Mazar Bnane ka Saboot

 

Wahabi Deobandi Ahle’hadees Awaam e Ahle Sunnat ko Gumrah karne ke liye ek se ek new new Fitne Leke Ata hain or Ulte seedhe Aitraaz karte Hain inhi Aitraaz me ek Ek aitraaz ye bhi karte hain ki Tum Auliya ki Qabr ko pakka kyu karte ho Uspar Mazaar Kyu Banate ho

Sabse pehle ye Jan Lena Chaiye ki Auliya Ikram ho Ya Ambiya Alahisalam ho sabki Qabr Andar se kachhi hi hoti hain or ye jo Qabr pakki hoti h ye Uppar se hoti hain or us ke uppar Mazaar banaya jata hain

Or ye Mazaar sirf India me nahi puri duniya me apko dekhne milega Lekin sirf Saudi Arab me nahi milega kyuki wha Najdiyo ki hukumat ayi or unhone Jo mazaar bani thi sahaba ki Ahle Bait ki un sab ko Shaheed kar diya Maazallah Usse pehle Saudi Arab me bhi Auliya ki or Ambiya ki mazaar maujood thi jaise puri duniya me hain lekin in Najdiyo ne Tod Diya

Ab Aaye Hadees se dekhte Hain Qabr par Mazaar Banane ka Saboot

HAZRAT URAWAH رضي الله عنه FARMATE HAI KI “WALEED IBNE ABDUL MAALIK KE ZAMANE ME RAUZ-E- RASUL ALLAH ﷺ KI EK DIWAAR GIR GAYI” “FAAKHAZU FEE BENAAEEHI” “HAZRAT WALEED NE HUKUM DIYA K TAMEER KARO SUB USSE BANNANE ME MASHGUL HUYE” “FABADAT LAHUM QADAMUN FAFAZA’U WA JANNOO ANNAHAA

KADAMUNNABEEYE ALAIHISSALAAMU” “EK QADAM ZAHIR HO GAYA TO LOG GHABRA GAYE OR SAMAJHE KI YEH HUZUR KA QADAM-E-PAK HAI” HAZRAT URAWAA رضي الله عنه NE KAHA KI “ALLAH KI KASAM YE HUZUR ﷺ KA QADAM NAHI HAI YEH HAZRAT UMAR-E-FAROOQ رضي الله عنه KA QADAM HAI” PUCHA KITNE SAAL BAAD NIKLA KAHA K KAI SAAL BAAD NIKLA FARMATE PAIR AISA THA JAISA ZINDO KA HOTA HAI.

SAHIH BUKHARI, Vol.2 hadis:1390

IS HADEES SE MALUM HUA KI MAZAAR-E-MUBARAK AAQA ﷺ Ke SAHABA KI SUNNAT HAI AUR AMBIYA SAHABA AUR AULIYA APNI QABRO ME ZINDA HAI

Imam Ibne Shabbah Jinki Wafat 264 Hijri me hui Apni Kitab Tareekh e Madina Tul Munawwara Me Riwayat Naqal karte h Saaib Bin Yazeed Farmate h Mujhko Mere Dada Ne Khabar Di Ki Jab Hazrat Sahabi e Rasool Hazrat Aqeel Jo Hazrat Ali Ke Bhai H Unhoone Apne Ghar me Kuwa Khudwaya to Ek Naqsh Patthar Nikal aaya Jispe Likha tha Qabr e Umme Habiba Ta Sakhar Bin Harb Ki H To Hazrat Aqeel Ne Us Kuwe Ko Band karwa Kar Usme Ek Kamra Banwa diya Hazrat Yazeed Bin Saaib Kahte h Maine Us Makan me Dakhil Hua Maine Apni Aankho Se Us Qabr ki Ziyarat Ki

Refrance Tareekh E Madina Tul Munawwara Jild 1 Safa No 120

Imam Ibne Hajar Asqalani Al Mutawwafa 852 Hijri Fathul Bari Sharah Sahi Bukhari ke Muqaddame me Likhe h Ke Jab Imam Bukhari Ko Qabr me Dafan Kiya Gaya to Unki Qabr se Mushk Aur Ambar Khushbo Aane lagi To log Imam Bukhari ki Qabr par Aa Kar Unki Qabr ki Mitthi Se Barkat lete Phir Unki Qabr ke Charo Taraf imarat Building Bana Di Gayi

Refrance Fathul Bari Sharah Sahi Bukhari Published by Deoband Pakistan page No 99

Hazrat Imam Ibn e Shabbah رحمتہ اللہ علیہ Al Mutawaffah 262 Hijri likhte Hain :

“Hazrat Saeed Bin Zubair Bin Mutt’im رضي الله عنه Riwayat Karte Hain Maine Sahabi Ki e Rasool Hazrat Usman Bin Mazz’oon رضي الله عنه Qabr Mubarak Ko, “Hazrat Muhammad Bin Ali Ibn e Al Hanafiyah Ke Ghar Me Dekha

(Tareekh Madinatul Munawwarah, Vol 1, Page 101)

To Maloom Hua Ki Allah Ke Khaas Bando’n Ki Azmat Ke Liye Unki Qabro Ko Mehfooz Aur Pehchan Ke Liye Kisi Building Imarat Ke Andar Banana Jaiz Hai, Hazrat Usman Bin Mazzoon رضي الله عنه Pehle Sahabi Hai Jinka Wisaal Madinah Shareef Me Sabse pehle Hua

Hazrat Sulaiman علیہ السلام Ne “Wahi Ilahi” Ke Mutabik “Hazrat Aadam علیہ السلام “Hazrat Ibrahim علیہ السلام ” Hazrat Isahaq علیہ السلام ” Hazrat Yaqoob علیہ السلام ” Hazrat Yusuf علیہ السلام ” Ki Qabro”n Par Qubba Numa Chat Banadi –
Reference’
(Atlas Ul Quran -[Published Saudi Najd Riyadh / Page-85)

Hazrat Sayyeda Amina رضي الله عنها ki Qabr e Aqdas

Hazrat Imam Ibn Shabbah رحمتہ اللہ علیہ Al Mutawaffah (262) Sanad Narration of Chain Ke Saath Likhte Hain

Hazrat Amr Bin Aaas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Jab Rasool Allah ﷺ Ki Umr (Age) Mubarak 6 Saal Thi Tab Makkah Mukarrama Aur Madinah Munawwarah Ke Beech Me Wadi ‘Al Abwah Me Rasool Allah ﷺ Ki Walida Sayyeda Amina رضي الله عنها Ka Wisaal Ho Gaya, “Makkah Se Door Hone Ki Wajeh Se Rasool Allah ﷺ Ke Nanihal Qabila e Adi Bin Najjar Ne Sayyeda Amina رضي الله عنها Ki Qabr e Aqdas Ko Tameer Karwai Jisse Ke Uski Ziyarat Ho Sake

(Tareekh Madinatul Munawwara, Vol:1, Pg:117)

Hazrat Sayyeda Aamina رضي الله عنها ki Qabr Aqdas “1925 Tak Bani Rahi Jab “1926” Me Yahudiyo Nasraniyo Ki Madad Se Aal e Saud Aur Aal e Najdh Ne Makkah Aur Madinah Me Hamla Kiya To Unki Mazaar Shareef Ko Tod Diya, “Lekin Phir Bhi Musalman Ziyarat Karte Aa Rahe Hai”

Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi Kareem ﷺ Ne Maqam e Aaraj Se Aage Ek Bade Pahad Ki Masjid Me Namaz Padhi Hai Aaraj Ki Taraf Jate Hue Ye Masjid 5 Meel Ki Duri Par Waqay Hai Aur Us Masjid Ke Kareeb 2 Ya 3 Qabre Bhi Hai Aor Un Qabro Par Bahut Bade Pathar Bhi Rakhay Hue Hai Ye Jagah Raste Me Sidhe (Right) Janib Aai Hai Aor Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Us Masjid Me Pahuch Kar Zuhar Ki Namaz Padte The”

Reference Book
(Musnad Ahmad Bin Hambal/ Vol “4 / Hadees “5598)

Yani Maloom Hua Ke ALLAH Walo Ki Qabro Ko Pakki Banana Unpar Nishani Lagana Jayiz Hai Warna Aaqa ﷺ Un Qabro Ko Aesa Nahi Rahene Dete Aor Na Us Masjid Me Namaz Padhte_

Hazrat Imam Abu Faraz “Ibn Jawzi” Al Mutawaffah “597” Hijri Likhte Hain_

Hazrat Ibrahim Bin Bishar رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai Ek Baar Me Hazrat Ibrahim Bin Adham Al Mutawaffah 165 Hijri رضي الله عنه Ke Saath Tha Hum Ek Sehra (Desert) Me Pauche Waha Ek Unchi Qabr Thi Hazrat Sayyidina Ibrahim Bin Adham رضي الله عنه Us Qabr (Mazar) Ko Dekh Kar Rone Lage Maine Pucha Shaykh Ye Kiski Qabr Hai? Hazrat Ne Farmaya Ye Hazrat Hamid Bin Jabir Ki Qabr Hain Jo Ke In Tamam Shehro Ke Hakim Thay Pehle Ye Duniyabi Mamle Me Thay Phir Allah Ta’ala Ne Inko Hidayat Di To Ye Allah Ke Nek Bando Me Shamil Hokar Wali Ban gaye

(Uyunul Hikayat/Page 51)

To Maloom Hua Ke ALLAH Walo Ki Qabro Ko Uncha Banana Ye Aaj Se Nahi Balke 1300 Saal Pehle Se Chala Aa Raha Hai Kya Itne Bade Taba’tabai Ko Nahi Maloom Tha Ki Qabr Ko Uncha Banana Bid’at Haram Hai?_

Saltanat e Usmaniya ke Azeem Imam, Ismail Haqqi (jinka wisal 300 sal pehle hua) likhte hai :

Ulama, Awliya aur Saliheen ki Qabron par Imarat banana jayaz hai agar isse maqsad logo ki nigaho me azmat paida karna ho ke log Qabr wale ko kamtar na jane

Ref: Tafsir Ruh ul Bayan 3/400

Reference: Difaeahlesunnat

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form