Afzaliyat E Siddique E Akbar Sahaba Ka Aqeeda

 

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ ﷺ


Afzaliyat E Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Hadees E Paak Ki Roshni Me 

Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ka Farmaan 
Hadees 01: 
“Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Hazrat Abu Baqr Siddique Hamare Sardar Hai Hum Me Sabse Bahtar Hai Aur Rasoolullah ﷺ Kay Nazdeeq Hum Me Sabse Afzal Hai”
(Sunan Tirmizi, Kitabul Manakib, Manakib E Abu Baqr Siddique, Hadees : 3656)
Scan page front cover

Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Farmaan 
Hadees 02:
“Hazrat Imam Muhammad Ibn Hanafiya Radiallahu Anhu (Hazrat Ali Kay Bete) Farmate Hai Maine Apne Walid Aliyul Murtaza Se Pucha Nabi E Karim ﷺ Kay baad Sabse Afzal Kon Hai ? Farmaya Abu Baqr, Phir Kaun ? ‘Farmaya Umar’, 
Muhammad ibn Hanafiya Kahte hai mujhe khadsha huwa kay dobara puchu Phir kaun to Shayad Ap Hazrat Usman Gani Kaa naam lenge, Isliye Maine Fauran Kaha Hazrat Umar Kay baad to Aap Hi Sabse Afzal Hai Farmaya Mai To Ek Musalmano Ki Jamat ka ek fard hoon"
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashaab Un Nabi, Hadees : 3671)
Scan page front cover

Hadees 03:
“Hazrat Zuhaifa Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Maula Ali Radiallahu Ne Farmaya Allah Kay Habib ﷺ Kay baad Is Ummat Me Sabse Bahtareen Shaksiyat Abu Baqr Aur Phir Umar Hai” 
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 227 Hadees : 836)

Hadees 04:
“Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu se marvi hai Nabi ﷺ Kay baad sabse afzal Abu Baqr hai aur unke baad Umar (rizwanullahim Azmayeen) hai” 
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol :07, pg : 475, Hadees : 28 Kitab Ul Fazail Baa Ma Zikr E Abu Bakr Siddique)
 
Hadees 05:
“Hazrat Abdullah Ibn Salimah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Farmate Maine Maula Ali Radiallahu Anhu ko farmate huwe Suna Nabi ﷺ Kay baad sabse afzal Abu Baqr hai aur unke baad Umar hai”
(Imam Ibn Majah Sunan, Kitab Al Sunnah, Hadees : 106)

Afzaliyat Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Maula Ali Radiallahu Anhu ki Jaban E Pak Se 

عَلِيًّا رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ: «سَبَقَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَثَنَّى أَبُو بَكْرٍ، وَثَلَّثَ عُمَرُ، ثُمَّ خَطَبَتْنَا فِتْنَةٌ، وَيَعْفُو اللَّهُ عَمَّنْ يَشَاءُ»

 هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحُ الْإِسْنَادِ، وَلَمْ يُخَرِّجَاهُ ""

"Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate hai Rasool Allah ﷺ Sabse Aage Hai Phir Dusre Number Par Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Phir Teesre Number Par Hazrat Umar Radiallahu Anhu Phir Hume Fitno Ne Aa Ghera Allah Taala Jisse chahe maaf farma deta hai"
(Imam Hakim Al Mustadrak Hadees : 4426)
Imam Hakim Rahmatullah Alaih Kahte Hai Ye Hadees Sahih Ul Isnad Hai Lekin Shaykhen Ne Isko naql nahi kiya

Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu
Hadees 06 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Farmate Hai Hum Nabi ﷺ Kay Jamane Mubarika Me Sabse Zyada Afzal Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu ko Shumar Karte they, Iske baad Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu, Aur Uske Baad Hazrat Usman Ibn Affan Radiallahu Anhu”
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashab-Un-Nabi, Baab : Fazail E Abu Baqr Baad An Nabi Hadees : 3655)
(Imam Tirmizi Jamai, Kitab Ul Manaqib, Hadees : 3707)
Scan page Sahih Bukhari


Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu 
Hadees 07:
“Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Farmate Hai Mai Ek Martaba Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Kay aage chal raha tha to Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Abu Darda Tum Uske Aage Chal rahe ho jo Dunya wa aakhirat me tumse bahtar hai, Nabi ﷺ Aur Mursaleen kay baad kisi par naa to suraj tulu huwa aur naa hi gurub huwa ki woh Abu Baqr Radiallahu Anhu Se Afzal Ho” 
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Fazail E Sahaba, Vol : 01, Pg : 135, Hadees :135)

Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu 
Hadees 08:
“Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ Se Pucha Logo me Aap ﷺ kay Nazdiq Sabse Mehboob Kaun hai ? 
Irshad Farmaya Ayesha, Maine Kaha Mardo Me Farmaya Inke Walid (Yaani Abu Baqr) Phir Farmaya Uske Baad Farmaya Umar Ibn Khattab”
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashabun Nabi, Hadees : 3662)
Sahih Bukhari

Hazrat Hassan Ibn Saabit Radiallahu Anhu 
Hadees 09 :
“Hazrat Hassan Ibn Saabit Radiallahu Anhu Farmate hai Jab Tujhe Sacche Dost Ka gam yaad Aaye, To Apne Bhai Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu kay karnaamo ko yaad kar Jo Nabi ﷺ Kay baad saari makhlook se bahtar hai Sabse zyada Taqwa aur adal waale Aur Sabse zyada ahad ko pura karne waale hain”
(Imam Hakim, Al Mustadraq , Kitab Marifat E Sahaba, Vol : 04 Pg : 07 Hadees :4470)

Hazrat Abu Haseen Radiallahu Anhu 
Hadees 10 :
Hazrat Abu Baqr Ibn Ayyash Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Hazrat Abu Haseen ko ye farmate huwe suna Ambiya Wa Mursaleen Kay baad Hazrat Aadam Alaihsalam Ki Aulaad Me Hazrat Abu Baqr Siddique Se Afzal Koi Paida Nahi huwa.
(Imam Ahmad Ibn Hanbal, Fazail E Sahaba, Vol : 01, Pg : 394, Hadees : 598)
Front Cover 


Continue... 

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form