Waseela Quraan Sareef ki Roshni me

 

Aayat-1


Quraan Sareef :-

"Ay Imaan Walo ALLAH TA'ALA se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhundho Aur Uski Raah me Zehaad karo Taaki Falah Paao"
(Qanzul Imaan, Surah Maida, Aayat-35)

  Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho is Aayat ki Tafseer me Farmate he
"Ay Quraan Paak Aur RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasdik Karnewalo Aur Paak Deen ke Qabool karnewalo jo Ahkaam ALLAH TA'ALA ne diye he unko Bajalaav Aur unke Khilaaf Warji karne me ALLAH TA'ALA se Daro, Ya ye ki Aamale Saaleh ke Jariye se Darjaat Kurbe ILAAHI me Tarakki karo ya "ye ki ALLAH TA'ALA ke Mukarrab Bando ke Waseela se Uska Kurb Talas karo", Neik Aamal bhi Kurbe ILAAHI ka Waseela ho sakta he, Aur "Neik Bandey bhi Waseela ho Sakta he", Ahle Sunnat ka Yahi Mazhab he, Aur uski Raah me Zehaad karo Uski Farmabardari me Koshis karo Taaki Tum Falah Paao Aur Uske Gusse se Najat Mile"
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-1, Safa-290, 291)
(Scan page :290

291
Nazdiyo ka kehna hota he ki is Aayat se Muraad Sirf Aur Sirf Neik Aamal hi Muraad he to Uska ek Jawab Upar Moujud he Aur Dusra Jawab Mulaheja Farmaye..

  Hazrat Shah Abdul Aziz Mohaddish Dahelwi Rahmatullah Alay is Aayat ki Tafseer Bayan karte hue Farmate he
"Waseela se Muraad Peer-o-Murseed he"
Aur Aage Likhte he
"ye Mumkin nahi ke Waseele se Muraad Imaan ho Balqi Imaan Alag chiz he Is Waste ki Kitaab Ahle Imaan se he, Aur Aamal e Saleh bhi Muraad ho nahi Sakta wo Takwa me Dakhil he"
(Al Koulul Jamil, Safa-34)
SubhanAllah..
Naik Amal Takwe me hota he..


Aur Nazdi Aqali Jawab Soon
Agar Neik Aamal hi Waseela he to Janab Isme bhi Mere HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Waseela he...

kyuki Ham Tak Neik Aamal HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Pahonchaye...

Jeishe
Koi Momin Banda Panchgana Namaz Padhega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Zakat Aada karega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Roza Rakhega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Hajj Aada Karega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Quraan Sareef ki Tilawat Karega Waseela RASOOL ka,
koi Momin Banda Ache Akhlaak Rakhega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Gunaho se Bachega Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Maa-Baap ki Taazim kare Waseela RASOOL ka,
koi Momin Banda Juth se Bache Waseela RASOOL ka,
Koi Momin Banda Haqq ka Sath de Waseela RASOOL ka,
koi Momin Banda Sunnato par Amal Kare Waseela RASOOL ka,
Sallallaho Alayhe Wasallam


Har Neik Aamal ko Pyare HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Bataya he jis se Neik Aamal me bhi Waseela Pyare HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka he..


Yaha Tak ki Saccha RABB ALLAH RABBUL IJJAT ne Apni Pehchan Waseele se karai he..
jisme Waseela Pyare HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam he...



Huzoor SallAllahu Alaihi Wassalam Ki WILADAT Se Pehle Waseele Ka Saboot

Aayat - 2,



  Quraan Sareef :-
"Aur Jab Unke Paas ALLAH ki wo Kitaab(Quraan) Aaayi jo Unke Saathwali Kitaab(Touret) ki Tasdik Farmati he Aur Is se Pehle wo ishi NABI ke Waseele se Kafiro par Fatah Mangte the to Jab Tafsrif laya unke Paas wo Jana Pehchana Usse Munkir ho beitha to ALLAH ki La'anat Munkiro par"
(Surah Bakra, Aayat-89)

Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-

"Yahudiyo se Jab Musrik Ladte to wo RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke Tufeil se Dua Mangte the ki YA ALLAH NABI O AKHIRO JAMA jo Ami he Aur Karib aayenge Unke Sadke Aur Waseele se Ham ko Fatah de, ALLAH unko Fatah deita tha"
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-1, Safa-42)

scan page
 Tafseere Roohul bayan Tarjuma Fuyuzul Rahman :-

"Yastaftehuna Alal lajina Kafru"
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waseela Jalila se Musriken Arab Aur Kuffare Makka Fatah va Nasrat ki Duae Mangi jati thi"
(Tafseere Roohul Bayan Tarjuma Fuyuzul Rahman, Jild-1, Safa-443)
(Scan page
 Tafseere Durre Mansur :-

Imaam Abu Naim ne Dalail me Ataa Aur Al Dahak ki Tarik se Hazrat Ibne Abbas se Riwayat kiya he Farmate he
Bani Nazir Aur Bani Kariz ke Yahud NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ba'asat se Pehle MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waseele se ALLAH TA'ALA se Fatah Talab karte the, Wo Aapke Waseele se Kuffar ke Khilaaf Dua mangte the Aur kehte the
"Allahumma inna Nastanseroka Behakkil Nabiyil Ummiyi Illa Nasro tana Alayhim Fayansaruna"
Ay ALLAH Ham Tuzse NABI Ummi ke Wasta se Madad Talab Karte he tu Hamari Arabo ke Khilaaf Madad Farma Pas Unki Madad ki Jati thi"
Aur Aage Waseele par Wajahat ki gayi he.
(Tafseere Durre Mansur, Jild-1, Safa-239)
(Scan page
 
In Tafseerat se Malum hota he ki Waseela Lena Agar Shirk wo Haram hota to ALLAH AZZAWAZAL Yahudiyo ki Duao ko Kabhi Qabool nahi Farmata,
jab Yahudi HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waseela se Dua karte the To RABBE QADEER un Dua Ko Kabool farmata tha, Wo to Yahud the Aur Alhamdolillah Ham to Musalman he Beshaq Hamara RABB HUZOOR Sallallho Alayhe Wasallam ke Waseele se Duao ko Qabool Farmata he...



Aayat - 3,



  Quraan Sareef :-
"Aur Hamne Har RASOOL ko is liye Bheja ki ALLAH ke Huqm se Is ki Ita'at ki jaye Aur Kaash ! wo log Jinhone Apni Jaano par Zulm kiya he Aap ke Paas Aate Aur Fir ALLAH TA'ALA se Maafi Chahte Aur RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam bhi Unki Sifarish Farmate to Jarur ALLAH TA'ALA unko Bada Touba Qabool Karnewala(Aur) Maherbaan paate"
(Surah Nissa, Aayat - 64)


  Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-

Agar ye Masjide Jarar Wale Hatib Jab Unhone Galti ki thi Aur Aap ke Saamne Behuda Baate ki thi uski Touba ke liye Aap ke Paas Aate Aur Magfirat Chahte Aur Aap bhi Hamse Unki Magfirat ki Dua Karte to KHUDA unki Khtaa Bakhs Deita Aur ye Khuda ko Bada Raheem Kareem Aur Touba Qabool Karnewala paa lete"(is se Saabit hua ki koi Kitna hi Bada Gunaah kare wo HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki khidmat me Aakar Aap ka Waseela de kar Dua kare Aur Maafi Mange Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam bhi us ke liye Dua Farmaye to uski Touba Qabool hogi)
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-1, Safa-230, 231)
(Scan Page :230

231
Ab Wahabi Geir Mukallid Jinki Tafseer padhte he wo Tafseer me deikhe..

Tafseere Ibne Kaseer :-

"Walav Annahum Ij-Zalamu"
is Aayate Kareema me ALLAH TA'ALA Gunehgaaro Aur Khtakaro se Irsaad farmata he ki Jab Unse koi Galti Aur khta ho jaye, Unhe Chahiye ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ki Baargaah me Hajir ho Aur Waha ALLAH TA'ALA se Magfirat Talab kare Aur RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Arz kare ki Wo unke liye Magfirat ki Dua Farmaye, Agar Wo Esha karenge to ALLAH TA'ALA unki Touba Qabool Karega Aur Rahem Farmakar un par Apni Magfirat ke Darwaje Khoul dega"
(SubhanAllah)

Aur Aage likhte he,



Huzoor  k Baad Az Wisal Waseele Ka Saboot


Sheikh Abu Mansur Sabaag Apni Mashoor kitaab me Atbiyah( Mohammad bin Ahmed Bin Abdul Aziz Rahmatullah Alay jinka Laqab Atbiyah he) se Riwayat karte he Aap Farmate he ki me NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Kabre Anwaar ke Paas Beitha tha ki ek Arabi Aaya Aur Arz ki
"Assalamo Alayka YA RASOOLALLAH"(Sallallaho Alayhe Wasallam) Mene Quraan Kareem ki Ek Aayat Suni he,
"Walav Annahum Ij-Zalamu"
Me Apne Gunaaho ki Bakhshis ke liye Aap ki Baargaah me Hajir ho gaya hu Aur Aap ko Apne RABB ki Baargaah me Safi Banata hu, Fir Usne ye Asaar padhe,
"Ya Kheyra Man Dufenat BilKaae Aa'zmohu
Khtaa Min Tiybehinnal Kaao wal Akmo
Nafsiyul fedaao lekabrin Anta Sakenohu
fihil efafo wa fihil Judo wal Karmo"
(Ay un Sab se Afzal Tarin Hasti jin ki Jasd khaki ko us Sar Zamin me Dafan kiya gaya he, jinki Khusboo se Meidaan Aur Teile(Pahad) Mahek uthe, Meri Jaan us Qabr par Qurbaan ho jis me Aap Jalwa Farma he, ushi me paarsaai(Paaki) he Aur ushi me Zudo Sakha he)

Atbiyah Farmate he ki ye Sheir kehne ke Baad Arabi to lout gaya Aur Muje Nind Aa gayi, Mene Khwab me NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ziyarat ki ke AAP Farma rahe the ki Ay Atbiyah Jaawo Arabi ko Khus Khbri de do ki ALLAH TA'ALA ne use Bakhs diya he"
(Tafseere Ibne Kaseer, Jild-1, Safa-727)
(Scan page
SubhanAllah,

Is Riwayat se Bahot Saare Aqeede Jahir hote he Filaal Waseele bhi Sabit Hota he...

Aur Wahabiyo ne Tafseere ibne Kaseer ke English Edition se Ye Riwayat ko Nikaal diya he Taaki Awaam Gumraahi me hi rahe...


Aur Ek Baat Wahabiyo ka Kehna hota he ki Waseela to Sirf Jindo ka liya jata he, Fout Suda ka Waseela nahi liya jata...
to Uska Jawab Hafiz Ibne Kaseer ne Apni Tafseer me de diya he...


Alhamdolillah In Tafsiraat se Malum hota he ki Waseela se ki gayi Dua Jarur Qabool hoti he,
Chahe Jitna Bada Gunehgaar ho Waseela se Dua Mango InshaAllah Kabool hogi... 
 

TABBARUKAT - MUKKADDAS MAKAMAT SEWASEELA


Hazrat Yusuf Alaihi Salam K Kurta E Mubarak Se Tawwasul Barkat

Aayat-4

 "Mera Yeh Kurta Le Jao Ise Mere Baap k Muuh par Daalo Unki Aankh Khul Jaygi Aur Apne Sab Ghar Waalo Ko Mere Pass Le Aao"
(Surah Yusuf Ayat 93)


Hazrat Yusuf Alaihi salam apne Bhaiyo se kehte hai mera Kurta le jaao aur Mere Baap Yakoob Alaihi salam k chehre pe daalo wajah kya thi Yakoob Alaihi Salam ki aankhe gume Yusuf Alaihi Salam ki jhudai me khoob roya karte the jis se aakho ki binayi bhi jaati rahi the uske baad aage kya hua Quran ne iske aage ka zikr kiya k wo kurte se hua kya

Aayat-5


"Phir Jab Khushi Sunane Waala Aaya Usne Woh Kurta Yakoob K Muuh Par Daala Ussi Wakt Uski Aankh Phir Aayi"
(Surah Yusuf Ayat 96)
Hazrat Yakoob Alaihi Salam bhi Nabi hai Yusuf Alaihi Salam bhi Nabi kya Nabio se badhkar Allah ki Tauheed ko koi samajh sakta hai Yakoob Alaihi salam chahte Dua karte Allah aankhe Ata kardeta Yusuf Alaihi Salam khud Apne Walid k haq me Misr(Egypt) se dua kardete Allah Aankho ki Binayi Ata kar deta magar Apna Kurta Mubarak deke ye Akeeda de rahe hai k Allah Waalo Se Judi Chize bhi Waseela hoti hai agar ye akeeda galat hota Allah ne Aayat nuzool kar dena tha Yusuf ye shirk hai Kurte se aankh Sahi nahi hogi magar jiski Nisbat Allah Waalo se hojaye wo bhi Allah k Nazdeek Makbool Hojati hai aur ye Shirk nahi Quran ki batayi tauheed hai .. Subhan Allah
Sabit hua k Allah Waalo se Nisbat waali chizo ko bhi Allah ne Waseela Madadgaar hona banaya hai warna apna Kurta dene ka matlab kya banta tha ??
Isi lihaj se aaj Sunni Hazraat Buzurgo se jude Tabarukkat ki tazeem o taukeer karte hai aur unhe waseela banate hai apni duao me jo kisi haal me shirk nahi hai.

Hazrat Zakaria Alaihi Salam Ka Hazrat Maryam Radi Allaho Anha k Makam e Mehraab ko Waseela Banana:


Aayat-6


"Aur Usse Zakaria Ki Nigahbani Me Diya Jab Zakaria Uske Pass Uski Namaz Padhne Ki Jagah Jaate Uske Pass Naya Rizk Paate, Kaha Aye Maryam Ye Tere Pass Kaha Se Aaya Boli Allah K Pass Se Beshak Allah Jise Chahe Be Ginti De" - (37 ayat)

"Yaha Pukara Zakaria Ne Apne Rab Ko Bola Aye Mere Rab Mujhe Apne Pass Se De Suthri Aulad Beshak Tu Hi Hai Dua Sun Ne Waala" - (38 ayat)

"To Farishte Ne Usse Awaaz Di Aur Wo Usse Apni Namaz Ki Jagah Khada Namaz Padh Raha Tha Beshak Allah Aapko Muzda Deta Hai Yahya ka Jo Allah ki Taraf Se Ek Kalime Ki Tasdeek Karega Aur Sardaar Aur Hamesha k Liye Auraton Se Bachne Waala Aur Nabi Hamara Khasho'n Me Se " - (39 ayat)

(Surah Al Imran Ayat 37 to 39)
Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Allah ki makbool Waliya hai Hazrat Essa Alaihisalam ki Walida maazida hai Baitul Mukkadas me Hazrat Zakariya Alaihi Salam ki nigehbaani me rahi waha ek khas jagah mukarir thi jaha Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Namaz padhti jo Mehraab e Maryam  hai aur Allah ki jaanib se us mehrab me naya naya rizk aata thand me garmi k fal garmi me thand aur bhi tarah tarah ki karamatein nazar aati.
Chand baatein jo kabile gaur hai Hazrat Zakariya Alaihi salam Nabi Alaihi Salam hai is se pehle bhi Baitul Mukkadas me baar baar dua maangte rahe par duaye kabool na hoti jab ye dekha k Mehrab e Maryam Radi Allahu Anha ka makaam Allah k nazdik kabool o makbool hai to Khas Mehrab E Maryam Radi Allaho Anha me jaake namaz padhi aur dua ki hai tab Allah ne dua kabool farmayi Farishte se muzda sunaya , paak aur nek aulad ki basharat farishte ko bhej sunayi k jo Nabiyo me hoga jinhe Hazrat Yahya Alaihi Salam kehte hai pata chala us khas makam me hi dua kabool hui jo Mehraab e Maryam hai.
Jin Makamat ko bhi Allah waalo se nisbat hojaye wo makam (place) bhi Ambiya Alaihi Salam ka wasila banti nazar aati hai ye faisla Quran ka hai ye koi aaj k mangadant akeeda nahi hai ye Quran hai k Allah waalo se nisbat rakhne waale Makam ko bhi Allah Qurb deke apni bargaah ka Waseela bana deta hai.
Subhan Allah 



Jaha'n Allah k Nek bande Aur Bandiya Chand din Beth jaaye wo jagah bhi itni kabool aur makbool hojati hai to jaha Allah ka wali apne jism k saath aaram farma ho un mazarat pe jaake unke tawassul ko lena kyu kar shirk hoga.

Allah akal aur samajh ata farmaye.

Aameen

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form