Rishtedari, Hadess about Ristedari

  • Rishtedari, Hadess about Ristedari

  • *🌹SAWAL:-🌹*
    Asalam Alaikum Hazrat Mera Suwaal Hai Ki Hmaare Rishtedar Me Wahabi Devbandi Sullehkulli Hai To Hm Unke Yahaa Bht Km Aate Jaate H Koshish Yahi Karte Hai Unse Door Rahe Lekin Hamare Nabi Ki Hadees H Hmne Suna Hai Ki Jo Rishtedari Todega Uski Sakht Pakad Hai To Iski Wazaahat Farma De Ki Ky Shi H


  • *🌹JAWAB:-🌹*
    وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
    Rishtedari Nibhane Ki Takid Jin Ahaadis Me Aai He Us Se Murad Wo Rishtedar He Jo Sunni Sahih Ul Aqeedah Ho.. Warna Badmazhaboñ Se Duri Ke Ta'alluq Se Bhi Bahut Si Ahaadis Me Takid Aai He, Maslan
    اياكم و اياهم لا يضلونكم ولا يفتنونكم ..
    Tarjama: Tum Apne Aap Ko Un Se (Bad Mazhaboñ Se) Dur Rakkho Our Apne Ko Unse Bachao, Kahiñ Wo Tumko Gumrah Na Kar De, Kahiñ Tum Ko Fitne Me Na Daal De..

    Isi Tarah Hadees Sharif Me Aaya
    من وقر صاحب بدعة فقد اعان علي هدم الاسلام.رواه البيهقي.
    Tarjama: Jis Ne Kisi Badmazhab (Bidati) Ki Taazim Ki Yaqeenan Usne Islam Ko Dhane Me Madad Ki..

    In Ahaadis Se Sabit Huwa Ke Badmazhaboñ Se Apne Aap Ko Door Rakhna He, Our Unki Izzat Nahiñ Karni, Lihaza Rishtedar Agar Badmazhb He To Unse Rishtedari Nahiñ Nibhani He, Ke Asl Rishta Imani Rishta He Na Ke Khoon Ka..

    Wallahu Ta'ala Aa'alam

    SAWAL COMMENT ME KARE ❤️
    .

    #BADAQIDARISTEDAR

  • Reference: 𝗔𝗟𝗔 𝗛𝗔𝗭𝗥𝗔𝗧 𝗞𝗔 𝗦𝗜𝗣𝗔𝗛𝗜🥷

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form