Shab e Baraat


Shab e Baraat

Mauzooda daur me kuch roshan khayali naam nihad ahle hadees jo Hai Wahabi ye Firqa Ummat e Muslima me har mahina kuch na kuch fitna chodta hai har us amal ko shirk biddat haram kehte hai jiska talluk aqaid or maamlaat E ISLAMIYA se hai aaj se kuch saal phle aapne kisi ko bhi SHABAN ki fazilat aur ki 15wi shab jisko Shab E Baraat kaha Jaata Hai us raat jaag kar Namaz Roza Tilawat Karne ka Inkaar karte nahi dekha hoga par ab ek aisa firqa wajood me hai Ibadat us firqe par bhoj hai hama waqt bahane talashte hai k kisi tarah ummat e muslimah ko gumraah kare Amal Se roke.

NISF E SHABAAN 15wi Raat Shabaan Ki ALLAH TAALA KI KHAS REHMAT BANDO KI TARAF MUTWAZZE HOTI HAI HUM IS RAAT KO JAAG KAR ALLAH ﷻ KI IBADAT KARE USKE MEHBOOB ﷺ KA ZIKR KARE ISALE SAWAB KE LIYE FATIHA KARE PHIR BHI INKO TAKLEEF HONE LAGTI HAIN SHIRK BIDDAT YAAD ATA Hain

Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid رضي الله عنه Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”

Reference : (Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358)

Hazrat Ma’az Bin Jabal رضي الله عنه Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.

Reference (Sahih ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed ki bunyaad Pe SAHIH hai. (Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776)(Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani (Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)

Hazrat Abu Baqar Siddique Radiallahu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jab Nisf E Shaban Ki Raat Aati Hai Allah Taala Aasman E Awwal Me Istawa Karta hai Aur Apne Bando Ki Magfirat Karta hai Siwaye Mushrik Aur Dilo Me Bugz Nafrat Rakhne Waalo Kay”

References : (Imam Asim As Sunnah Vol : 01, Pg : 222, Hadees : 509)

Abdullah ibn Amr ibn Al Aas رضي الله عنه rivayat karte hai k Nabi ﷺ ne Farmaya ALLAH Taala 15th Shaban ki Shab Par Nazre Karam Karta Hai Aur Apne Bando Ko Baksh Deta hai siwaye keena parwar aur naahaq qatl karne waalon ke

References : (Musnad Ahmad Vol : 06, Hadees : 197 – 98, Hadees : 6642)Ahmad Shakir SAHIH.(Imam Hasan Al Khallal, Al Majalis Al Ashrah Vol : 01, Pg : 18, Hadees :02)(Yahya Al Shajiri, Tarteeb Amali Al Khamesiyyah, Vol : 02, Pg : 48, Hadees : 1539)(Naseerudin Albani Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol :03, Pg : 136)Al Bazzar ne is hadees ko riyayat kiya aur hasan kaha Shaykh Shuayb Arnaut Ne Hasan Li Ghairih(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg: 65)

Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.

Reference : (Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra, Hadees : 6386 and Shu’ab, 3:342 #3711, 3713), Issi Rivayat Ko Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Imam Ibn Asakir Ne Naql Kiya. (Imam Daylami Musnad Al-Firdaws Vol :2 Pg : 311 Hadees : 2797 )

Hazrat Kaseer bin Murrah Radi Allaho Se rivayat hai k Rasool ALLAH ﷺ ne Farmaya 15wi Shaban ki raat ALLAH Mutawajje Hota Hai. Is Raat me wo tamam ko bakshdeta Hai Siwaye MUSHRIK aur Kina Warke (Adawat Waale Ko)”

Reference : (Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 09, Pg : 614, Hadees : 30462)(Musannaf Abdul Razzaq Vol : 04, Pg :316 – 317, Hadees : 7923)(Imam Bayhaqi Al Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 381, Hadees : 3830, Darul Fikr Berut)(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabeer Vol : 20, Pg : 108 -09)(Imam ibn Hibban Sahih Vol : 07, Pg : 470)(Imam Ibn Asim Sunnah Vol :01, Pg : 224)(Imam Ibn Rajab Hanbali Lataif Al Marif Vol 01, Pg :224 Sahih Kaha)(Imam Ibn Hazar Haythami Majma Al Zawaid Vol : 08, Pg :65)Imam Tabarani Mujam Al Kabir Wa Awsat Me naql kiya dono kay raavi siqah hai.

Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha farmati hai k Rasool Allah ﷺ ne farmaya “Mere pass Zibril Alaihsalam Aaye ye Shaban ki 15wi raat hai isme ALLAH Rabbul Izzat itno ko aaazad karta hai jitne BANI KALB ki Bakriyo k baal hai siwaye1) Kafir Mushrik2) Adawat waale,3) Maa baap k nafarmaan4) Sharabi Inki taraf Nazre Rehmat nahi farmata hai

Reference (Imam Bayhaqi Shuyabul Imaan Vol : 03, Pg : 384, Hadees : 3837)

Hazrat Abu Moosa Ashari Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Taala 15wi Shab Ko Zuhoor Farmata Hai Aur Mushrik Aur Chugul Khor Kay Elawa Sabki Bakshish Farma Deti Hai”

References : (Sunan Ibn Majah, Pg : 247, Kitab Iqaamah Assalah Wasunnah Fiha, Baab Maa Jaa Fee Lailatul Nisfi Shaban, Hadees : 1390)(Imam Ahmad Ibn Hanbal #6353) (Imam Bayhaqi Shuabul Imaan Vol : 02, Pg : 121, Hadees : 3672)(Imam Tabarani Mujam Al Kabeer Vol :02, Pg : 109)(Imam Abu Nauyam Hilyatul Awliya 05, Pg : 191)(Musannaf Abdur Razzaq, Vol :4, Pg : 317, Hadees :7923) (Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Pg : 409, Hadees : 1306)(Naseerudin Albani Sahih Abu Dawood, Hadees : 1563, 1144)Abu Moosa Ashari Se Yehi Rivayat Dusri Sanad Se Bhi marwi Hai Jiske Raavi Hazrat Abu Hurraira Hai Jo Mishkat Hadees : 1706 Me marvi Hai. Lihaja Wo Is Rivayat ko Hasan Darje Tak Pahucha Deti Hai.

Ghair Mukallideen Kay Nazdeek Ek Aur Bahot Bade Aalim Jinko Ye Wahabi Bahot maante Hai Shaykh Mubarkpuri Unhone Jamai Tirmizi Sharif Ki Shara likhi Jisme 15wi Shabaan Kay Fazail Pe Hadees Naql Ki Hazrat Ali, Hazrat Ayesha, Hazrat Abdullah ibn Umar, Hazrat Maaz Bin Jabal, Hazrat Kaseer bin Murrah Rizwanullahi Taala Azmayeen Se Phir Aage Apna Faisla Sunate Hai. “To Ye Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hain Un logo ke KHILAAF jo ye dawa karte hain ke koi baat 15 Shaban ki fazeelat me Saabit nahi, Wallahu Ta’ala Alam.”

(Abdul Rehman Mubarkpuri Tohfatul Ahwazi Shara Tirmizi Pg : 442)

Nabi ﷺ ne farmaya Allah ﷻ Sha’ban ki 15vi Raat Ko Apne Makhlooq ki Taraf Nazar e Rahmat Farmakar Tamam Maqlooq ki Maghfirat Farma deta hai Siwaye Mushrik or Kina Rakhne Wale ke.

Wahabi Scholar Naasiruddin Albani in Sahih At Targheeb Wat Tarheeb Vol-3, Page-53, Hadith #2767

Ibn Taymiyah & Shab BaraatLikha hai: “Jaha tak Nisf Shaban ki raat (yani shab e barat) ki bat hai, beshak uski fazilat me Ahadith aur Asar marwi hai, aur Salafus Saliheen ki ek jamat usme Namaz parha karti thi”

Majmu Al Fatawa 14/66

SHAB E BARAT KO IBADAT ME GUZARNA TABAI’N SE SABIT HAI-Imam Qastalani (923 Hijri)

Book: Al Muwahib 4/192 (scan page)

Imam Ibn Is’haak Makki Faq’hi (1168 saal pehle wisal) likhte hai :”Jab 15 shaban ki rat hoti to Makkah ki aam aurte aur mard Masjid e Haram jate aur Namaz parhte aur Tawaf karte aur Rat bhar Namaz parhte aur Quran ki tilawat karte yaha tak ke subah hoti aur pura Qur’an makammal kar lete”

Book: Akhbar Makkah 3/84

Imam Bukhari ke Ustad, Imam Is’hak bin Rahwayh ka irshaad hai : Shab e Bara’at me jamat ke sath Masjid me ibadat karna bidat nahi hai

Ref: Imam Qastalani (923 Hijri)

Book: Al Muwahib 4/193 (scan page

Umar Bin Abdul Aziz رضي الله عنه Farmate hai: Sal me char ratein aisi hai jisme Allah ki Rahmat josh par hoti hai:

1) Rajab ki Pehli rat

2) Shaban ki 15vi Rat (Shab e Barat)

3) Eid ul fitr ki rat

4) Eid ul Azha ki rat

Imam Ismail Isbahani (535 Hijri) At Targhib Wat Tarhib #1851 (scan page

Shab e Baraat


Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form