Qabar(Mazar) Par janey ka Saboot.
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se Riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Qabro ki Ziyarat karo kyunki ye tumhey Aakhirat ki yaad dilati hain.
(Sahi Muslim Volume 3 Hadees 5114)
Sayyedna Ibne Umar رضی ﷲتعالی عنہ Byaan Karte Hai Ke Rasool ALLAHﷺ Ne Farmaya : Jis Shaks Ne Meri Wafat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki To Usne Goya Meri Zindagi Me Meri Ziyarat Ki.
(Sunan Darqutni / Jild 2 / Hadees – 2693)
Sayyedna Ibne Umar رضی ﷲتعالی عنہ Byaan Karte Hai Ke Rasool ALLAHﷺ Ne Farmaya : Jis Ne Meri Qabr Ki Ziyarat Ki- Uske Liye Meri Shafat Wajib Hogai.
(Sunan Darqutni / Jild 2 / Hadees – 2695)
Muhammad Bin Umar Farmatay Hain Ke Rasool Allahﷺ Ne Hazrat Abbu Ayub رضی ﷲتعالی عنہ Ko Aur Hazrat Musab Bin Umair رضی ﷲتعالی عنہ Ko Ek Dusre Ka Bhai Bhai Banaya. Hazrat Abu Ayyub رضی ﷲتعالی عنہ Ne Ghazwah Badar, Ahad, Khandaq Aur Tamam Ghazwaat Me Rasool Allahﷺ Ke Hamrah Shirkat Ki. Hazrat Muawiya Ki Khilafat Me Un Ke Bete Ne 52 Hijri Ko Kustuntunia Par Hamla Kya, Is Jung Ke Doran Aap Shaheed Hue, Aap Ka Mazaar Shareef Room Me Kustuntunia Ke Qile Ki Deewar Ke Sath Hai. Aap Ka Mazaar Shareef Marja Khalaique Hai, Log Daur Daraaz Se Aap Ki Qabar Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hai, Aur Jab Barishe Ruk Jaye To Aap Ke Mazaar Aqadas Par Haazir Ho Kar Duain Mangte Hai .
(Al Mustadrak Alal Saheehain / Jild 5 / Page 154 / Hadees – 5929)
Sayyidah Aisha رضي الله عنها Farmate hai ke Ek Raat Maine Huzur ﷺ ko Na Paaya toh Mai Apki Talash me Nikli or kya dekhti hu ke Huzur ﷺ Jannat ul Baqi (Qabristan) me hai…… phir Huzur ﷺ ne farmaya Allah taala 15vi Shaban ki raat ko Aasman e Duniya par Tajalli farmata hai Aur Banu Qalb ke Bakriyo ke Balon se Zyada logon ki Maghfirat Farmata hai. (Hasan Hadith)
Musnad e Ahmad Ibn Hanbal hadith 25896
HAZRAT ABU BAKR MUHAMMAD BIN AL-Hassan BIN ABDAN AL-SIRAFI NE KAHA MAINE HAZRat Ja`far Al-KhalDI SE SUNA:
MUJHE KHarish Ki Bimari THI MEIN BAHUT Pareshan Aur Takleef Mein Tha To MEIN HAZRAT Imam Hussain rady KI QABR MUBARAK PAR GAYA AUR QABR SHAREEF Ki Mitti Li Aur Usse LaGaya Aur WAHI SO GAYA AUR JAB UTHA TOH MAINE DEKHA KI BIMARI BILKUL THIK HO GAYI HAI
IMAM IBNJAWZI 597 HIJRI (1200-1201 AD)
SOURCE: AL-MUNTAZAM FĪ TĀRĪKH AL-MULUK WA-AL-Umam Vol 5 page 346
Bilal bin haris رضي الله عنه Rasulullah ﷺ ki qabr e aqdas par gaye aur Rasulullah ﷺ se barish ki darkhast ki khwab mein jawab mila aur khoob barish huwi
Ref: Fathul Baari Sharah Sahih Al Bukhari Al Hafiz Ibn Hajar Al Asqalani Hadith 1010
Hazrat Imam Ibn e Jawzi Farmate Hai:-
Jab Meri Bimari Bahut Zyada Bad Gayi Aur Me Apni Bimari Se Aa’jiz Aa Gaya Tu Me Saliheen Ki Qabro Par Jata Aur Un Auliya Ke Wasile Se Allah Se Dua Karta Toh Mujhe Maula Ke Karam Se Aaram Rahat Mil Jaati
Saeed al-Khatir [Published Dar al-Qalam Damishq Syria Vol 1 Page 93
JAB KOI KHOF YA KISI KA KHATRA HO, TOH AISI SURAT MAIN RASOOL ALLAH ﷺ KI QABR E MUBARAK KE WASILAY SE MADAD TALAB KARE
Tabai’ – Imam Muhammad Bin Munkadir
SIYAR ALAM AN NUBALA VOL5 353,358,359 SCAN PAGES
IBN KATHIR IBN TAYMIYYAH ka shagird LIKHTA HAI:Log Hazrat Umme Haram Ki Qabr Mubarak Ki Tazeem Karte Aur Unki Qabr Par JAKAR UNKE Wasile Se Baarish Ki Dua Karte Aur KEHTE HAI KI YE EK MUTTAQI AURAT KI QABR HAI
Ref: Al Bidaya wan-Nihaya Published Dar Hajr Oman Vol 10 Pg.no 229
HAZRAT BILAL رضي الله عنه JAB SHAAM SE MADIN SHAREEF AAYE TO HUZOOR ﷺ KI Bargah Me Salam Ke Liye HAZIR HUWE AUR Rone Lage Aur APNE Chehre Ko Huzoor KI MAZAR-E-AQDAS PAR RAKHKAR USSAY MALNA AUR CHOMNA SHURU KAR Diya
Ref: Tareekh Madinatul Damishq Vol 7 Page 137 & Wafa ul Wafa Page 217
“HAZRAT UMAR FAROOQ رضي الله عنه KE ZAMANE MEIN QEHET PARA EK SAHABI BILAL BIN Haris ne Rasoolullah ﷺ KI MAZAR SHAREEF PAR HAZIR HO KAR ARZ KI, ya rasoolallah ﷺ apni ummat ke liye barish ki dua farmaye wo halak ho rahi hain
Al-Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 011,Page No. 118, Hadith Number 32538
HUZUR NABI KAREEM ﷺ KI QABR KI ZIYARAT KARNE WALE KE LIYE MUSTAHAB HAI KI JAB USKI NAZAR MADINA TAYYABA KE MUAHID HARAM, KHAJURON AUR MAKANO PAR PADE TO KASRAT SE DUROOD-O-SALAM PADHE. MADINA MUNAWWARA KE MAIDANO KI TAZEEM, MADINA TAYYABA KI MANAZIL AUR GHAAS WALI ZAMINO KI IZZAT ZEHEN ME RAKHE. KYUNKI YE WO JAGAHEN HAIN JO WAHI AUR NUZUL-E-QURAN SE ABAD HUI ABUL FUTUH JIBREEL AUR ABUL GHANAIM KASRAT SE YAHAN AATE JATE THE. IS ZAMIN PAR SYEDUL BASHAR TASHRIF FARMA HAIN. ALLAH ﷻ KA DEEN AUR RASOOLALLAH ﷺ KI SUNNAT YAHAN SE PHAILI HAIN. YE JAGAHEN HI FAZILATON AUR KHAIRAT KI MUSHAHID, BARAHEEN WA MOJIZAT KI MUAHID HAIN. YE AZMAT ISLIYE ZEHEN ME RAKHE TAKI AAP KI HAIBAT, TAZEEM, IJLAL AUR MOHABBAT SE LABREZ HO JAYE TARAH AAP KI TAZEEM WA IJLAL RAKHE JAISE AAP ﷺ KO SAMNE DEKH RAHA HAI. AUR YE YAQIN RAKHE KI AAPISKA SALAM SUN RAHE HAIN. AUR TAKLIF ME AAP ISKE MADADGAR HAIN.
(AL-QAULUL BADEE PG.402)
Imam Ahmad Bin Hanbal KI MAZAR PE DUAO KA QUBOOL HONA AUR SHIFA PAANA
HAZRAT SHAYKH ABDUL REHMAN BIN IBRAHIM AL MAQDISI Hanbali Ke Bete Ki Aankho KI ROSHNI CHALI GAYI THI AUR Jab Uski AANKHON KI Roshni Wapis AAYI TO ISKE Bare Me Unse Pucha Ki Ye Kaise Huwa To WO BAYAN KARTE HAIN KI MEIN APNE BETE Ko Lekar Imam Ahmad Bin HambaL رضي الله عنه AL MUTAWaffah 241 Hijri Ki Mazar Par GAYE AUR WAHA DUA KI AUR UNHE PUKARA KAHA YA AHMad Mein Aapse ILTIJA FARIYAD KARTA HOON Aur Aapko ALLAH TA’ALA KI Bargah Me Wasila BanakAR DUA KARTA HOON YA ALLAH MERE BEte Ko Shifa ATA KAR Aur Uski Aankho Ki Roshni Wapas AA JAYE TO JAB RAAT HUWI TO MAINE Dekha Ki Uski AANKHO KI Roshni Wapis AA GAYI
[Tareekh e Islam Vol 45 Page 194]
Hazrat Imam Zehbi Alihirehma 748 Hijri Likhte Hai:
Ambiya Aur Auliya Ki Qabr Shareef Ke Nazdik Dua Qubool Hoti Hai Aur Isi Tarah Tamam Mazarat Ke Nazdik Bhi Dua’ye Qubool Hoti Hai
[Siyar alamul Nubala Vol 17 Page 77]
Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ 852 Hijri Sahih Bukhari Ki Sharah Ke Muqaddame Mein Likhte Hain
Jab Hazrat Imam Bukhari رحمتہ اللہ علیہ ko Qabr Mein Dafna Diya Gaya Tu Imam Bukhari Ki Mazar Se Musk 0 Ambar Ki Khushbo Aane Lagi Aur Log Imam Bukhari Ki Qabr Par Aakar Unki Qabr Ki Mitti Se Barkat Lete Phir Unki Qabr Ke Charo Taraf Ek Imaarat Bana Di Gayi
[FATHUL BARI FI-SHARAH SAHIH AL-BUKHARI Vol1 Page 99]
Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai Hazrat Abu Ali Neshapuri رحمتہ اللہ علیہ 349 Hijri Ne Bayan Kiya:-
Main Bahut Zyada Mushkil Aur Pareshani Mein Tha Toh Mujhe Khwab Mein Rasool Allah ﷺ Ki Ziyarat Huwi To Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Yahya Bin Yahya Al Mutawaffah 226 Hijri Ki Qabr Par Jao Aur Waha Istighfar Karo Aur Madad Mango Aur Uske Wasile Se Madad Talab Karo Toh Tumhari Mushkile Hal Ho Jayegi Toh Maine Aisa Hi Kiya Tu Agle Din Meri Pareshani Thik Ho Gayi
[Tehzeeb Ut Tehzeeb Vol 4 Page 398]
Imam Abu Abdullah Al-Qarshi (jinka wisaal 843 saal pehle hua), farmate hai:Misr me behad mehengai bad gayi to maine Syria ka safar kiya aur Hazrat Ibrahim ki Qabr par hazri di, waha maine Hazrat Ibrahim ki ziyarat ki, aur unse arz ki”Aye Allah ke Rasul! Aap meri ziyafat ke tout par Misr ke logo ke liye Dua farma dijiye”Unhone dua farmai to Allah ne Misr ke logo ki gareebi dur farma di
Is waqiya ko likhne wale :
-Imam Yafa’i (674+ Saal) Rawdat ul Ryahin 1/359
-Imam Suyuti(531+ Saal) Al Hawi lil Fatawi 2/245
-Imam Haythami (463+ Saal) Fatawa Hadithiya 1/213
-Imam Ismail Haqqi (315+ Saal) Ruh ul Bayan 4/262
-Imam Safiri (486+ Saal) Sharh Bukhari 2/191
-Imam Maqari(401+ Saal) Nafh ul Tayyib 2/55
-Imam Salhi shami(500+ Saal) Subl Ul Huda 10/466
Imam Abul Fazl Mousili (jinka wisal aj se 760 saal pehle hua) farmate hai:
Rasul Allah ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne wale ko chahiye ke is tarah hath band kar adab se khada ho jaise Namaz me khada hota hai, aur Huzoor ﷺ ki soorat e aqdas ka tassawur kare goya ke Huzoor ﷺ Rawza e Aqdas me lete hue hai, ziyarat karne wale ko jante hai aur uski bate sunte hai
Ref: Kitab Al Ikhtyar li Talil ul Mukhtar vol 1 page 176
Rasul Allah ﷺ ke wisal ke bad Sayyiduna Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه hazir hue aur ap se arz ki:
Ya Muhammad ﷺ
Bargah e Ilahi me Humein yad rakhna aur hum humesha apke dil me rahe
Imam Ghazali – Ihya ul Uloom 4/491 Qastalani – Muwahib 4548
Khafaji – Naseem ul Riyad 2/25
Zurqani-Sharh Muwahib 12/143
Huzoor ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne walo ko chahiye ki kasrat se dua kare, gidgidaye, Aap se istigatha (madad talab) kare aur apki shafa’t mange
10vi sadi ke Mujaddid, Imam Qastalani (527 pehle wisal kiye) apni Kitab Al Muwahib Vol 4 Page 593 me likhte hai
Rasul Allah ﷺ ne 1000 Sahabah ke sath apni Walida Sayyida Aminah ki Qabr ki ziyarat farmai
Ref: Sahih Hadith, Haakim – Al Mustadrak 4192
IMAM SHAFAI رحمتہ اللہ علیہ FARMATE HAI :
Mai Imam Abu Hanifa رضي الله عنه ki barkat talab karta hoo Aur unki Qabr par roz jata hu, aur jab bhi mujhe koi zarurat aati hai to do Rakat namaz parh kar aur unki Qabr par akar khuda se suwal karta hu, kuch der nahi lagti ki meri zarurat Puri hojati hai
REF: TARIKH BAGHDAD 1/1350
Jab Hazrat kaaba Al-Ahbar ne Islam qubool kiya to Sayyiduna Umar Farooq رضي الله عنه ne shaam me unse farmaya :
Kitna acha ho agar Ap mere sath Madina chale aur Rasul Allah ﷺ ki Qabr ki ziyarat kare aur isse Nafa hasil kare
Ref: Imam Waqdi (407 Hijri) – Futuh Sham 1/235
Gumbad e Khazra ko dekhna ibadat hai”
-Fiqh e Hanafi ke bade Imam Ibn Humam (562+ sal pehle) apni Kitab Mansik ul Mutawasit me likhte hai
-Apni sadi ke Mujaddid, Imam Mullah Ali Qaari (414+ sal pehle) apni Kitab Sharh Mansik ul Mutawasit page 276 me likhte hai
Imam Bukhari Ke Ustad Ke Ustad Hazrat Imam Abdur Razzaq Sam’aani Al Mutawaffah 211 Hijri Apni Famous Book of Hadith Al Musannaf Abi Razzaq Ki Jild 3 Safa 576 Par Hadith Code Karte Hain_
Hazrat Abdullah Bin Dinaar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Mene Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه ko Dekha Jab Aap Kisi Safar Se Wapas Aate To Masjid e Nabawi Shareef To Dakhil Hote Aur Yun Salam Arz Karte
Asslamu Alaika Ya Rasool Allah ﷺ
Asslamu Alika ya Abu bakar Siddique
Asslamu Alaika Ya Walid Umar
Iske Baad 2 Raqat Namaz Ada Farmate
Aur Asma o Rijaal Ke Bahut Bade Imam Ibn e Hajar Asqalani Al Mutawaffah 852 Hijri Apni Kitab Al Matalib al-Aliya Ki Jild 7 Raqam 1320 Par Yahi Hadith Likhte Hai Aur Iski Sanad Ko Sahih Karar Dete Hai_
(Al Matalib al-Aliya)