Alahazrat par Ehteraz ka Jawab.
Kuchh Gumraah Firke Waale Khaskar Plumber Mirza Mongol ki Aulaad ye Kehte Hai’n Ke Alahazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Apni Kitaab me Huzoor ﷺ ki Gustaaqi ki lekin Adhi adhuri or Jhoti bate pesh karte hain
Imam E Ahlesunnat Ki Malfozat Sharif Ki Ye Ibarat Ke “Ambiya علیہ السلام Ki Qabor E Muthara Mein Azwaje Mutaharat Pesh Ki Jaati Hai Aur Wo Unke Sath Shab Bashi Farmate Hain
{Malfozat Hissa 3 / P-362}
Pehli Baat ye Jaan Lena Chaiye ki Ye Baat Ala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Khud se nahi likhi hain ye Ala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Naqal Farmaya Hain Imam Baqar Zarkani رحمتہ اللہ علیہ ki Kitaab se to Naqal Karne wale ke uppar kabhi hukum nahi lagta or Dusri baat phle ye smjhna Chaiye ki Shabbashi ka meaning kya hota hain Shab Baashi Faarsi Ka Lafz Hai Aur Iske Bahot Se Ma’ni Hote Hai’n Jinme’n Se Ek Ma’ni Yeh Hai Raat Guzaarna Ya Qayaam Karna Ya Waqt Guzaarna.
Bhout Sari Hadees E Paak me bhi Shabbashi Lafz ka Istemal hua hain unme se kuch Hadees yha pesh karte Hain
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Kehte Hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Mese Koi Shakhs Sokar Uthe Wuzo Karte Waqt 3 Baar Apni Naak Saaf Kare Kyunke Uski Naak Me Shaitan “Shab’bashi” Kiya Karta Hai
ShabBashi lafz Deobandi or Wahabhiyo ke Ghar ki Kitaab o me bhi likha hain
Haft Roza Al Islam Lahore 23 Rabiul Awwal 1404 Hijri”
“Saudi Najdi Sheikh Sahab” Pakistan Ke Daure Par Gaye Waha Ahle’hagees Wahabi Official Central Me “Translate” Molvi Faiz Al Rehman Sahab Wahabi Sar Anjaam De Rahe Thay Taqriban 11:30 PM Waha Se Warigh Hokar “Saudi Sheikh” Model Town Paucha Saudi Sheikh Ki “Shabbashi” Ka Intezam Road Multan Par Kiya Gaya
Deobandi Mulla Saeed Ahmak Palanpuri Likhta Hai “
Hajj Ke Safar Me Muzdalifa Me Biwiyo Ke Saath Shabbashi Kiya”Hawala Deobandi Book
Deobandi Tablighi Jamat Ki Fatawa Ki Mashor Kitab Fatawa Rahimya Ki Jild 9 Safa 120 Par Likha Hai “Deobandi Tablighi Jamat Wale Masjid Me Aate Hai Aur Raat Me Shabbashiya Karte Hai Raat Bhar”
Deobandi Tablighi Jamatiyo Ke Bahut Bade “Molvi Zakariya Kandhelwi Deobandi” Likhta Hai Jo Shakhs Bhuke Ko Roti Khilayega Ya Nange (Naked) Ko Kapda Phenaye Ya Musafir Ko “Shabbashi” Ki Jagha De To Allah Ta’ala Qayamat Ke Hullo Se Usko Panah Deta HaiAuthentic Book of Deobandi Jamati
Rasoolullah ﷺ Ne Khud Farmaaya Ke Qabr Me’n Meri Biwiyaa’n Mujhse Mile’ngi Sahih Bukhari Hadees No 1420
Nabi e Kareem ﷺ Ki Ba’az Biwiyo’n Ne Aap ﷺ Se Poocha Ke Sabse Pehle Hum Me’n Aap ﷺ Se Kaun Jaakar Milegi To Aap ﷺ Ne Farmaaya Jiska Haath Sabse Lamba Hoga, Ab Humne Lakdi Se Naapna Shur’u Kardiya To Hazrat Sawda Radiallahu Anha Sabse Lambe Haath Waali Nikli, Humne Ba’ad Me’n Samjha Ke Lambe Haath Waali Hone Se Aap ﷺ Ki Muraad Sadqa Zyaadah Karne Waali Se Thi, Aur Hazrat Zainab Radiallahu Anha Hum Sabse Pehle Nabi e Kareem ﷺ Se Jaakar Mili, Sadqa Karna Aap ﷺ Ko Bahot Mehboob Tha.
Note – Iss Hadees Me’n Lafz Hai Ke Hazrat Zainab رضي الله عنها Nabi e Kareem ﷺ Se Sabse Pehle Jaakr Mili, Ab Sawaal Yeh Paida Hota Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Kahaa’n Hain? Yeh Baat Saare Log Jaante Hai’n Ke Nabi e Kareem ﷺ Apni Qabr e Anwar Me Zindah Hai’n To Hazrat Zainab رضي الله عنها Bhi Qabr Me’n Hi Jaakar Mili.