Murshid Ki Zarurat

MAULANA ROOM FARMATE HAI :

1- Tune kaee saal tak namaaz aur roza ada kiya, lekin teri ye ibadat tujhe us ke noor tak na pohncha saki- teri saari umr ibadat mein basar ho gaee lekin dil ka haal jo paihle tha waise hi raha
2- Matlab:- Tu us rehnuma par imaan la ta k tu la kalam manzil gah tak pahonch jaae

3- Peer ka hukm tark karna bagair kamaan ke teer chalaane ki manind hai- kya tu ne kabhi bagair kamaan ke koi teer nishana par ya nishana ke nazdik pohanchte dekha hai?


MURSHID KI ZARURAT
MAULANA ROOM NE FARMAYA....
1- Us dost ( Rabb) ki rah bahot barik yani tang hai - bagair aarif ke koun is par sidha chal sakta hai
2- Is sakht rasta mein dushwar guzaar ghatiyan hai- jo bagair rehbar ke tay nahi ho saktin
3- Is liye us maherban shahe umam( Mohammed s.a.w.s) ne farmaya hai k safar ka sathi paihle hai aur safar ka tay hona baad mein....
4- koi rehbar talaash kar le ta k tu sidhe raste par chal sake , warna raste mein bahot gadhe aur kuwen hain
5- Tu parkar ki tarha ek hi jagah chakkar kat raha hai, is liye bagir kisi tabdili ke jahaan tha wahin par hai- ....

SAAEEN BULHE SHAH FARMATE HAIN........

Khuda bhi andar hai rooh bhi andar hai aur rooh ko rabb ke sath jodne wali dor yani kalma bhi andar hai- magar khuda ya kalma ke ganje makhfi ka raaz bayaan karne wala aur is tak pohchane wala murshid e kamil bahar dhundna pare ga.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form