𝘼𝙝𝙡𝙚 𝙎𝙪𝙣𝙣𝙖𝙩 𝙠𝙖 𝙮𝙚 𝙖𝙦𝙚𝙚𝙙𝙖𝙝 𝙝𝙖𝙞 𝙠𝙚 𝙍𝙖𝙨𝙤𝙤𝙡 𝘼𝙡𝙡𝙖𝙝 ﷺ 𝙣𝙤𝙤𝙧 𝙗𝙝𝙞 𝙝𝙖𝙞𝙣 𝙤𝙧 𝘽𝙖𝙨𝙝𝙖𝙧 𝙗𝙝𝙞 , 𝙢𝙖𝙜𝙖𝙧 𝙗𝙚𝙢𝙞𝙨𝙡 𝙤 𝙗𝙚𝙢𝙞𝙨𝙖𝙖𝙡 𝙗𝙖𝙨𝙝𝙖𝙧 𝙝𝙖𝙞𝙣.
Sureh Maa’idah Ayat No.15
یٰۤاَہۡلَ الۡکِتٰبِ قَدۡ جَآءَکُمۡ رَسُوۡلُنَا یُبَیِّنُ لَکُمۡ کَثِیۡرًا مِّمَّا کُنۡتُمۡ تُخۡفُوۡنَ مِنَ الۡکِتٰبِ وَ یَعۡفُوۡا عَنۡ کَثِیۡرٍ ۬ ؕ قَدۡ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللّٰہِ نُوۡرٌ وَّ کِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾
Kanzul Iman Translation
Aye Kitaab Waalo Beshak Tumhaare Paas Humaare Yeh Rasool Tashreef Laaye Ke Tum Par Zaahir Farmaate Hai’n Bahot Si Woh Cheeze’n Jo Tumne Kitaab Me’n Chhupa Daali Thee’n Aur Bahot Si Mu’aaf Farmaate Hai’n Beshak Tumhaare Paas Allah Ki Taraf Se Ek Noor Aaya Aur Roshan Kitaab.
Iss Aayat Ki Tafseer Me Mohaddiseen, Tamaam Mu’tabar Mufassiren Ne Is Aayat Main Noor Se Sarkar-e-Aazam ﷺ Ko Murad liya hai..
Tafseer:(Ibn-e-Abbas/ Page 72),(Tafseer-e-Kabeer, Page 396,/ Jild 3),(Tafseer-e-Khazin, Page 417, /Jild 1),(Tafseer-e-Madarik, Jild 1 / Page 470),(Tafseer-e-Rooh-ul-Ma’ani /Page 87, /Jild 6),(Tafseer Rooh-ul-Bayan /Page548 / Jild 1),(Tafseer Dur-re-Mansoor,/ Page 231,/ Jild3),(Tafseer-e-Jalaleen),(Tafseer-e-Ibn-e-Jareer),(Madarij-un-Nabuwwah),aur(Muwahib-ul-Ladunniyah)
Ab Yeh Dekhe Ke Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Kya Hai :
Gause Pak Likhte Hai : Jab ALLAH Taala Ne Jab Takhliq Karne Ka Iraada Farmaya Toh Sabse Pehle Apne Noor E Jamal Se NABI ﷺ K Rooh Ko Paida Kiya.Jaisa ALLAH Ka Farman Hai K Mene Sabse Pehle Apne Nabi K Rooh Ko Paida Kiya Aur Isi Tarah Nabiﷺ Ne Irshad Farmaya K ALLAH Ne Sabse Pehle Meri Rooh Ko Paida Kiya ,ALLAH Ne Sabse Pehle Mere NOOR Ko Paida Kiya,Aur Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya , Saari Chizon Se Murad NABIﷺ Ki Haqeeqat Hai.Yaani Hazrat Gaus E Paak Ne Likha Ki Hadees E Qudsi Me Zikr Hai K Sabse Pehle Apne Nabi K Rooh Ko Paida Kiya Aur Fir NABI ﷺ Ki Hadees Me B Zikr Hai K ALLAH Taala Ne Sabse Apne NABI K Noor Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya Lekin Akhir Me Hazrat Gaus E Paak Ne Confusion Dur Kiya Aur Bata Diya Ki Yeh Sab Chizon Se Muraad NABI ﷺ Hai Yaani Aaphi Ko Sabse Pehle Paida Kiya
Kitab Ka Naam :Sirrul Asrar Wa Mazharul Anwaar , Chapi “Ahle Sunnat K Maktab Se Nahi”
Toh Pata Chala Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ Ka Aqeeda Yehi Tha Jo Humara Yaani Ahlesunnat Wal Jamat Ka Hai Aur Woh Qaum Jo Apne Aapko Ahle Hadees Batati Hai Deobandi Batati Hai Aur Yeh B Kehti Hai K Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ Unke Buzurg Hai , Afsos Yeh Quam Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ K Aqeede Per Hi Amal Nahi Karte,Balki Ahle Hadees Deobandi K Nazdeek Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ ALLAH ﷻ Ke Wali Hai Aur Dusri Taraf Jo Nabiﷺ Ko NOOR Mane Woh Kafir Bhi Hai.Ahle Hadees Ko Chahiye Hazrat Gaus E Paak K Aqeede Ko Qabul Karte Hue ALLAH Taalak Rasul ﷺ Ko Noor Mane Ya Fir Hazrat Gaus E Paak Per Fatwa Shaya Kare .
Imam Shairani farmate hai ki ibn ul arabi ke fatuhat mein hai:
Allah ke Rasool ﷺ Nabi o auliya ke madadgar hai, khwah wo dunya mein ho ya barzakh mein. Isliye ki unke noor ki roshni waqt aur jagah tak mehdood nahi hai.
“Ref: Hujjat Allah ala al-Alamin of Imam Yusuf Nabhani al Vol 1 pg.no 82
Rasoolullah ﷺ ka saaya nahi tha, jab Huzoor ﷺ suraj ke samne khade hote to Aap ka noor Suraj ki roshni par ghalib ajata
-Sayyiduna Ibn Abbas
Ref: Juz Al Mafqood Musannaf Abdur Razzaq Hadith 4 Ibn Jawzi – Al wafa 2/65, Shaami – Subl Ul Huda 2/12 Ali Qari – Sharh shamail 2/258, Sharh Zurqani 7/12 Ibn Nasiruddin Dimishqi – Jami ul asar 4/1683
Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ki Wiladat Ba Sa’adat Ke Hawale Se Usman Bin Abil-Aas Ki Walida Majida Hazrat Fatima Binte Abdullah Saqfiyah farmati hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Hazrat Amina رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی Ke Paas Thi
Aap Shabe Wiladat Ki Baabat Farmaten Hain
,”Pas Jab Àapki Wiladat Ba Sa’adat Hui To Sayyeda Amina Ke Jisme Athar Se Aisa Noor nikla Jisse Pora Ghar Or Haveli Jagmag Karne Lagi Or Mujhe Har Ek Shay’ Me Noor Hi Noor Nazar Aya’.
Imam Tabrani Mu’jam Al Kabir 25/147, Hadees : 355
Imam Hasan Shaybani Al Ahad Wal Mathani, 1, Hadees : 1094
Imam Abu Nuayam Asfahani Dalail Un Nabuwah Vol: 1, Pg : 164
Imam Bahqi dalailul-Nabuwah 1/111
Hafiz Ibn kathir Al-Bidaya 2/264
Reference - DIFA E AHLE SUNNAT