghatfaan Qabile Se Bar Sar E Paykaar Raha Karte The (Yani Ladte Rahete The), Pas Jab Bhi Dono Ka Samna Hua Yahoodi Shikast Kha Gaay. Phir Yahoodiyun Nain Is Dua K Zareeay Panah Mangi: Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI
MUHÁMMAD MUSTAFA ﷺ Ke Waseelay Say Sawal Karty Hain Jinhain To Tu Nain Akhri Zamana Main Hamary Liay Bhyjny Ka Hum Say Wada Farmaya Hay K In (Duhsmanon) K Mubqably Main Hamary Madad Farma.’ Rawi Kehty Hain: Pas Jab Bhi Wo Dushman K Samny Ay To Unhoun Nain Yehe Dua Mangi Aur
Ghatfaan (Qabeela) Ko Shikast Di. Laykin Jab HUZUR NABI AKRAM _;ﷺ mab’us huay to unhoun ne ﷺ ka inkar kiya. Is par ALLAH Ta’ala nain yeh ayat utari:


وَلَمَّا جَآءَهُمْ كِتَـٰبٌۭ مِّنْ عِندِ ٱللَّهِ مُصَدِّقٌۭ لِّمَا مَعَهُمْ وَكَانُوا۟ مِن قَبْلُ يَسْتَفْتِحُونَ عَلَى ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ فَلَمَّا جَآءَهُم مَّا عَرَفُوا۟ كَفَرُوا۟ بِهِۦ ۚ فَلَعْنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلْكَـٰفِرِينَ

Aur Jab Unke Paas Allah Ki Woh
Kitaab (Qur’aan) Aayi Jo Unke
Saath Waali Kitaab (Tauret) Ki
Tasdeeq Farmaati Hai Aur isse
Pehle Woh Isi Nabi Ke Waseele
Se Kaafiro’n Par Fateh Maa’ngte
The To Jab Tashreef Laaya Unke
Paas Woh Jana Pehchaana
Usse Munkir Ho Baithe To Allah
Ki La’nat Munkiro’n Par. (Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 89)
“Halnky is say pehly wo khud Ay Muhammad ﷺ ap k waseelay say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty thy.’

(Imam Haakim Al Mustadrak Vol : 2 Pg: 316,
Hadith number : 3101)

Hazrat Usman Bin Hunaif رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat hai,ki ek Naa-beena(Andha ) shaks Nabi ﷺ ki bargah m hazir hua aur bola, ‘Aap mere liye dua kijiye ki ALLAHﷻ mujhe shifa ata farmaye,’
to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu’ To usne kaha ‘Aap Dua kijiye,’ Aap alaihe salam ne farmaya: jao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,

“Allahumma lnni as’aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya.

Tarjuma: Aye ALLAH ﷻ mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed ﷺ Nabi-e-Rehmat ﷺ ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed ﷺ, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAHﷻ Ye Waseela qubul farma’

References :
[Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578]
[Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519]

[Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385]
[Nasa’i – Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -658,659]

Qazi Shawkani Jinhe Gair Mukallideen Ahle Hadees Jamat k nazdik bahot Motebar maana jaata hai Apni kitab Tuhfatuz Zakireen me Isi Hadees k hawale se likhte hai “Aur Is Hadees e paak se Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Waseela Lene Ka Saboot Milta hai Lekin Ye Akeeda Ho k ALLAH HI ATA KARTA HAI WO HI LETA HAI JO ALLAH CHAHE JO NA CHAHE WO HI HONA HAI”
Scan page niche hai mulahiza ho

[Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani]
Scan Page of Tuhfatuz Zakireen by Qazi Shawkani

Abu-Al-Jawaza Aws Bin Abdullah radialla taala anhu se Imam Darimi riwayat karte hain ki, Madina ke log ek bar sukha padne ki waja se pareshan ho gaye, woh Hazrat Ayesha Siddiqa رضي الله عنها ke pas apni shikayat lekar pahuche, Aapne farmaya ki Rasoolullah ﷺ salam ki Qabr ke paas jaao, aur unke Rauze aur asman ke darmiyan upar ek khidki khol do, taki Rauza-e-Aqdas aur Asman ke darmiyan koi parda na reh jaye,
raawi farmate hain ki humne aisa kiya to bahot zor se barish shuru ho gayi, hari bhari ghaas nikal aayin, aur hamare oont mote ho gaye, ki lagta tha zyada khane ki waja se phoot padenge. So is saal ka naam Hariyali wala saal rakha gaya.

References :
[Sunan Darmi Vol:001, Page 227, Hadees:93]
[Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Baab 39: Huzoor Ki Kabr E Mubarak K Tawassul Se Barish Ka Bayan Vol:02, Pg:817-818]
[Khatib Tabrizi Mishkat Ul Masabih Vol-04,Pg:400, Hadees : 5950]
[Imam Qastalani Al Muwahib Ul Laduniyah Vol-04, Pg:276]
[Sharah Zurqani Vol:11, Pg:150]
[Imam Taqyudin Subki Shifa us Siqaam Fi Ziyarat Khayril Anam Vol:01 Pg:128]

Scan Page of Imam Jauzi Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa

Is Hadees e Paak se Sahaba Razi Allahu Anhuma Azmain ka akeeda pata chalta hai Barish na thi chahte to ghar bethke dua karte par Ummool Momineen Ayesha Siddika Razi Allahu Anha k pass jaake pahuche aur Akeeda kya diya Ummol Momineen ne k Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam k upar dome(CHATTH) par khidki khol do Aasman deedar e Roza E Rasool Alaihi Salam karlega to Barish hojaygi aur hua bhi Pata chala Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam se faiz aaj bhi jaari hai .. Subhan Allah

Imam Ibn Hibban رضی ﷲتعالی عنہ Likhte Hain Ki Jab Bhi Mai Kisi Musibat Me Hota To Ali Bin Musa رحمتہ ﷲ علیہ Ki Qabr Pe Chala Jata Aur Unke Waseele Se Dua Karta ALLAH Unke Dada Per Rehem Farmaye, Aur ALLAH Se Kehta Ki Meri Pareshani Ko Door Kar De. Is Chiz Ko Maine Aksar Kiya Aur Ye Asardar Paya.

[Ibn Hibban, Kitab uth-Thiqat Volume 008, Page No. 456-7 “14411, Publish By al-Kutub al-Thamafiyah, Haydarabad Deccan, India]

IMAAM SHAFAI رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain:

Mujhe Jab Koi Hajat Pesh Ati Hai, Main 2 Rakat Namaz Ada Kar Key Imam-E-Azam Key Mazar-E-Pur Anwar Per Ja Kar Dua Mangta Hon, “Allah Meri Hajat Poori Kar Deta Hai.”

(Khairat-ul-his an, pg.no. 230)

Abul Faraz Hazrat Abdur Rehman Ibn Jauzi Siddique Hanbali رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 597 Hizri)Apni Kitab Uyunul Hikayat me ek hikayat naql karte hai “Hazrat Syedna Muhammad Ibn Harb Hilali رحمتہ اللہ علیہ Farmate hain Ek Martaba Mai Roze E Rasool Par Haajir Hokar Nazrana E Durood Salam Pesh kar raha tha ki Ek Arabi Ne Qabr Pur Anwar Par Hajir Hokar Salat Wa Salam Pesh Kiya Aur Huzoor E Anwar Ki bargaah bekas Panah Me Is Tarah Arz Gujar Huwa Ya Rasoolullah ﷺ Jo Aap Ne Farmaya Hum Ne Suna Aur Jo Aap Par Nazil Huwa

Sureh Nisa Ayat No.64

وَ مَاۤ اَرۡسَلۡنَا مِنۡ رَّسُوۡلٍ اِلَّا لِیُطَاعَ بِاِذۡنِ اللّٰہِ ؕ وَ لَوۡ اَنَّہُمۡ اِذۡ ظَّلَمُوۡۤا اَنۡفُسَہُمۡ جَآءُوۡکَ فَاسۡتَغۡفَرُوا اللّٰہَ وَ اسۡتَغۡفَرَ لَہُمُ الرَّسُوۡلُ لَوَجَدُوا اللّٰہَ تَوَّابًا رَّحِیۡمًا ﴿۶۴﴾

Kanzul Iman Translation

Aur Humne Koi Rasool Na Bheja Magar Isliye Ke Allah Ke Hukm Se Uski Ita’at Ki Jaaye Aur Agar Jab Woh Apni Jaano’n Par Zulm Kare’n To Aye Mehboob Tumhaare Huzoor Haazir Ho’n Aur Phir Allah Se Mu’aafi Chaahe’n Aur Rasool Unki Shafa’at Farmaaye To Zaroor Allah Ko Bahot Tauba Qabool Karne Waala Maherbaan Paaye’n.

Mere Aaqa ﷺ Mai Allah ﷻ se Apne Gunaho ki Muaafi talab karte huwe Aap ki bargaah me Haajir Hoon Aur Aap Ko Allah ﷻ ki bargaah Me Apna Shafi banata hooni) Yeh Kah Kar Woh Aashiq E Rasool Rone Laga Aur Uski Jaban Par ye Ashaar Jari they | Aye woh bahtareen Jaat Jis Ki Mubarak Haddiya Jamin Me Dafn Ki gayi To Unki Umdgi Aur paakizgi Se Maidan Aur Teele Pakeeza Hogaye Meri Jaan Fida Ho Us Qabr Anwar par jisme Aap Aaram Farma Hai jis Me Paak Damani, Sakhawat Aur Afwo Karam Ka Besh Baha Khajana Hai | Woh Ashiq Rasool In Ashaar Ka taqraar Karta Raha Phir Istegfaar Kiya, Gunaho ki Muaafi Mangi Aur Rota Huwa Wapas Chala Gaya, Muhammad Ibn Harb Hilali رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hai Uske Jaate Hi Meri Aankh Lag Gayi, Maine Khwab me Sarkar E Do Aalam ﷺ Ki Ziyarat Ki, Aap Ne Irshad Farmaya Us Arabi Se Milo Aur Usse khush khabri Sunao ki Allah ﷻ Ne Meri Sifarish Ki wajah se uski magfirat farma di hai”

(Imam Abul Faraz Ibn Jauzi Uyunool Hikayat Pg: 378)

Hazrat Imam Ibn e Jawzi Farmate Hai:-

Jab Meri Bimari Bahut Zyada Bad Gayi Aur Me Apni Bimari Se Aa’jiz Aa Gaya Tu Me Saliheen Ki Qabro Par Jata Aur Un Auliya Ke Wasile Se Allah Se Dua Karta Toh Mujhe Maula Ke Karam Se Aaram Rahat Mil Jaati

Saeed al-Khatir [Published Dar al-Qalam Damishq Syria Vol 1 Page 93

JAB KOI KHOF YA KISI KA KHATRA HO, TOH AISI SURAT MAIN RASOOL ALLAH ﷺ KI QABR E MUBARAK KE WASILAY SE MADAD TALAB KARE Tabai’ – Imam Muhammad Bin Munkadir

SIYAR ALAM AN NUBALA VOL5 353,358,359 SCAN PAGES

IBN KATHIR IBN TAYMIYYAH ka shagird LIKHTA HAI:

Log Hazrat Umme Haram Ki Qabr Mubarak Ki Tazeem Karte Aur Unki Qabr Par JAKAR UNKE Wasile Se Baarish Ki Dua Karte Aur KEHTE HAI KI YE EK MUTTAQI AURAT KI QABR HAI

Ref: Al Bidaya wan-Nihaya Published Dar Hajr Oman Vol 10 Pg.no 229

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form