IMAM KE PEECHE SURAH FATEHA (QIRAT) PADHNE

IMAM KE PEECHE QIRAT KARNE PAR WAHABI GAIR MUQALLID AHLE HADEES KE AITERAAZ KA JAWAB
💠

👉WAHABI AHLE HADEES MOTARIZ NE IMAM KE PEECHE SURAH FATEHA (QIRAT) PADHNE PAR SAHIH MUSLIM SE HAZRAT ABU HURAIRA رضي الله تعالى عنه KA EK QUAL PESH KIYA. HUM USKE MESSAGE KO PESH KAR RAHE HAI AUR PHIR USKA JAWAB PADHIYE.

🚫WAHABI AHLE HADEES KA MESSAGE:

👇👇👇👇👇👇👇👇
💐 Islamic Message Time 💐

🔹 Hadees 🔹

Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayt hai ki Nabi e Kareem Sallallaaho Alaihe Wasallam ne farmaya:

"Jo koi aisi namaz padhe jisme Surah Fatiha (Alahamdo Shareef) na padhe, to vo namaz naqis hai, naqis hai , poori nhi hai."

Logo ne Hazrat Abu Huraira se pucha ; Jab imam ke pichhe namaz padhte hain to kya karein?
Abu Huraira ne farmaya; Surah Fatiha aahista se padha karo.

📖 Sahih Muslim
Volume: 1
Hadees: 170

JAWAB 👇🏻✅
.
Wahabi Ahle Hadees motariz ne daleel mein ek Marfu Hadith pesh ki aur uske saath Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ka qual pesh kiya.

Sahih Muslim ki Marfu Hadith Gair Muqallid ke liye daleel aur hujjat nahi ban sakti. Wajah uski ye hai ke is marfoo riwayat me qirat khalfal imam ki baat nahi kahi gayi hai.

👉Imam ke pichhe Aahista Qirat wali Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki riwayat Hadith e Marfu Nahi aur hukman bhi Marfu nahi.

Balki woh Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ka ijtehad hai. Unhone is hadith se ijtehad kia hai. Allah ka farman hai maine Surah Fateha ko apne aur bande ke darmian nisf nisf taqseem kar diya hai. Jab banda Alhamdu kahta hai to mai kahta hu mere bande ne meri hamd bayan ki....(Hadith lambi hai) Is Hadith se jo Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنهne ijtihad farmaya hai dusre sahaba ne taeed nahi ki hai.

❌Alawa azin hadeese marfu iske khilaf hai.

📗Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya hai ki jiska Imam hai wo imam ke pichhe qirat na kare kyunki imam ki qirat uski qirat ke liye kafi hai. Ye Hadith SAHIH MARFU apne mafhum me zahir GAIR MUAARIZ hai. Iska muaariz koi sahabi ka ijtehad nahi ho sakta.

AUR HAZRAT ABU HURAIRA رضي الله تعالى عنه SE MARFOO HADITH RIWAYAT HAI:


  • Surah Al araf :

  • - وَ اِذَا قُرِئَ الْقُرْاٰنُ فَاسْتَمِعُوْا لَهٗ وَ اَنْصِتُوْا لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُوْنَ(204)
    ترجمہ:
    اور جب قرآن پڑھا جائے تو اسے غور سے سنو اور خاموش رہو تاکہ تم پر رحم کیا جائے۔

    • Post a Comment

      Previous Post Next Post

      Contact Form