Afzaliyat e Siddiq Akbar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ‎

Afzal Ul Bashar Bad Az Anbiya Bit Thekik Ammer Ul Momineen Hazrat Abu Bakar Siddique رضي الله عنه

Surah Tauba Ayat No.40

اِلَّا تَنۡصُرُوۡہُ فَقَدۡ نَصَرَہُ اللّٰہُ اِذۡ اَخۡرَجَہُ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ثَانِیَ اثۡنَیۡنِ اِذۡ ہُمَا فِی الۡغَارِ اِذۡ یَقُوۡلُ لِصَاحِبِہٖ لَا تَحۡزَنۡ اِنَّ اللّٰہَ مَعَنَا ۚ فَاَنۡزَلَ اللّٰہُ سَکِیۡنَتَہٗ عَلَیۡہِ وَ اَیَّدَہٗ بِجُنُوۡدٍ لَّمۡ تَرَوۡہَا وَ جَعَلَ کَلِمَۃَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوا السُّفۡلٰی ؕ وَ کَلِمَۃُ اللّٰہِ ہِیَ الۡعُلۡیَا ؕ وَ اللّٰہُ عَزِیۡزٌ حَکِیۡمٌ ﴿۴۰﴾

Kanzul Imaan translation

Agar Tum Mehboob Ki Madad Na Karo To Beshak Allah Ne Unki Madad Farmaayi Jab Kaafiro’n Ki Sharaarat Se Unhe’n Baahar Tashreef Le Jaana Huwa Sirf Do Jaan Se Jab Woh Dono’n Gaar Me’n The Jab Apne Yaar Se Farmaate The Gam Na Kha Beshak Allah Humaare Saath Hai To Allah Ne Uspar Apna Sakeena Utaara Aur Un Faujo’n Se Uski Madad Ki Jo Tumne Na Dekhee’n Aur Kaafiro’n Ki Baat Neeche Daali Allah Hi Ka Bol Baala Hai Aur Allah Gaalib Hikmat Waala Hai.

Hazrat Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه Bayan Farmate hai:

‘Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamane me Logo Mese Sabse Behtar(Afzal) Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Ko Samjhte the

Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.3655.

NABI E KAREEM ﷺ NE FARMAYA:

Ambiya o Rasool Ke Baad Suraj Kisi Ek Shaks Par bhi Tuloo Aur Ghuroob Huwa Nahi Jo Abu Bakr رضي الله عنه” Se Afzal ho

Ref: Fazail us Sahaba, Hadith no.662.

NABI E KAREEM ﷺ NE FARMAYA :

Abu Bakr Se Kaho ke Wo Logo ko Namaz Padhaye, Nabi e Kareem ki Baargah me Logo ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Abu Bakr Naram Dil hai Agar Wo Aap ki Jagah Par Namaz Padhayenge to Mushkil Hojayegi! Nabi e Kareem ne Phir Wahi Hukm Irshad Farmaya, Phir Aap ke Saamne Wahi Baat Pesh ki Gayi to Nabi e Kareemne Phir Wahi Hukm Irshad Farmaya”.

Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.664.

“Jo Shaks Abu Bakr Siddique Ki Sahabiyat Ka Munkir ho Kaafir hai, isee Tarah Jo Hazrat Abu Bakr ki Ki Imamat Ka inkaar kare Mazhab e As’ha Me Kaafir hai, isee Tarah Hazrat Umarki Sahabiyat ka inkaar Qawl e As’ha Kufr hai “

.Ref: Maj’ma ul Anhur, Page no.692.

Imam Bukhari Mutawaffa 256 Hijri apni Sahih Bukhari me Hazrate Jubair bin Mut’am رضي الله عنه se Hadees Naqal karte hai:”Rasool e Kareem ﷺ ke Khidmat me Ek Khatoon Aayi aur Kisi Muaamle me baat ki to Nabi e Kareemﷺ us Khatoon ko Dobara apni Khidmat me Haazir hone Ka Hukm Irshad farmaya, Us Khatoon ne Arz Kiya Ya RasoolAllah agar mein Aap ko naa Paau(Yaani agar aap Parda Farma jaaye) to Kis ke Paas Aau ? To Nabi e Kareemﷺ farmaya Agar Tum Mujhe Naa Paana to Phir Abu Bakr رضي الله عنه ke Paas Aana”.

Ref: Sahih Bukhari, Page no.3659.

Imam Bukhari Mutawaffa 256 Hijri apni Sahih Bukhari me Hazrate Abu Saeed Khudri رضي الله عنه se Naqal karte hai:

RASOOL E KAREEMﷺ NE IRSHAD FARMAYA:”Waqt aur Maal ke Sarf(Kharch) Karne ke lihaz se Abu Bakr رضي الله عنه Ka Mujh par Sabse Zyada Ehsaan hai, Agar Mein Kisi ko Khaleel(Jigri Dost) Banata to Lazim hai ke Abu Bakar رضي الله عنه ko Khaleel banata Lekin Islam ki Akhuwat aur Mohabbat Kaafi hai aur Masjid me Khulne wale Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaaye Siwaye Abu Bakar رضي الله عنه ke Darwaze ke

“.Ref: Sahih Bukhari, Page no.3654.YouScan

Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Huzoor Ghaus ul Aazam رحمتہ اللہ علیہ apni Kitaab Ghuniyatut Tualibeen me Likhte hain ke….Khulafa e Rashideen me Sabse Afzal Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه hai, Phir Hazrate Umar hai, Phir Hazrate Usman hai Aur Phir Hazrat Ali hai Aur Shia ko Shia isliye Kaha jaata hai ke Wo Hazrate o Tamaam Sahaba pe Ali Fazeelat dete hai.

Ref: Ghuniyatut Tualibeen,Pg no.158 & 179.

Is Hawale se pata Chala Shehanshah e Auliya Huzoor Sayyiduna Ghaus e Aazam Ka bhi Yehi Aqeedah hai ke Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Tamaam Sahaba se Hatta ke Maula Ali se bhi Afzal o Mukarram hai aur Jo Iske Khilaaf Aqeedah Rakhe Ya Bayan kare wo Shia hai Sunni Hargiz nahi.

Huzoor Sayyed Ali bin Usman Hujveri Jinhey ham Huzoor Daata Ganj Bakhsh Ali Hujveri ke Naam se Jaante aur Pehchaante hai Wo Apni Kashf ul Mahjoob me Farmate hai…..

“Hazrate Siddique e Akbar رضي الله عنه ki Hasti Wo Hasti e Mubarak hai ke Aap Tamaam Ambiya pul ke baad Afzal Tareen hain, Unsey Aage Badh Kar Kisi ko Qadam Uthana Rawaa nahi”.

Ref: Kashful Mahjoob Urdu,Page no.174.

Silsile Chishtiya ke Azeem Buzurg Hazrate Shaykh Abdurrehman Chishti رحمتہ اللہ علیہ Apni Mira’t ul Israar me Likhte hai….”Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne Kamaal e Sidq(Sacchai) se apni Jaan aur Maal ko Sarkaar e Do’Aalam par Qurban Kar Diya Aur Kisi Hukm me Huzoor ki Pervi naa chhodi, Yehi Wajah hai ke Aap Nabi e Kareem ﷺ ke Baad Qaom ke Sardaar huwe aur Mashaykh Aap ko Muqaddam(Afzal) Jaante hai”.

Ref: Mir’at ul Israar,Page no.144.

Khwajgaan e Chisht ke Tazkire pe Likkhi gayi Mashoor o Maroof Kitaab Siyar ul Auliya me Hazrate Sayyed Muhammad Kirmaanile Likhte hai Jo ke Khud Ek Azeem Buzurg hai …

‘Janab e Ameer ul Momineen Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه par Khaas taur pe Khuda ki Beshumar Rehmatein aur Salaam ho Jo Nabi e Kareem ﷺ ke Baad Tamaam Ummat se Buzurg o Faazil Tar(Afzal) hai Aur Rehmat e Kaunain Ke Mu’azzaz o Mumtaz Khalifa the”

.Ref: Siyar ul Auliya,Page no.36.

Hazrate Mehboob E ilaahi Khwaja Nizamuddin Auliya ke Khalifa Hazrate Fakhruddin Chishti رحمتہ اللہ علیہ Apni Kitaab Aqaid e Nizamiyah me Likhte hai

“Rasool e Khuda ke Wajood e Mubarak ke baad Tamaam Logo me Buzurg Tar Hazrate Abu Bakr Siddique bin Qohafa hain, Phir Hazrate Umar Phir Hazrate Usman Phir Hazrate Ali Murtaza bin Abu Talib hain”.

Ref: Aqaid e Nizamiyah,Page no.27. Scan

Hazrate Sultan ul Mashaykh Meer Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangeer Simnani رحمتہ اللہ علیہ ki Malfuzaat Lataif e Ashrafi me Hazrate Nizam Yamani Likhte hai ke .

“Hazrate Abdullah bin Abbasi رحمتہ اللہ علیہ se riwayat hai ke Ahlesunnat Wal Jamaat 10 baaton ke Qaayel(Maanne wale) hai, Pehle ye ke Dono Peero Yaani Hazrate Siddique ke e Akbar aur Hazrate Umar Afzaliyat ke Qaayel hai Aur Dono Damaad Hazrate Usman e Ghani aur Hazrate Ali ki Buzurgi ko Tasleem karte hain”.

Ref: Lataif e Ashrafi,Page no.220.Scan

Hazrate Imam e Rabbani Mujaddid e Alfesaani رحمتہ اللہ علیہ Apni Maktubaat Shareef me Likhte hai ke

“Ahlesunnat Ka is baat pe ljm’a hai ke Tamaam Sahaba me Sabse Afzal Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه hai aur Sahaba e Kiraam Ka bhi is baat pe Ittefaq hai ke Hazrate Abu Bakr Sabse Afzal hai, Ye lj’mai Aqeedah hai Jiska Inkaar nahi Kiya Jaa Sakta”.

Ref: Maktubaat e Rabbani,Page no.39.

Hazrate Meer Abdul Wahid Bilgeraami رحمتہ اللہ علیہ Apni Maqbool Tareen Kitaab Sab’ e Sanaabil Shareef me Likhte hain

“Is par bhi Ahlesunnat Ka ljm’a hai ke Nabiyon ke Baad Tamaam dusri Makhlooq me Sabse Behtar(Afzal) Hazrate Abu Bakr Siddiques Phir رضی اللہ عنہ hai Phir Hazrate Umar اللہ عنہ Aage Likhte hai ke Aye Azeez Shaykhain ko Yaani Hazrate Abu Bakr o Umar ko Fazeelat dene me tere Anjaam ki Behtari hai agar tere Dil me Shaykhain ki Mohabbat Kam hai to Samjh le ke Teri Buniyaad Rifz(Raafziyat) me Mazboot ho rahi hai”.

Ref:Sab’ e Sanaabil Shareef,Pg no.56 & 61.

Hazrate Peer Meher Ali Shah Golarvi رحمتہ اللہ علیہ Apni Mashoor Kitaab Tasfiya Mabain Sunni Wash’shia me Likhte hai ke

‘Jamaat e Muteqaddema me jis Ka infaaq o qitaal Muqaddam hoga wo Sabse Afzal hoga Aur Shaykhain (Yaani Hazrate Abu Bakr o Umar ) Ka infaaq o qitaal Saheeh A’hadees se Muqaddam(Sabse Afzal) saabit hai, Lihaza Khilafat unki Khilafat e Rashida o Khassa Thehri Jisme Khalifa Ka Afzal hona Zaruri Samjha gaya”.

Ref: Tafsiya Mabain Sunni Wash’shia, Pg no.23.

Shia Rafziyo Ka Bahut Bada Sheikh & Allama Muhammad Bin Abdul Aziz Al-Kashshi Death 350 Hijri Likhta Hai

Reference Shia Authentic Book
(Rijaal al-Kashi /P-283/Published/Mua’sasat al-Aeilami Beirut Lebanon)

New Edition Rijaal AL-KASHI

Ghouse Aazam Ki Ruhani Aulad, Shiekh E Akbar, Hazrat Muhiuddin Ibn Arabi رحمتہ اللہ علیہ farmaten hai:

Jaan Lo ke Ummat e Muhammadi me Koi Shaqs aisa nahi hai Jo Hazrat Abubakr Siddique رضي الله عنه se Afzal ho Siwaye Isa Alaihissalam ke.

Ref: Al Futuhaat e Makkiyyah, Vol-2, Part-1, Page- 165.


 

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form