Aaj Kuch Bad Aqeeda Jamato Ka Ye Manna Hai Ke Ma'zALLAH Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Ilme Ghaib Nahi Tha. Ahle Sunnat Wal Jamat Yani Maslake Aalahazrat Ka Ye Aqeeda Hai Ke ALLAH Ta'ala Ne Apne Mehboob Ko Ta Qayamat Honewali Chizo Ka Ilm Ata Farmaya. Is Topic Me Ilme Ghaib Ko Quran Wa Hadess Se Sabit Kiya Gaya Hai. Ilme Ghaib Ka Inkar Karna Munafiqo Ka Tariqa Hai. Ye Topic Padh Kar Aapki Aankhe Khul Jaye To Sachche Dilse Tauba Karle. ALLAH Ta'ala Bada Meherban Wa Rehemwala Hai.
Ilme Gaib:
ALLAH Aalimul Gaib Hai. Aisi Chupi Hui Chizo Ka Ilm Jo Sirf ALLAH Ta'ala Janta Hai. Aur Uski Ataa Se ALLAH Ta'ala Ke Chunida Rasool Jante Hai. ALLAH Ta'ala Ne Unhe Apne Ilm Ka Kuch Hissa Sikhaya.
For eg. ALLAH Ki Ataa Se Kisika Jannati Ya Dozakhi Hona Huzoor Ne Bayan Farmaya.
Ilme Gaib 2 Tarah Ka Hai.
Ilme Gaib 2 Tarah Ka Hai.
1. Zaati Ilme Gaib
2. Atai Ilme Gaib
1. Zaati Ilme Gaib:
Beshaq ! ALLAH Rabbul Aalameen Aalimul Gaib Hai. Sare Jahano Ka Malik Hai, Uske Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi. Sab Kuch Uske Huqm Se Hota Hai ALLAH
Har Ek Chiz Par Qadir Hai. Aur Wo Har Ek Baat Ka Jannewala Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ka Ilme Gaib Zaati Ilme Gaib Hai. Zaati Matalab Kisine Ata Na Kiya Aisa.
2. Ataai Ilme Gaib:
ALLAU Ta'ala Ki Shaan Ye Nahi Ke Aam Logo Ko Ilme Gaib Ataa Kare. Ha Par Wo Chun Leta Hai Apne Pasandida Rasoolo Me Se. Hamare Aaqa Tajdare Madina Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ilme Gaib Ataai Hai Yani ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ataa Faramaya Hai Aur Isi Tarah Tamam Ambiya Alaihissalam Ka Ilme Gaib Bhi Ataai Hai. Ab ALLAH Ta'ala Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Kitna Ilm Ataa Kiya ALLAH Ta'ala Aur Uske Rasool Behtar Jante Hai. Hamari Itni Aukat Na Hai Na Hogi Ki Is Masle Par Guftagoo Kare.
Agar Koi ALLAH Ta'ala Ke Liye Yah Sifat Ataai Mane Yani Ataa Kiya Hua. Ya Bande Ke Liye Zaati Ilme Gaib Mane Yani Bagair ALLAH Ta'ala Ke Ataa Kiya Hua To Ye Shirk Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Aalimul Gaib Hai. Tamaam Ambiya Alaihissalam Ka Ilme Ghaib ALLAH Ta'ala Ne Ataa Kiya Hua Hai. ALLAH Ta'ala Ka Jab Huqm Hota Hai Tab Hi Wo Ghaib Ki Khabre Jaahir Karte Hai. Agar Kisi Mauqe Par Gaib Ki Bate Na Batayi To Isse Hargiz Ye Na Soche Ke ALLAH Ta'ala Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilme Gaib Ataa Na Farmaya. Balqi Us Waqt ALLAH Ta'ala Ka Huqm Hota Hai Ke Gaibi Khabar Ko Jaahir Na Kiya Jaye. Isiliye Kai
Martaba Mere Aaqa Wa Maula Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Gaibi Khabar Na Bayan Farmayi. Bas Wo Ek Hi Hadees Ko Pesh Kar Hamare Bhole Bhale Sunni Bhai-Beheno Ko Gumrah Karte Hai Jisme Khane Me Zeher Tha Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Ko Is Baat Ki Khabar Na Di. Ab In Aqal Ke Andho Ko Ye Kyu Nahi Dikhai Deta Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kai Martaba Sahaba Ko Shahadat Ki Basharat Di, Kisi Sahabi Ko Jannat Ki Basharat Di. Kai Kam Aqal Log Ye Bhi Kehte Hai Ke ALLAH Ta'ala Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gaib Ki Khabaro Ka Ilm Ataa Farmaya To Wo Gaib Raha Hi Nahi. Ma'zALLAH Astagfirullah. Aise Logo Ko Mera Ye Sawal Hai Ke "ALLAH Ek Hai Uske Siwa Koi Mabood Nahi."Ye Gaibi Khabar Tumhe Di Kisne? Kya Tumne Dekha KHUDA Ko? Aise Hi Kuch Munafiqo Ne Aapke Ilm Ka Us Zamana-E-Mubarak Me Hasi Mazak Banaya To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayat Nazil Farmayi,
“Aur Aye MEHBOOB ! Agar Tum Inse Puchoge, To Kahenge Ke Hum To Yun Hi Hansi Khel Main The. Tum Farmao Kya ALLAH Aur Uski Aayato Aur Uske Rasool Se Haste Ho. Bahane Na Banao Tum Kaafir Ho Chuke Musalman Ho Kar.”
(Surah Para 10, Aayat 65-66, Tarzuma: Kanzul Imaan )
Imam-E-Ahle Sunnat-Mujaddid-E-Deeno Millat Imam Ahmad Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Kya Koob Farmate Hai.
“Aur Koi Gaib Kya Tumpe Niha Ho Bhala,
Jab Na Khuda Hi Chupa Tumpe Karodo Durood.”
ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ambiya Alaohissalam Ko 3 Tariqo Se Gaibi Ilm Ataa Farmaya:
1. ILHAAM (Gaibi Ilm)
2. Kalaam (Gaibi Guftagu)
3. Wahi (Farishte Ke Jariye)
“Gaib Ka Jannnewala (ALLAH Ta'ala) To Apne Gaib Par Kisiko Musallat Nahi Karta. Siwaye Apne Pasandida Rasoolo Ke.”
(Surah Jinn, Para 29, Aayat 26, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Hadees No 1:
Hazrate Umar Farooq Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ek Roz Hamare Darmiyan Khade Huye To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Makhluq Ki Paidaish Ka Ibteda Se Zikr Farmana Shuru Kiya Yahan Tak Ki Jannati Apne Maqaam Par Pahoch Gaye Aur Dozakhi Apne Maqaam Par Ise Yaad Rakha Jisne Yaad Rakha Aur Bhool Gaya Jisne Bhool Gaya
(Bukhari Jild 1 Safa 354) (Muslim Jild 2 Safa 390)
Haashiye Mein Hai Imaam Taibi Ne Farmaya Ki Is Hadees Se Zaahir Hai Ki Sari Makhluq Ke Saare Haalat Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Ko Bata Diye
“Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai
Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai.”
“Aur ALLAH Ki Shaan Ye Nahi. Aye Aam Logo Tumhe Ilme Gaib Dede. Ha ALLAH Chun Leta Hai Apne Rasoolo Se Jise Chahe.”
(Sure Al Imraan, Para 4, Aayat 179, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Hadees No 2:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Sarkar-E-Do-Aalam, Noor-E-Mujassam, Shaahe Bani Aadam, Rasool-E-Mohtasham Sallallahu Alaihi Wasallam Do (2) Qabron Ke Paas Se Guzrey Aur Gaib Ki Khabar Dete Huye Farmaya :
“Yeh Dono Qabr Wale Azaab Diye Jaa Rahe Hain Aur
Kisi Badi Cheez Me Azaab Nahi Diye Jaa Rahe (Jis Se Bachna Dushwar Ho). Balki Ek Toh Peshaab Ke Cheehton Se Nahi Bachta Tha Aur Doosra Chugal Khori Kiya Karta Tha.” Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khajoor Ki Taaza Tahni Mangwayi Aur Usey Aadho Aadh Cheera Aur Har Ek Ki Qabr Par Ek Hissa Gaad Diya Aur Farmaya :
“Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Tab Tak In Dono Ke Azaab
Me Takhfeef Hogi.”
"Qabr Per Phool Daalna Yahanse Saabit Hota Hai"
Agar Qabr Per Phool Daalna Shirk Hota, Toh Rasoole Kamaal Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Amal Hargiz Na Karte..
(Sahih Bukhari : Hadees 6055 Book ref. : 78, Hadees 85
Eng ref. : Vol. 8, Book 73, Hadees 81)
(Sahih Bukhari : Hadees 218 Book ref. : 4, Hadees 84 Eng ref. : Vol. 1, Book 4, Hadees 217)
(Sunan Abu Dawud : Hadees 20 Book ref.: 1, Hadees 20 Eng ref. : Book 1, Hadees 20)
(Jamia Al Tirmizi : Hadees 70 Book ref. : 1, Hadees 70 Eng ref. : Vol. 1, Book 1, Hadees 70)
Is Hadees Se Bakhoobi Ye Baate Maloom Ho Gayi :
1. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Nigahe Aqdas Ke Liye Qabr Ke Upar Ki Mitti Waghairah Aad Nahi Hoti Aur Qabr Ke Andar Upar Se Hi Mulahiza Farma Lete Hai. Ye Gaib Nahi To Kya Hai?
2. Qabr Me Dafn Hue Logo Ki Zindagi Ke Haalaat Bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Peshe Nazar Rahte Hai Ki Kis Ne Kya Kiya Aur Kis Wajah Se Is Par Azaab Ho Raha Hai
“Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aibon Ko Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante Hai”
“Aur ALLAH Ne Tum Par Kitab Aur Hiqmat Utari Aur Tumhe Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jante The. Aur ALLAH Ka Tum Par Bada Fazl Hai.”
(Sure An Nissa, Para 5, Aayat 113, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Hadees No 3:
Hazrat Uqba Ibn Aamir Radiallahu Anu Farmate Hai Ek Din Huzoor-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Laye Aur Uhaad Ke Shadeedo Ki Qabr Pe Namaz Padhi Aur Apne Mimber Pe Tashreef Laye Aur Farmaya,
“Mai Tum Par Gawaah Hu Aur Kasam Khuda Ki Mai Is
Waqt Bhi Yaha Se Apna Hauz-E-Kausar Dekh Raha Hu.” “ALLAH Ta'ala Ne Zameen Ke Saare KHAZANE Ki KUNJIA Mujhe Ata Kar Diye.”
Ya Ye Farmaya Ke
“MUJHE KHAZANE De Diye Zameen Ke Aur ALLAH KI Kasam Mujhe Is Baat Ka Khauf Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karoge. Mujhe Sirf Is Baat Ka Khauf Hai Ke Tum Dunya Talbi Me Ladoge.”
(Sahi Bukhari Volume : 1, Pg : 189 Kitab No: 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428)
(Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590) (Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail, Baab : Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 English Book No 30 Hadees : 5688)
(Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)
Is Hadees-E-Pak Se Shaane Mehboobe Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Khoob Nazar Aa Rahi Hai Bas Nigaho Me Ishqe Rasool Ka Surma Laga Hona Chahiye. Huzoor Ka Houze Kausar Ko Apne Mimbar-E-Mubarak Par Khade Hokar Dekhna. Aapka Ye Farmana Ki Aapki Ummat Shirk Me Mubtala Na Hogi. Ye Tamam Bate Bayan Farmana Gaib Nahi To Aur Kya Hai?
“Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai”
Hadees No 4:
Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Aye Logo ! ALLAH Ne Zamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak Ke Maine Zamin Ke Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur ALLAH Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya. Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.”
(Sahi Muslim Vol : 02, Page : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno aur Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 2889, English Version Book No 24 Hadees : 25) (Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim,Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, English Version Book No : 37, Hadees : 13)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan,
Hadees : 2176, English Version Book No 33 Hadees : 39)
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, English Version Book No 36 Hadees : 27)
“Maalik-E-Qaunain Hai Jo Paas Kuch Rakhte Nahi Do Jahan Ki Nemate Hai Unke Khali Hath Me.”
Hadees No 5:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Qayamat Us Wakt Tak Naa Aaygi Jab Tak Meri Ummat
Me 30 Dajjal Naa Aajaye Unme Se Har Koi Nabi Hone Ka Dawa Karega.”
(Sahi Muslim Vol :07, Pg :317, Kitabul Fitan, Hadees : 7342)
(Sunan Abu Dawood, Vol :04 , Pg :535 ,Kitabal Malaheem, Baab : Khabre Ibn E Saad, Hadees : 4333 English No : 4319 )
Is Hadeese Pak Me Mere Aaqa Wa Maula Mehboobe Khuda, Khatamul Ambiya, Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Qayamat Ke Aasar Ko Bayan Farma Rahe Hai Ki Qayamat Kab Aayegi.
ALLAH Rabbul Aalameen Qurane Kareem Me Farmata Hai,
“Apne Mehboob Ko Quran Sikhaya. Insaniyat Ki Jaan Muhammad Ko Paida Kiya. Maa Kaa Na Wa Maa Yakoon Ka Unhe Bayan Sikhaya. Suraj Aur Chand Hisaab Se Hai. Sabje Aur Ped Sajda Karte Hai.”
(Sure Rehman, Para 27, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“Aur ALLAH Ne Tum Par Kitaab Aur Hikmat Utari Aur Tumhe Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jante The. Aur ALLAH Ka Tum Par Bada Fazl Hai.”
(Surah Nisa, Para 5 Aayat 113, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“To Hamare Bando Me Se Ek Banda Paya,
Jise Hamne Apne Paas Se Rehmat Di Aur Use Ilme Ladunni Ataa Kiya.”
(Surah Kahaf, Para 15, Aayat 65, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Ye Aayate Kareema Me ALLAH Ta'ala Ye Ailan Farma Raha Hai Ke Apne Mehboob Ko Ilm Ata Kiya. Aage Aapki Shaano Shaukat Aur Tazim Ka Behtarin Namuna Bhi Jahir Farma Raha Hai Ke Suraj Aur Chand Bhi Aapka Huqm Mante Hai Aur Ped Paudhe Sajda Karte Hai ALLAH Rabbul Aalameen Ki Ata Se.
“Khabar Bhi Hai Ke Khabar Sabki Unhe Hai Kabse, Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jante Hai.”
Hadees No 6:
Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khaybar Ke Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Ta'ala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat
Rakhta Hai Aur ALLAH AUR USKA RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Usse Mohabbat Karte Hai. Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha Ke Jhanda Use Diya Jayga. Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai? Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Unki Aankhe Dukhti Hai. Unhe Bulaya Gaya HUZOOR NABI-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne APNA LUAAB-E-MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki Aankho Me Lagaya Wo Aise Theek Ho Gaye Jaise Pahle Dard Tha Hi Nahi Aur Jhanda Unhe De Diya Gaya. Maula-E-Kaynaat Ne Pucha YAA RASOOLALLAH Kya Mai Unse Us Wakt Tak Ladu Jab Tak Musalmaan Na Ho Jaye?
Farmaya “Narmi Ekhteyar Kar Jab Tak Ke Tum Unke
Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH Ke Jo Hukook Unpe Hai Wo Unhe Batao ALLAH Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye. Ye Tumhare Liye Is Baat Se Accha Hai Ke Tumhare Paas Surkh Oont Ho.”
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : ﺏﺎ ﺑ ِﻞْﻀَﻓ ْﻦَﻣ َﻢَﻠْﺳَﺃ ﻰَﻠَﻋ ِﻪْﻳَﺪَﻳ ٌﻞُﺟَﺭ Hadees : 3009) (Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210)
(Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E
Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, English : Book 44 Hadees : 53)
“Aur Ye Nabi Gaib Batane Mein Bakhil Nahi.”
(Sure Taqweer, Para 30, Aayat 24, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“Tum Apne Rab Ke Fazl Se Majnoon Nahi.”
(Surah Qalam, Para 29, Aayat 2, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Is Aayate Kareema Me Saf Lafzo Me ALLAH Ta'ala Farma Raha Hai Ke Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Gaib Ki Khabre Batane Me Hargiz Bakhil Nahi Hai.
“ALLAH Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahi. Wah Aap, Auaro Ka Qayam Rakhnewala. Use Na Ungh Aaye Na Nind. Usika Hai Jo Kuch Aasmano Me Hai Aur Zameen Me. Wah Kon Hai Jo Uske Yaha Sifarish Kare Be Uske Huqm Ke. Janta Hai Jo Kuch Unke Aage Hai Jo Kuch Unke Piche. Aur Wo Nahi Pate Uske Ilm Me Se Magar Jitna Wah Chahe.
(Surah Bakarah, Para 3, Aayat 255, Tarzuma: Kanzul
Imaan)
“Aur Aye MEHBOOB Agar Tum Inse Puchoge, To Kahenge Ke Hum To Yun Hi Hansi Khel Main The. Tum Farmao Kya ALLAH Aur Uski Aayato Aur Uske Rasool Se Haste Ho. Bahane Na Banao Tum Kaafir Ho Chuke Musalman Ho Kar.
(Surah Para 10, Aayat 65-66, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Ye Aayate Kareema Tab Nazil Hui Thi Jab Munafiqo Ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farman Aur Ilme Gaib Ka Hansi Majak Banaya. To ALLAH Ne Is Aayat Ko Nazil
Farma Kar Ye Ailan Kiya Ke Wo Kaafir Hue Musalman Ho Kar. Aur Mere Aaqa Ka Gustakh Har Munafiq Kaafir Hai.
Hadees No.6:
Hazrate Anas Ibne Malik Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Suraj Dhal Jaane Ke Baad Bahar Tashreef Laye Fir Humko Zuhar Ki Namaz Padhayi. Jab Salaam Fer Diya To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Mimber Par Jalwa Afroz Hue Aur Qayamat Ka Zikr Farmaya Aur Un Bade Bade Umoor Ka Jo Isse Pahle Hai Fir Farmaya Agar Koi Mujhse Jo Kisi Cheez Ke Bare Me Puchna Chahe To Puchlo Khuda Ki Kasam !
Tum Mujhse Jo Puchoge Main Bata Dunga Jab Tak Main
Is Jagah Hu. Hazrat Anas Ka Bayaan Hai Log Zaaro Kataar Rone Lage Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Baar Baar Farmate Rahe Jo Chaho Mujhse Puchlo. Hazrate Anas Ka Bayan Hai Ek Sahab Ne Khade Hokar Pucha Ki Yaa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Mera Thikana Kaha Hoga?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Dozakh Mein.”
Fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa Khade Hue Arz Karne Lage Yaa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Mera Baap Koun Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Tumhara Baap Huzafa Hai.”
Raawi Ka Bayan Hai Ki Fir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Baar Baar Farmate Hai Ki Mujhse Pucho Mujhse Pucho. Chunache Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ghutno Ke Bal Khade Ho Kar Kahne Lage. “Hum ALLAH Ke Rab Hone Aur Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Rasool Hone Par Raazi Hai.”
Jab Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ne Ye Guzarish Ki To Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Khamosh Ho Gaye.
Fir Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Kasam Us Zaat Ki Jiske Kabze Me Meri Jaan Hai. Abhi
Abhi Is Deewar Ke Samne Mujh Par Jannat Aur Dozakh Pesh Ki Gayi Jab Ki Main Namaz Padh Raha Tha To Aaj Ki Tarah Maine Khair „Aur Shar Ko Nahi Dekha.” (Bukhari Jild 2 safa 1083, Muslim Jild 2 Safa 263)
“Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai.”
Jannati Hona Ya Dozakhi Hona Uloom-E-Khamsa Me Se Hai. Isi Tarah Kaun Kiska Beta Hai Aisi Baat Hai Ke Jiska Ilm Siwaye Maa Ke Kisiko Nahi Ho Sakta. Qurban Jaun Un Aakho Par Jo Andhere, Ujaale, Duniya Wa Aakhirat Sabko Dekhti Hai. Ye Waqia Jab Pesh Aaya To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayat Nazil Farmayi.
“Aye Imaanwalo ! Aisi Baaten Na Pucho Jo Tum Par Zaahir Kardi Jaye To Tumhen Naagawaar Hon.”
(Surah Maai‟dah, Para 7, Aayat 101, Tarzuma: Kanzul
Imaan)
“Aur ALLAH Ta'ala Ne Aadam Ko Tamaam Ashya Ke Naam Sikhaye. Fir Sab Ashya Aur Malaika Par Pesh Karke Farmaya Sachche Ho To Inke Naam Batao. Bole Paaki Hai Tujhe Hume Kuch Ilm Nahi Magar Jitna Tu Hame Sikhaya. Beahaq! Tu Ilmwala Wa Hiqmatwala Hai.”
(Sure Bakrah, Para 1, Aayat 31-32, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Is Aayate Kareema Se Hazrate Aadam Alaihissalam Ka Ilme Ghaib Sabit Hai.
“Aur Aye Mehboob ! Tumhe Un Sab Par Gawaah Aur Nigehban Bana Kar Laye”
(Sure An Nissa, Para 5, Aayat 41, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“Aur Jab Apni Kuwwat Ko Pohocha Humne Use Huqm Aur Ilm Ataa Farmaya.”
(Sure Yusuf, Para 12, Aayat 22, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“Yusuf Ne Kaha Jo Khana Tumhe Mila Karta Hai Wah Tumhare Paas Na Aane Payega Ki Me Uski Ta'abir Uske Aane Se Pehle Tumhe Bata Dunga.”
(Sure Yusuf, Para 12, Aayat 37, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Is Aayate Kareema Se Hazrate Yusuf Alaihissalam Ka Ilme Ghaib Sabit Hai.
“Aur Loot Ko Hamne Huqumat Aur Ilm Diya Aur Use Us
Basti Se Nazaat Bakshi Jo Gande Kaam Karti Thi. (Sure Ambiya, Para 17, Aayat 74, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Yaha Hazrate Loot Alaihissalam Ka Ilme Ghaib Sabit Hai.
Hadees No: 7
Hazrat Abdullah Bin Shaqik Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Kaha Agar Mai Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekhta To Mai Aap Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Puchta. Hazrat Abu Jarr Radialllahu Anhu Farmate Hai
"Aye Shaqik ! Tum Kya Puchte?" Farmaya,
"Mai Puchta Aye ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Aapne ALLAH Ko Dekha Hai?" Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Farmate Hai, "Aye Shakik ! Maine Pucha Tha"
Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"MAINE NOOR KO DEKHA”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)
Hadees No: 8
Hazrat Anas bin Malik RadiAllaho Anho Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Uhad Ke Pahad
Par Tashreef Farma The Aapke Saath Hazrat Abu Baqr, Umar, Aur Hazrat Usmaan Bhi The Ke Uhad Ka Pahad Hilne Laga Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apna Kadam-E-Mubarak Uspe Rakha Aur Farmaya Aye Uhad Taherja Tujhpe Aur Koi Nahi Ek Nabi, Ek Siddiq Aur Shaheed Khade Hai.
(Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3686 & 3675)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4062 Eng No :
3697)
“Aye Ilme Gaib Ke Munkir Khuda Ko Dekha Hai? Tujhe Bhi Kehna Padega Huzoor Jaante Hai.”
“Awwalo Aakhir Sab Kuch Jaane, Dekhe Ba‟eed-O-Qareeb
Gaib Ki Khabre Denewala ALLAH Ka Wo Habeeb.”
“Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur Bheje Sab Unki Shaukat Pe Laakho Salaam.”
Hadees No: 9
Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ali Radiallaho Anhu Se Farmaya Ke Tum Meri Sabz Rang Ki Chadar Oodh Ke Mere Bistar Pe So Raho Aur Mere Chale Jaane Ke Baad Tum Ye Amanat Unke Maliko Ko Saunp Ke Madina Chale Aana. Hazrat Ali Karamallahu Wajhahaul Kareem Jaante The Ke Kuffar Ne Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ke
Katl Ki Sazish Rachi Hai Aur Apne Mansoobe Pe Wo Amal Karnge Lekin Chunki HUZOOR-E-AKRAM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Farmaya Ke “MERE JAANE KE BAAD TUM MADINA AA JANA.” Lihaja
Mujhe Yakeen Tha Ke Mai Zinda Rahunga Aur Madina Jaunga. Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Aisi Aaram Ki Neend Aayi Ke Wo Sote Rahe Aur Phir Khud Ek Sher Padha Wo Ye Hai.
“MAINE APNI JAAN KO KHATRE ME DAAL KE US JAAT-
E-GIRAMI KI HIFAZAT KI JO ZAMEEN PAR CHALNE WAALE AUR KHANE-E-KAABA HATEEM-E-KAABA KE TAWAAF KARNE WAALO ME SABSE BULAND MARTABA HAI.” ALLAH TA‟ALA NE IN KHUFIYA TADBEER SE BACHA LIYA.
(Imam Abdul Bakir Zarqani Shara E Al Muwahibul Laduniya Lil Zarqani Vol : 01, Pg : 322) (Madarijun Nabuwat Vol : 02, Pg : 80)
(Seerat E Nabuwat Lil Hissham Vol :01 Pg:196 Baab :
Hizrat E Rasool)
Aur Bhi Bahot Si Kutoob-E-Seerat Me Ye Rivayat Hai Yaha Jo Baat Kabile Gaur Hai Jo Ye Hazrat Ali Ko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya TUM MADINA CHALE AANA AUR HAZRAT ALI Radiallahu Anhu Ka Ye Kahna Mujhe Yakeen Tha Mai Madina Jaunga Ye Kya Hai? Yehi To GAIB KA ILM HAI Jo ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne HAZRAT ALI Ki ZINDAGI Ki Jamanat Leli Warna Aise Bistar Pe Sona Jaha Maut Ka Tasawur Bilkul Karib Hai. To Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Ka Bhi Akeeda Yehi Tha Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gaib Ka Ilm ALLAH Ta'ala Ki Ata Se Hai. Is Waqiye Ka Zikr Quran Shareef Me ALLAH Ta'ala Ne Farmaya,
“Aur Aye MEHBOOB ! Yaad Kijiye Jis Wakt Kuffar Aapke
Baare Me Khufiya Tadbeer Kar Rahe The Ki Aapko Kaid Karde Ya Shaheed Karde Yaa Saher Badr Karde Ye Log Khufiya Tadbeer Kar Rahe The Aur ALLAH Khufiya Tadbeer Kar Raha Tha Aur ALLAH Ki Poshida Tadbeer Sabse Behtar Hai.”
(Surah Anfal, Para 9, Ruku 4, Ayat 30, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hadees No: 10
Umool Momineen Sayyida Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Farmati Hai, Rasool-E-Karim Rauf-O-Rahim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apni Sahzadi Sayyada Fatima Tuz Zahra RadiAllaho Anha Ko Bulaya Aur Kaan Me Koi Baat Farmayi Wo Baat Sun Kar Khatoon-E-Jannat Rone Lagi, Aaka Ne Phir Sargoshi ki (Yaani Kaan Me Koi Baat Farmayi) To Khatoone Jannat Hasne Lagi, Hazrat Sayyida Ayesha Siddiqa, Tayyiba, Tahira Radi Allaho Anho Farmati Hai
“Mai Ne Khatoon-E-Jannat Se Kaha Aapke Babajan
Rahmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aap Ke Kaan Me Kya Farmaya Jo Aap Royi Aur Do Baar Sargoshi Me Kya Farmaya Jo Aap Hansi?
Nabi-E-Konan Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pahli Baar
Sargoshi Me Apne Wafat Ki Khabar Di To Mai Royi Aur Dusri Baar Sargoshi Me Ye Farmaya
“KE MERI AHLE BAIT ME SABSE PAHLE MAI AAP SE
MILUNGI.”
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Pg : 920, Book No 61, Kitabul Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees : 3625,3626)
Hadees No: 11
Hazrat Abdullah ibn AbbasRadiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
“Hazrat Fatima Se Farmaya Meri Ahle Bait Gharwaal Me
Sabse Pehli Tum Mujh Se Milogi.”
(Imam Abu Noem Al Hilyatul Aulia, Baab Wa Tabkaatu Safiya Zikrin Nisa Sahabiyat Fatima Bint-E-Rasool Allah , Vol : 02,Pg : 50, Hadees : 1443)
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Apni Wafat Ki Khabar Dena Aur Apni Sahabzadi Ko Ye Batana Ke Ahle Bait Me Sabse Pehle Tum Muzse Aa Milogi Ye Batana Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai?
Tags:
NAB E MUHAMMAD ﷺ