Khurafat ka radd !

 

Khurafat ka radd !

Kuch Jahil log jo nafs parasti ke naam par Dhol tashe Dj bajate hain urs e paak ke mauke Par ulte seedhe kaam karte hain Muharram me Khurafat karte hain ye aise Jahil logo se Ahle Sunnat wal Jamaat yani Maslake Ala Hazrat ka koi talluq nahi hain ye jahil log karte hain Hamare Ulema E Ahle Sunnat ne in sab chizon ko haram kaha Hain or is Gunah se bachne ko kaha Hain

Ghaus e Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ farmate hai :

“Jaha Dhol, Baaje, sitaar, bansuri, rubab, gaane waliya, wagaira ho waha na baitho! Ye tamam Haraam chize hai”

Ref: Al Ghunyat li Talibi page 56

Hazrat Sabir Paak Kaliyari رحمتہ اللہ علیہ jab Allah ﷻ ki yaad me mashgool the to qareeb se kisi Barat se dhol baje gaane ki Awaz aane lagi, Hazrat Sabir Paak رحمتہ اللہ علیہ ne apne mureed ko Yeh keh kar bheja ki “unhe mana karo ki aisa na kare taki humari khalwat me khalal (disturbance) na ho”, Mureed ne aisa kiya par wo log na mane aur shor karte rahe, Hazrat Sabir Paak رحمتہ اللہ علیہ ko pata chala to Aap ne unse farmaya : “aisa karo ye pyala ulta kardo”, Mureed ne jaise hi pyaale ko ulta kiya to khamoshi chha gayi, aur Barat charo taraf pahado se ghir gayi, wo log bohot pareshan hue aur unhe dhundne ke liye bhi kafi log nikle par wo kisi ko na mile, phir log Hazrat Nizamuddin Aulia رحمتہ اللہ علیہ ki bargah me Hazir hue to unhone farmaya “zarur unlogo ne Kaliyar ke pas koi Gustakhi ki hogi”, phir Hazrat Nizamuddin رحمتہ اللہ علیہ ne un logo ki Mafi ki guzarish ke liye ek khat Huzoor Sabir Pak رحمتہ اللہ علیہ ko likha, wo khat ki khabar mili to Aap ne apne mureed se us pyale ko wapas sidha karne kaha, phir wo Barat wale riha hogaye

Ref: Kitab Aftab e Kaliyar pg 161-2

Ek Mehfil e Sima me daff bajai jaa rahi thi, Khwaja Naseeruddin Chirag Dehlvi ne farmaya “Ye khilaf e Sunnat hai” aur waha se uth kar chale gaye, jab ye bat logo ne Hazrat Nizamuddin ko batai to Aap ne farmaya “Shaikh Naseeruddin jo kuch farmate hai wohi Haq hai”

Ref: Shaikh Abdul Haq Dehlvi – Akhbar ul Akhyar pg 184

Khwaja Nizamuddin Aulia رحمتہ اللہ علیہ ne jab suna ke kuch mureedo ne Mehfil e Sima me Bansuriya rakhi hai to Aap Naraz hue aur farmaya “Maine bansuri aur Haraam chizo (yani dusre mazamir) se mana kardiya hai aur jo kuch un logo ne kiya theek nahi kiya”

Ref: Hasht Bahisht page 79

Mazamir (Dhol bajo) ke sath Quran parhna Kufr hai-

BAHAR E SHARI’AT HISSA 9 PAGE 467 -FATAWA HINDIYAH 2/288

SAYYIDUNA AB’DULLAH IBN MASUD رضي الله عنه KE SATHI BACHO SE DAFF LE KAR USE TOD DETE

MUSANNAF IBN ABI SHAIBAH > KITAB UL ADAB > CHAPter on Daff > HADITH 26995

Hazrat Nizamuddin Awliya رحمتہ اللہ علیہ ke kuch mureedo ne kahi dhol bajo mazamir ke sath sama ki, jab apko ye khabar mili to ap ne farmaya :

“maine unhe mana kar diya ki mazamir (dhol baje) aur digar muharremat (nachna, aurton ki shirkat wagera) sama ke darmiyan bilkul na hone chahiye”

Reference : Fawaid ul Fawad > Hissa 3 > Majlis 5

Mazar Pe Haazri Ka Tariqa Aala Hazrat علیہ رحمہ Ki Nazar Me

Ala Hazrat Farmate Hai
“Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye,
Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Fasle Par Mawajeh Pr Khada Ho,
Ba Adab Salam Arz Kare.
3 Baar Alhamd Sharif,
1 Martaba Ayat Ul Kursi,
7 Martaba Sura E Ikhlas Tilawat Kare
Fatiha Ke Bad Sahib E Mazaar Ke Wasile Se Dua Kare Aor Apna Jayiz Matlab Pesh Kare.
Phir Salam Krta Hua Wapis Aye.
Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa De.
Tawaf Bil Ittefaq Na Jayiz He Aor Sajda Haraam He.
(Fatawa Razawiya 9/Page: 523-524)

Aurto Ka Mazar Par Jana Mana Hai,Ala Hazrat Imam Ahmed Raza علیہ رحمہ Farmate Hai.

“Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti He La’nat Shuru Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La’nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza E Rasool Salallaho Alaihe Wasallam Ke Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya E Magfirat Hai”
(Malfuzat-e-aala Hazrat/ P-240)

Har Giz Har Giz Kisi Bhi Mazar Ko Ya Kisi Bhi Gair ALLAH Ko Sajdah Na Karen Ye Shirk Hai.Momin Ka Sajdah Sirf ALLAH Ta’ala Ke Liye Hai. Ala Hazrat علیہ رحمہ Farmate Hai”Sajda ALLAH Ke Siwa Kisi Ke Lye Nahi, Gairullah Ko Sajda E Ibadat Shirk Aor Tazimi Sajda Haraam”

(Azzubdatuz Zakiyya… /P-5)

Mazaarat Par Chaadar Chadhana: Aala Hazrat Farmate Hai “Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho, Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Charhana Fuzul Hai, Bulke Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Eisal E Sawab Karne Ke Liye Kisi Mohtaj Ko De”

(Ahkaam E Shariyat 1/42)

-Mazaar Sharif Ko Bosa Dena Aor Tawaf Karna:
Ala Hazrat علیہ رحمہ Farmate Hai.
“Mazar Ka Tawaf Baniyat Tazeem Najayiz Hai,
Tawaf Sirf Kaabe Ke Liye Makhsus Hai,
Bosa Dene Se Bachna Chahiye,
Ulma Ka Is Masle Me Ikhtalaf He,
Aastana Bosi Aor Aankho Se Lagana Jayiz He”
(Fatawa Razawiya /Jild-9/Page-529)

“Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal Ka Sa Muamla Karna Na Jaaiz Aur Bid’at He”

(Fatawa Razawiya 9/425)

Hazrat Nizamuddin Aulia ki mehfil e sima me mazamir (baaje) nahi hote the! Aur na Taaliya bajai jati thi! khud farmate the ki “Baajey wagerah sunna Shari’at me Najayaz o Mana hai”

Ref: Shaikh Abdul Haq Dehlvi – Akhbar ul Akhyar pg 184

Khurafat ka radd !

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form