Hazrat Anas (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Se Riwayat Hai,
Ki ek Bedouin Rasoollallah (صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم)
Ke Pass Aaya Aur Kaha
"Ki Qayamat Kab Aayegi"?To Aap (صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم) Ne Farmaya,
"Afsos!Tumne Us Qayamat Ke Liye Kya Tayyyari Ki Hai"?Usney Kaha,
"Maine Uske Liye To Koi Tayyari Nahi Ki Hai,Lekin Main Allah Aur Uske Rasool Se Mohabbat Rakhta Hun",To Aap (صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم) Ne Farmaya,
"Phir Tum Qayamat Ke Din Unke Saath Rahoge Jin Se Mohabbat Karte Ho".
(Sahih Bukhari, Vol-7, 6167)
Tags:
Qayamat