Shan E Auliya /ALLAH ke wali / Nek Bande

 POST:1


Banda ALLAH Taala Ka Kurb Kab Paata Hai ? Karamat E Awliya Makam E Auliya Ahle Sunnat Kay Auliya Kay mutallik Tamam Aqeede Ka Saboot Bas Ek Hi Hadees E Sahi Bukhari Se Saabit

Hadees :
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Huzoor Nabi E Karim Ne Farmaya Allah Taala Farmata Hai Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Elaane Jung Karta Hoo’n Aur
Mera Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye Meyra Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Meyra Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra Qurb Haasil Karta Rahta Hey.

Yahan Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Dekhta Hai Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Pakarta Hai Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Chalta Hey.

Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n.
Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.

References :
Sahi Bukhari Pg : 2384/85, kitab ar riqak, baab : 38 باب التَّوَاضُعِ , Hadees : 6137) Arabic Nuskha Scan page

English Edit Ref
*👉(Sahi Bukhari Vol : 08, Pg :275, Kitab Ar Riqak, Baab : Hadees : 6502)*

Yehi Rivayat bahot se Sahaba rizwanullaheem Azmayeen se aayi hai mukhtalif alfaaz k saath.
(Sahi Ibn Hibban Vol : 02, Pg : 58, Hadees : 347)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra, Kitab Uz Zuhad Al Kabir, Vol :02, pg : 269, Hadees : 696)
(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Kabir Vol : 08, Pg : 221, Hadees : 7880 & Vol 12, Pg : 145, Hadees : 12719)
(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 1 Pg :192, Hadees  : 609, Vol 09, Pg : 139, Hadees : 9352)
(Imam Abdul Razzaq Al Mussanaf Vol : 11, Pg : 192-93)
(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya Vol : 01, Hadees : 45 Rivayat Hazrat Anas)
(Imam Abu Nauym Al Hilyatul Awliya 01/5, 8/318)
(Imam Qushayri Risala E Qushairiya Pg : 292)
(Imam Bazzar Al Mazma Uz Zawaid Vol : 04, Pg: 241-42)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 520 Rivayat Hazrat Maymuna)
(Imam Hakim Tirmiiz Nawadir Al Usul, Hadees : 75,162,228)
(Imam Daylami Al Musnad Firdaws Vol :03, Pg : 215, Hadees : 4472, 4475)

Hadees E Mustafvi Salallahualaihwassalam Se Awliya Allah ki Ahem pehchan maloom huwi k Banda Allah ki bargaah me makbool aur martaba tab paata hai jab Sabr ko Ekteyar karle aur khoob Nafl ki pabandi kare.

Ek Jaruri Wajhahat Nafl ka makam Farz, Wajibat, Sunnat k baad hai yehi wajah rahi k jitne Auliya Allah guzre Imam Hasan Basri, Imam Zafar Sadiq, Imam E Aazam Abu Hanifa, Gaus E Aazam, Baba Farid, Khwaja Moinudin Chisri Ajmeri, Makdhoom E Ashraf Simnani wagairah inki puri zindagi Farz Wajibat Sunnat ki khoob kasrat to hoti aur uske elawa raat raat Nafl ibadat me guzar dete par aaj k kuch kam ilm Musalman Aise Aise logo ko apna peer aur wali maante nazar aate hai jo mureedin k saath raat bhar Qawwali bajate nazar aate hai kuch to itne aage hai raat bhar khud nasha charas peete hai aur mureedin ko bhi pilate hai Nafl to dur Faraiz tak ada nahi hote Subah Fazr k wakt aate hi Sote nazar aate hai aise peero se ALLAH Taala Hume bachne ki taufeek de 02 04 Quran ki aayat ka galat mafoom bayan kar apne mureedo ko gumraah karte hain.

Aur Jab Allah Taala Bande Muhabbat Karta hai To kya Hota Hai Wo Is Post me darj hadees E paak me padhe

Phir Aage Farmaya Wo Jo maange usse ata karta hoon uski baat raddh nahi hoti Allah Taala Uska Haath Ban Jaata Hai Unki Aankh ban jaata hai

Harkat banda karta hai par usme wo tamam Power Allah ka hota hai jo ALLAH Unhe ata karta hai
Banda hota Ek Makam par hai par dekhta puri dunya ko saamne dekhta hai

jaise Gaus E Aazam Farmate hai
Mai Tamam Shahro ko aise dekhta hoon jaise Haatheli me rakha rai kaa dana

Ye Is hadees se saabit hai kay bande ki Allah aankh ban jaata hai
Ek makam se dusre makam palak jhapakte pahuch jaate hai

Aur Jjo Wali Ki Tauheen karte hai wo hakikat me Imaan waale to hargiz nhi wo Allah Se hi jung karte hai








POST :2


*🔮Jo ALLAH ﷻ ke kisi Wali se dushmani kare🔮*

📚Imam Bukhari رحمة الله عليه​ ke nazdik Awliya ka maqam

📖Hadees: ALLAH ﷻ farmata hai:
*jo mere wali se dushmani rakhe main uske khilaf Jung ka elan karta hu. Aur Mera Banda Faraiz ke zariye mera qurb hasil nahi karta balki mera banda barabar nawafil (nafil) ke zariye mera Qurb hasil karta hai, Yahan Tak ki main usse Mohabbat karne lagta hun. Aur jab main usse Mohabbat karta hun to uski sama'at ban jata hun jisse wo sunta hai. Uski Basarat ban jata. Hun jisse wo dekhta hai. Uske hath ban jata hun jiske sath wo pakadta hai aur uska pair ban Jata hun jisse wo chalta hai. Agar wo mujhse kuch mange to main use zarur ata karta hun. Agar wo meri Panah pakde to zarur usko panah deta hun.

📙(Sahih Bukhari J-3 Kitabur Riqaq Baab Tawaze H.no.1422)

➡️Aaj ke Munkireen jo Awliya ki be-adbi karte hain unke liye nasihat hai.

Is Hadees se kayi baaten jo Pata chalti hain wo Awliya ke maqam aur Karamat hain.

1️⃣. ALLAH ﷻ jiski sama'at ban Jaye kya wo bhi door ki baaten nahi sun sakta?

2️⃣. ALLAH ﷻ jiski basarat ban Jaye uske liye kya muhal hai ki wo Zamin se nazar uthaye to Arsh aur Lauhe Mehfuz tak dekh le?

3️⃣. ALLAH ﷻ jiske pair ban Jaye uske liye kya dushwar hai ki qo ek Lamhe me duniya ke kisi bhi kone me pahunch sake?

Aaj ke Munkireen, Waliyon ki in baaton ko na jane kaunsi Hadees padhkar shirk kehte hain.

Kam se kam Bukhari Sharif hi padh lo.

📑Look Scan👇🏻








POST:3




*🔮Auliya Allah رحمةاللّٰه تعالىٰ عليهم Ki Mazaar Se Faiz Lena🔮*

*🌹Imam Musa Kazim رضی الله تعالٰی عنہ Ki Mazar Par Jakar Fariyad Karna*

Hazrat Imam Khateeb Al Baghdadi رضی الله تعالٰی عنہ Al Mutawaffah *463* Hijri Likhte Hain...✒️

Hazrat Ahmad Bin Jafar Bin Hamdan رحمةاللّٰه تعالىٰ عليه Ne Kaha Mene al Hasan Bin 'Ibrahim Ibn e Ali Khilal (رحمةاللّٰه تعالىٰ عليهم) Ko Kehte Hue Suna
*Mujhe Koi Mushkil Hoti Ya Koi Preshani Aati To Me Sayyidina Imam Musa Kazim رضی الله تعالٰی عنہ Al Mutawaffah 183 Hijri Ki Qabr Mubarak Par Jata Aur Fariyad Karta To Allah ﷻ Meri Mushkilat Ko Asaan Kar Diya Unke Wasile Se*

*📚Reference Book📚*

📕Tareekh e Baghdad
📖Safa *133*

📑Scan Page👇🏻




POST:4

*_Kya Allah Ke Wali Ka Pani Mein Chalna Mumkin Hain??_*

Hazrat Khwaja Junaid Baghdadi Rehmatullahi Alahi Ka Pani Par Chalne Wala Waqiyah Ka Wahabi Salafi Bidaati Log Mazaq Uddate Hain Pata Nahi Kya Kya kehte Hain Kya Kya Fatwe Lagate Hain Ab Lagaye na Fatwe Ye Ibarat Aur Wakiya To Khud Inke apne Molvi Ki Qitaab me Bhi Mojood Hain

Salaaf K Maane Ka Dawa Karte Hain Par Maantey Nahi 🤷🏻‍♂️

Imam Ibne Kaseer Likhtey Hain Bahut Se Awliya Pani Par Chale Hain AUR Rasool Allah ﷺ Ke Sahabi Hazrat Alaa Bin Ziyad Radiallahu Anhu Waqiya Mein Is Par Dalaalat Paayi Jaati Hain 

{Al Bidaya Wal Nihaya Jild 06, Safa 346}

Safa 345 Par Likhtey Hain

Aur Kahi Ullama Ne Bayan Kiya Hain Awliya Ki Karamaat Ambiya Ki Mojizaat Hain Kyu Ki Wali Ne Is Baat Ko Apne Nabi Ki Mutabiyat Ki Barkaat AUR Iman KE Sawaab Se Haasil Kiya Hota Hain 


Safa 349 Par Likhtey Hain 

Imam Abu Muslim al-Khawlani  Rehmatullahi Alahi (Tabee) Wo Pani Par Chal Pade AUR Apne Ashaab Ki Taraf Mutawaje Hokar Farmaya Kya Tum Apne Saman Se Koi Cheez Ghoom Paate Ho? Jo Ham Allah Se Dua Kare 

Aage Likhtey Hain Imam Behaqui rehmatullahi Alahi Bayan Karte Hain Yeh “SANAD” SAHIH Hain 

Safa 350 Par 
Imam Ibne Kaseer Ne Bahut Se Hawale Ke Saath Salaaf Ka Waqiya Bayaan Ki Hain 

Akhir Ne Nafs Parast Ye Kehte Nazar Aate Hain Ke Ye Wakiyat Samj Me Nahi Aate Aur Mazak Udate Hain Hum kehte Hain Nabi Ke Mozijat Aur Wali ki karamat Naa Aaye Use Hi Mozijat Aur Karamat kehte Hain..!











DALIL TABLIG JAMAT DEOBAND SE. 

NEK BANDO KI SHAN TABLIG JAMAAT KE KITABO SE.

#waseela #auliyaallah #qaramat

ALLAH k wali k liye zameen simatt jati hai
Palak jhapakte ek jagah se dusri jagah tasharruk karte hai
Ashraf Ali thanvi db

اللہ کے ولی کے لیۓ زمین سمٹ جاتی ہے، اور وہ پلک جھبکنےکی دیر میں ایک جگہ سے سینکڑوں میل دور جگہ پر پہنچ جاتے ہیں۔۔۔۔مولانا اشرف علی تھانوی( جمال الاولیا )۔


Shan E Auliya /ALLAH ke wali / Nek Bande

Shan E Auliya /ALLAH ke wali / Nek Bande




Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form